Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 27
Print
Author  (Read 21756 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #195 on: June 20, 2006, 02:27:31 PM »
Quote from: "Pankhuri2"

sakoon milta hai, jab dost sath nibhata hai
pal do pal ke liye, gum kahi thaher jaata hai
hai koi is duniya mai, jo ab bhi Pooja ko meri kahta hai
afsos magar yah dil, do pal mai hi haqiqat dikha deta hai
ho jaau kisi ki bhi, magar is dil se koi na apnaya jayega
dard se bhara yah dil, bas Mout se hi Jurr payega


sokoon milta hai jub dost saath nibhate hai.
sare riste to milte hai parivaar se,
bas dosti hum khud banate hai.
maana ki dukh hai aapko , aur... zindgi se takraar hai
per aapke aur, maut ke beech 'bhondu" ki deewar hai.
maut ka saaya aapka ho nhi sakta,
kya kare ki bhondu intne aache dost ko kho nhi sakta.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #196 on: June 20, 2006, 02:49:12 PM »
bahoot hi acha reply hai, shayd isse acha reply hai hi nahi.... shukaria Dost Kavi...

dard ublata hai jab, dhua dhua ho jaata hai
phir kahan koi deewar, kaha koi dost rah jaata hai
hu us mukaam per, jahan, dost parivaar ka moh nahi
kaya karu is jeevan ka, jab sath mere wo nahi....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #197 on: June 21, 2006, 01:45:43 PM »
Hu dard ke samunder mai, magar usse aram nahi
Kabhi kuch to kabhi kuch tufaan uthata hai

Najar meri se is kadar wo gir gaya
Na jaane apni kis baat per itraata hai

Kamjori apni wo apne gusse mai chupata hai
Khud ko such sabit karne ke liye, kaya kaya ilzaam lagata hai

Gir chuka insaan kitna, iska roop roj wo dikhata hai
Sabar kayun hai Pooja tujme, kayun nahi tera lahu ubaal khata hai
Logged
skumar
Guest
«Reply #198 on: June 22, 2006, 03:26:38 AM »
bahut hi acha likha hai pooja, bhondu n pankhuri ji....
bahut khoob dil ko chu lene wala..

Mat puch mere sabr ki inteha kahan tak hai
Tu sitam kar le teri taakat jaha tak hai
Waffa ki umeed jinhe hogi. unhe hogi...  
Hame to dekhna hai tu zalim kahan tak hai......

Ye duniya wale bhi bade ajeeb hain
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hain
Dard na btayen to hame kayr kehte hain
aur dard bta dein to hame shayr kehte hain...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #199 on: June 22, 2006, 02:45:11 PM »
wah wah wah kaya baat hai skumar, bahoot hi acha likh ahai, her ek line kamal... bahoot khoob!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #200 on: June 22, 2006, 04:01:31 PM »
bahut khub likha hai aapne SKUMAR ji.....very toching.......
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #201 on: June 23, 2006, 10:09:32 AM »
kya baat hai SKUMAR SAHAB.... bahut umda likha hai aapne........ behtreen kalaam hai... bahut khoob..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #202 on: June 23, 2006, 03:06:43 PM »
Quote from: "skumar"
bahut hi acha likha hai pooja, bhondu n pankhuri ji....
bahut khoob dil ko chu lene wala..

Mat puch mere sabr ki inteha kahan tak hai
Tu sitam kar le teri taakat jaha tak hai
Waffa ki umeed jinhe hogi. unhe hogi...  
Hame to dekhna hai tu zalim kahan tak hai......

Ye duniya wale bhi bade ajeeb hain
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hain
Dard na btayen to hame kayr kehte hain
aur dard bta dein to hame shayr kehte hain...


na dukha dil ki, koi farak nahi padne wala
in pathardilo per koi ashaq nahi hai kaam karne wala
matlabi yah duniya, sawarth ke sare rishte hai
her zazbaat ka lage mol yahan, bade saste mai ansu bikte hai

Duniya ka kaam hai, tamsha dekhna
wo dekhati hi jaati hai
kabhi sath rah kar, to kabhi samne akar
hum jaiso se tamasha, karwati jaati hai
Logged
skumar
Guest
«Reply #203 on: June 24, 2006, 11:19:31 AM »
bahut bahut shukriya dosto... apne pasand kiya...
dosto likhne wale bahut kuch likhte hai je to sirf dil hi janta hai ke dard kya hota hai....
pooja ji aapne bhi bahut khoobsorat likha hai...
punjabi vich kaha ta "bahut sohna" ....

Ishq ke naam pe deewane chale aate hain..
Shama ke piche parwaane chale aate hain
Tumhe yaad na ayi  khair ana meri maut pe
Us din to begaane bhi chale aate hain....

Ek do pal ki jindgi me tanhayi kyun hai
Logo ko hamse ruswai kyun hai
Is duniya me insaan kam to nahi
Phir mere saath sirf meri parchayi kyun hai......
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #204 on: June 24, 2006, 01:03:25 PM »
Gud job Skumar ji.....Gr8 work

Jo na beeti kabhi tumpar use main samjhaon kaise......
Hoti hai kya yeh Dil ki lagi tumhe pata nahi.....
Ab tum hee batao phir tumse main Dil lagaon kaise......

Harr WaQt Pal Pal Guzarta jaa raha hai......
Kehti hai parchayi chal yahan se maut ka Farishta aa raha hai.....

Par binn kare Deedar tumhara main marr jaon kaise......

Rok do harr Pal ko lamhe ab aur nahi gujrenge.....
Jab talak nahi ayegi Sanam meri hum bhi Raah nahi Guzrenge......

Teri Jheel see ankhon me apna Manzar me paon kaise......
Tum toh Samajhti nahi ab apne aap ko main Samjhaon kaise.......!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #205 on: June 25, 2006, 09:52:02 AM »
Quote from: "skumar"

Mat puch mere sabr ki inteha kahan tak hai
Tu sitam kar le teri taakat jaha tak hai
Waffa ki umeed jinhe hogi. unhe hogi...  
Hame to dekhna hai tu zalim kahan tak hai......



skumar ji ye panktiya mere dil ko hu gayi bahut aacha likha.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #206 on: June 25, 2006, 01:22:39 PM »
Quote from: "Pooja"

na dukha dil ki, koi farak nahi padne wala
in pathardilo per koi ashaq nahi hai kaam karne wala
matlabi yah duniya, sawarth ke sare rishte hai
her zazbaat ka lage mol yahan, bade saste mai ansu bikte hai

Duniya ka kaam hai, tamsha dekhna
wo dekhati hi jaati hai
kabhi sath rah kar, to kabhi samne akar
hum jaiso se tamasha, karwati jaati hai


pehle to usney mere sapno ko haram kiya.
phir jaaker usney mere ashko ko neelam kiya.
matlabi duniyaan mein jahan mainey thodi izaat rakhi thi.
usney sare aam meri izaat ko neelam kiya.
Logged
skumar
Guest
«Reply #207 on: June 26, 2006, 08:53:25 AM »
shukriya dosto....thanx a lot.....apne bhi bahut acha likha hai.....
jaise kehte hain.....

Na wo aa sake na hum jaa sake
dard dil ka na kisi ko suna sake
yaado ko lekar baithe hain unki
na wo bhula sake na hum bhula sake....

Wo nadiya nahi thi aansu the mere
jis par wo kashti chalaate rahe
manzil mile unhe ye dua thi meri
isliye hum aansu bahaate rahe...

Jab bhi aapki yaad aati hai
mere hontho pe ye fariyad aati hai
khuda khush rakhe tumhe har haal me
kyunki hamari khushi to aaj bhi apki khushi ke baad aati hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #208 on: June 27, 2006, 03:09:47 PM »
bahoot khoob skumar ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #209 on: June 27, 2006, 09:54:33 PM »
Dil ke dard ko sahlau kabhi
Kabhi dard mujko sabhlata hai
Kabhi barsate hai ansoo ankhon se
Kabhi angaare barsana chahta hai!!

Tufaan ayya hai, barbaadi to layega hi
Khamosh sunsaan raho mai ek din yah dil jayega hi
Apni khamoshi ki awaz kabhi kabhi lage tandav si
Ulajhati zindagi ko ek din yah Tandav dikhayega hi....

Na tha koi asar teri kisi baat ka, magar ab hone laga
Jakham tha dard se bhara, Magar ab lahuluhaan hone laga
Bachaya jis ghar ko barso maine, wo ab tinka tinka hone laga
Pooja ka lahu pani ban kar, usko uski hi wafa mai dubone laga!!!
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:12:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer