Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Author  (Read 21757 times)
Style_guru
Guest
«Reply #240 on: August 01, 2006, 01:40:02 PM »
The Style Guru Says..........



Very nice every1...


Arz Hai,

Is bandagi ko nibhaun kaise,
Teri mohabbat ko bhulaun kaise,

Tu basta hai meri har saans me,
Main apni saansen rok paun kaise,

Mujhse juda ho kar jo silsila toda tha tumne,
Main aaj wo silsila chalaun kaise,

Tu kehta hai ki tu khush hai kisi aur ke aagosh me,
Lekin main apne gham ko bhool jaun kaise,

Agarcha ye sawaal hota meri maut ka to theek tha,
Ab main jeete ji bewafa ban jaun kaise,

Mujhe maut ki dua hi de de jaate jaate,
Main tere bina ye ghamgeen zindagi bitaun kaise......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
skumar
Guest
«Reply #241 on: August 02, 2006, 03:20:02 AM »
wah neer style bhai n everyone dear..
bahut hi khoob likha hai yaaro..

Har yaad me usi ki yaad rehti hai
Meri aankho ko usi ki talash rehti hai..
Kuch tum bhi dua karo yaaro
suna hai dosto ki dua me farishto ki fariyad rehti hai...

Gam-e-jindgi ke maare hain
Har bazi jeet ke haare hain
Ye jo meri jholi me pathar hain
Sab mere chahne walo ne maare hain...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #242 on: August 02, 2006, 05:13:56 AM »
Quote from: "skumar"

Har yaad me usi ki yaad rehti hai
Meri aankho ko usi ki talash rehti hai..
Kuch tum bhi dua karo yaaro
suna hai dosto ki dua me farishto ki fariyad rehti hai...

Gam-e-jindgi ke maare hain
Har bazi jeet ke haare hain
Ye jo meri jholi me pathar hain
Sab mere chahne walo ne maare hain...


bahut aache lage aapke ye sher bhai saheb..

her yaad mein uski yaad rehti hai.
isiliye zindgi badhawaas rehti hai.
wo roith ker chali jaaye meri dil se,
per is dil mein to unki hi saas rehti hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #243 on: August 03, 2006, 01:41:05 PM »
wah bahoot khoob, sabhi ne bahoot hi acha likha hai...

khud se nibhau ya nibhau zindagi se
sathi se nibhau ya nibhau bandagi se
ek ko nibhaya doosra ruth gaya
umarbhar rishta is darad se Atoot gaya
Logged
skumar
Guest
«Reply #244 on: August 04, 2006, 10:52:01 AM »
shukriya bhondu n pooja ji...
apne bot acha likha hai... gr8 work....

Shararat na hoti shikayat na hoti
Naino me kisi ke najakat na hoti
Na hoti bekrari na hote hum tanha
Agar jahan me kambhakt je Mohabbat na hoti...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #245 on: August 14, 2006, 12:03:40 AM »
dil ke dhadkan ban kar, dhdkan le gaya
zindagi ka sathi ban kar zindagi le gaya
wada kiya jisne, umarbhar payaar ka
zindagi meri se wo sara payaar le gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #246 on: August 21, 2006, 09:43:18 AM »
Ajj is dil ko bhir wo khayal yaad ayya
Jis pal chaha tuje wo pahli najar ka pal yaad ayya
Payaar jo tera bhule nahi bhul sakta
Payaar se bhara zindagi ka yug yaad ayya
Khoye khoye wo har pal ki baatein
So kar bhi na soye, wo saari raatein
Tanhaai mai mahakti wo teri yaandein
Soch mai teri wo bahakati baatein
Ajj is dil ne mujko hai bahoot tarpaya
Jis pal juda hui wo pal ajj bhir se yaad ayya!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #247 on: August 21, 2006, 09:55:55 AM »
bvahot khoob.  Pooja sis.....   Skumar......  Bhondu
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #248 on: August 22, 2006, 12:36:58 PM »
Quote from: "skumar"
shukriya bhondu n pooja ji...
apne bot acha likha hai... gr8 work....

Shararat na hoti shikayat na hoti
Naino me kisi ke najakat na hoti
Na hoti bekrari na hote hum tanha
Agar jahan me kambhakt je Mohabbat na hoti...


hum bhi veer thay bhut,
pyaar ne unke humein kayer bana diya,
zindgi ne dav-pech aise sikhay,
bewafaai ne unki humein shayer bana diya.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #249 on: August 22, 2006, 12:40:35 PM »
Quote from: "Pooja"
dil ke dhadkan ban kar, dhdkan le gaya
zindagi ka sathi ban kar zindagi le gaya
wada kiya jisne, umarbhar payaar ka
zindagi meri se wo sara payaar le gaya



baut aaha likha hai pooji dear & thankz waheed bhai.

pyaare thay wo humko bahut,
zindgi se saara pyaar le gaye,
ab rehte hai bewaa ki tarah,
jaise wo mera sansaar le gaye.
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #250 on: August 22, 2006, 12:50:01 PM »
Is Zindagi ko Nibhau Kaise...
Mujhay Tujsay Mohabat Nahe Hai..  Batayou Kaise..

Apney chere say jo zaher hai, wo chupau kaise...
Tere Marze Ke Mutabik Nazar aau kaise..

Tujko Payaa Hai, Kismat say, Tujko Nibhau Kaise..
Tere Marze Ke Mutabik Nazar aau kaise..

Is Zindagi ko Nibhau Kaise...
.. Is Zindagi ko Nibhau Kaise...

Ques..
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #251 on: August 22, 2006, 12:55:13 PM »
Quote from: "Pooja"
Ajj is dil ko bhir wo khayal yaad ayya
Jis pal chaha tuje wo pahli najar ka pal yaad ayya
Payaar jo tera bhule nahi bhul sakta
Payaar se bhara zindagi ka yug yaad ayya
Khoye khoye wo har pal ki baatein
So kar bhi na soye, wo saari raatein
Tanhaai mai mahakti wo teri yaandein
Soch mai teri wo bahakati baatein
Ajj is dil ne mujko hai bahoot tarpaya
Jis pal juda hui wo pal ajj bhir se yaad ayya!!!


Nice 1 Pooja Dear ....

Bhondu, s.kumar ... good job ... Usual Smile

Aata hai yaad har pal woh tera muskurana
Woh chanchal si hansi woh shokh sa bahana
Baato.n hi baato.n me achanak kho jana
Fir dhere se jaise wapas laut aana
Taqdeer ne badla hai kaisa yeh fasana
Bhool gaya hai jaise tu har ek tarana
Hum sochte hai aksar raato.n ko ~Saba~
Lautega kabhi woh guzra hua zamana
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #252 on: August 22, 2006, 01:10:52 PM »
Quote from: "Saba_Saba"

Nice 1 Pooja Dear ....

Bhondu, s.kumar ... good job ... Usual Smile

Aata hai yaad har pal woh tera muskurana
Woh chanchal si hansi woh shokh sa bahana
Baato.n hi baato.n me achanak kho jana
Fir dhere se jaise wapas laut aana
Taqdeer ne badla hai kaisa yeh fasana
Bhool gaya hai jaise tu har ek tarana
Hum sochte hai aksar raato.n ko ~Saba~
Lautega kabhi woh guzra hua zamana


bahut aache saba ji.

kaash laut aaye phir wo gujra hua zamana,
chahta hu teri wo sokhiya wo tera muskurana.
bahut gujra waqt mainney gum ki aandhiyon ne.
khub rulaya humko teri yaadon ki wadiyon ne.
kab phir sununga mein pyaar ka tarana
laut aaye phir se wo gujra hua zamana.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #253 on: August 23, 2006, 06:12:54 AM »
wo gujra jamana na lout kar ayega
umeend hai wo shakas lout ayega
intzaar ajj bhi yah dil karta hai
is ek umeend per zindagi basar karta hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #254 on: August 25, 2006, 05:17:36 AM »
Quote from: "Pooja"
wo gujra jamana na lout kar ayega
umeend hai wo shakas lout ayega
intzaar ajj bhi yah dil karta hai
is ek umeend per zindagi basar karta hai


unki bewafaai ab koi umeed jagati nhi.
aise gulistaan mein rehta hu jahan bahar aati nhi,
khusiyon ko mere ghar aane se gum hota hai.
koi bhi khusi ab humko hasati nhi.
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:13:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer