Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Author  (Read 21591 times)
skumar
Guest
«Reply #225 on: July 20, 2006, 08:19:04 AM »
bahut sohna likheya hai pooja ji..
sorry i think app punjabi thek se nahi janti...muje sonu ne btaya tha.. hindi punjabi remix...

Tamam umar jindgi se door rahe
Teri khushi ke liye apni khushi de dor rahe
Ab is se badkar waffa kya hogi
Ke tere ho kar bhi hum tujhse door rahe....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #226 on: July 20, 2006, 03:55:31 PM »
sahi samjha skumar ji, simple punjabi tak thik hai, thaith (gahari) punjabi samjh mai nahi atti... so Truity Fruity (apki juban mai remix) hi chalati hai....

mujse payaar kar ke kaya paya hai
door rah kar kon sa payaar nibhaya hai
man mai jaane kayun yah sawal ayaa hai
tadap kar aise payaar mai, apne kaya paya hai
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #227 on: July 20, 2006, 04:19:40 PM »
Ye ulfat uskki hai Jisko Dil se mittaa bhi na ssakun
Chahne mein usko lagaa hoon jisko mein paa na sakun

Karke khud se Judaa mere humdum ne mujhse kahaa
Diye zakhm tumne aaisa ki tumhein unpar sulaa bhi na sakun

Mang kar zubaan meri judaii mein, kehar barpa diya mujhpar
Ye dard-e-dil abb kisii ko mein sunaa bhi na sakun

Uske hijer mein jo dil pighal gaya kisii ki bahoon mein
Mein dil ko chah kar bhi abb tumse lagaa na sakun
Logged
Pooja
Guest
«Reply #228 on: July 20, 2006, 04:23:42 PM »
wah kaya baat hai Neer bahoot khoob!!!
Logged
skumar
Guest
«Reply #229 on: July 21, 2006, 11:16:50 AM »
wah yar kya bat hai...
bahut hi acha likha hai nirbhay...
wonderful....

Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyun ata hai
jisko hum chahte hai wo hi kyun rulata hai
mere Khuda agar wo mera naseeb nahi
to aise logo se hame kyun milata hai....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #230 on: July 21, 2006, 02:14:25 PM »
The Style Guru Says......


Neer Bhai Sixer maar diya!!!!
Pesh hai kuch khaas aapke liye:-


Arz Hai,

Ye kaise mod pe le aayi hai judaai teri,
Ab maut maangti hai mujhse tanhai meri,

Main zaat ka wafashaar honn aye jaan-e-wafa,
Meri galti ko na samajh be-wafai meri,

Mujhe maut ki dua hi de do jaane ke pehle,
Ab dekhi nahi jaati rasm-e-vidaai teri,

Mere gunaahon ki saza mujh tak hi rehne de,
Ab aur na dikha mujhe ruswaai meri,

Ye kaise mod pe le aayi hai judaai teri,
Ab maut maangti hai mujhse tanhai meri.......
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #231 on: July 21, 2006, 02:21:10 PM »
Wah Skumar ! Bahut Hi aache..

Aansun bahatey hain Hum to Kismat ke maare, aye jaane jaana
Aap apni zindagi mein zehar kiis baat ka gholne lage

Hairaat kyun hone lagi, jo mere ghham aapse mulakat karne lage
Marham ki baat chhodo, aap mere marne ki dua karne lage

Humne Jigar pe likh diya naam, unhein aaya na yakeen phir bhi
Abb tumhare liye bewafa hi sahi, par hum aauron se wafaa karne lage!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #232 on: July 21, 2006, 02:22:29 PM »
Thanks Pooja sis and Style bhai!

Superb one Style bhai !!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #233 on: July 23, 2006, 10:07:58 AM »
wah bahoot khoob Skumar, Style guru and Neer ....
Logged
skumar
Guest
«Reply #234 on: July 24, 2006, 04:45:54 AM »
shukriya neer, pankhuri,style bhai n pooja ji...
bahut khoob likha hai apne...

Chand ka kya kasoor agar raat bewafa nikli
kuch pal thehri phir chal nikli
aap se kya kahe aap to sache the
shayad hamari takdeer hi hamse bewafa nikli...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #235 on: July 24, 2006, 06:32:51 AM »
Wah! =D>

Gila Karein bhi to Kya Gila Karein Aapse Hum
Aap to sache they, Shayad Hamari ruh se hi Aah-e-bewafa nikli!!!

Silaa Dein bhi to kya sila Dein aapki wafaa ko hum
Dil hum bhi na sambhal sake, Yoon khafaa hone ki jo aapki sougaat nikli!!!
Logged
skumar
Guest
«Reply #236 on: July 24, 2006, 09:54:29 AM »
wah neer yar bahut hi ache....

Main dooba to kinare pe khadi thi duniya
Hasne walo me mera yar  bhi shamil tha
Ro raha tha jo janaze se lipat kar mere
Kaise keh du ke mera katil bhi wahi tha....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #237 on: July 24, 2006, 11:22:17 AM »
The Style Guru Says......


Thanx Neer Bhai, Pankhuri Ji & Kumar Bhai!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #238 on: July 30, 2006, 09:05:15 AM »
s kumar ji aapki ye lines to gum ne "mukaddar mein likhi hai aakhir ye lines kis ki hai"
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #239 on: July 31, 2006, 06:12:46 PM »
Iss Bandagi ko nibhaun kaise
Teri muhabaat ko bhulaun kaise

Door ho gaya wafaa daaron se mein
Abb ghar ko lout ke aaun kaise

Yahan to v-rana dikhta hai harr aour
Inn aankhon mein roshni jalaun kaise

Tujhse se wafaa mein kar nahi sakta
aauron ko bhi bewafaa bataun kaise

Likh to dii Zindagi Tere hi naam maine
Parr tere bina ye zindagi nibhaun kaise?
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:15:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer