Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Author  (Read 21753 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #285 on: September 25, 2006, 09:25:25 AM »
Zindagi ko satanaa seekh liya hai maine,
Dard main khil khilanaa seekh liya hai maine.

Dar mujhe ab to nahin lagta hai andheron se,
Raah maiN dil jalanaa seekh liya hai maine.

Zindagi main meri vo aane ko raazii na the,
Sapno maiN hi bulanaa seekh liya hai maine.

Dil ki baataiN jo bayaaN karti haiN nazraiN meri,
Ab nazar ko churanaa seekh liya hai maine.

Saath majdhaar pe choda hai mera logoN ne,
Mauj par ghar basanaa seekh liya hai maine.

Falsafaa kaisa ye kismat ka teri hai mayank,
HasratoN ko lutanaa seekh liya hai maine.

Ques....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #286 on: September 25, 2006, 09:37:27 AM »
bahoot khoob Ques ji....

andhero se karne lagi hu baatein
chirago ka koi naam nahi
nahi karte hum ab unko yaad
hamari yaadon mai unka koi kaam nahi

dete hai khud ko dhoka
yah dhoka dena galat baat nahi
ek pal ka hi sakoon de de muje
kai raato se in ankhon mai nind ka naam nahi
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #287 on: September 25, 2006, 10:16:11 AM »

Very nice... all of u...


Yaad naa mujhko karna tum...
Ab mujhko bhool jaana tum....
Main beh chali ab Ganga mey,
Par aansoo naa bahaana tum....

Sang Le kar teri yaadon ko,
Aankhon mey kuch khwaabon ko,
Chali Door bahut main door kahin,
Wapas Mujhko naa bulaana tum....

Bus kar main terii yaadon mey,
Kaajal bann kar aankhon mey,
Reh naa saki tere saath sanam,
Magar dil mey mujhko basaana tum...
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #288 on: September 25, 2006, 10:27:40 AM »
very nice shikha...

bichar hi gaya to bichar kayun nahi jaata
yah dil ab usse bhool kayun nahi jaata
dard ka rishta bhi kayun rakhu usse
dil se door aor najar se wo gir kayun nahi jaata
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #289 on: September 25, 2006, 10:48:42 AM »
Quote from: "Pooja"
very nice shikha...

bichar hi gaya to bichar kayun nahi jaata
yah dil ab usse bhool kayun nahi jaata
dard ka rishta bhi kayun rakhu usse
dil se door aor najar se wo gir kayun nahi jaata



Good one Pooja di.... =D>


Yaad mujhey aata hai tu is kadar,
Dil mey ho dard aur aankhon mey ashk jaisey
Bhool naa paaye ab tak hum tujhko,
Tu bata tuney mujhey hai bhulaaya kaisey....

Har lamha jo tere saath guzra tha
Rehta hai mere tasavvur mey ab bhi,
Tera dekhna mujhey pehli baar,
Woh teri pehli muskuraahat
Aur woh mera ghabra jaana...
Kuch toh kaho jaaney ke baad waqt bitaayaa kaisey....

Karna woh muhabbat ki baatein pehron,
Aankhon he aankhon mey kaatna raatein,
Woh tere kehna mujhsey ki
Khawab jaagtey hai kai saath rehney sey
Dil karta hai sach karna un khwaabon ko....
Un jaagey hue khwaabon ko tumney sulaaya kaisey.....
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #290 on: October 01, 2006, 06:00:06 AM »
zindagi ka safar, na jaane kaya kaya dikhayega
ek pal hasa kar, ab mujko barso rulayega

bin bataye kaise zindagi mehak jaati hai
khawabo ki duniya chehak jaati hai

waqat atta hai aor duniya badal jaati hai kaise
soch mai rahti hai Pooja, Zindagi nibhau kaise
Logged
Pooja
Guest
«Reply #291 on: October 01, 2006, 07:17:00 AM »
koi khawahish man ko samjha na payegi
kaya hai mere dil mai, khud hi samjh na ayegi

ek mrichika aor mere sare armaan
na jaane kaha se kaha le jayegi

kon hai mera kon paraya
yah lakir kab kaha kheechi jayegi

payaar ka dard bhi lagta hai meetha meetha
yah baat dil tootane ke baad hi samjh ayegi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #292 on: October 01, 2006, 07:25:54 AM »
dard ho suchha to dhool aa nahi sakati
suche payaar ke dard se zaher ban nahi sakati
rahe wo sath, ya munh mod ke chal de wo
yaad uski kabhi is dil se ja nahi sakati
Logged
angel4u
Guest
«Reply #293 on: October 01, 2006, 05:09:54 PM »

Woh Saari Baatein Khwab Hui,
Aur Khwab Se Phir Azaab Hui,
Jab TuMko Saba Ke Jhonke Se,
PaighaM HaMara Milta Tha,
Jab Meri Ek Nazar Se Hi
Chehra Ye TuMhara Khilta Tha,
Kuch Yaad Sa TuMko Hai JanaM
Jab Ghanto Baatein Karneki Aadat Roz Ki Thi,
Kuch Der Jo Mujhko Ho Jaati
TuM Ghanto Rootha Karte The,
Kabhi Geeton Ki Kabhi Sheron Ki,
TuM Khwahish Mujhse Karte The,
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se,
Mere Chehre Se Meri Aankhonse,
Aur Jhank Ke Meri Aankhon Mein
TuM Khudko Dhunda Karte The,
Ek Do Din Dekh Na Paao To,
TuM Bekal Bekal Rehte The,
Aur Ab To Aisa AalaM Hai,
Koi Chahat Hai Na Ulfat Hai,
Kya Pyaar, Mohabbat Aur Wafa,
Is Zikr Se TuM Ko Vehshat Hai,
Main Laakh Tasalli Khud Ko Dun,
Ke Ab Bhi Teri Khwahish Hoon,
Anjaan Bezaaar Se Lagte Ho,
Main Ab Bhi Teri Talabgaar Hoon,
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hia,
Kab Tak Dilko Behlayega
Do Palki Khushiyan De Kar Ye
Mujhe Sadiyan Lahoo Rulayega,
Kyon TuM Takdeer Se Ladte Ho,
Kyon Khudko Dhoka Dete Ho,
Khwabon Ke Tukde Chun Ke Ab,
Kyon Khudko Ghayal Karte Ho,
Ye Baat TuMhein MaluM To Hai,
Kab Beeti Yaadein Lauti Hia,
Jo Baatein Khwab Si Ho Jayein,
Wo Baatein Khwab Hi Rehti Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #294 on: October 02, 2006, 11:16:36 PM »
bahoot khoob angle
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #295 on: October 12, 2006, 01:43:57 PM »
Quote from: "Pooja"
ques ji aor dost kavi.. bahoot hi acha likha hai....

kaya acha kaya boora
ab koi ahsaas nahi hai
rone ko bhi man nahi
ab jab wo mere pass nahi hai

khamosh najar, khamosh deeware
tanha dil, tanha her najaare
dil mujhse, hum ab dil se haare
man ab kayun yah sab vichare

waqat se karu shikayat
ya khud ko ilzaam du
apni is bebasi ko
ajj kaya naam du.....


aapne ashq koi kaam nhi de sakte,
aapni bebasi ko koi naam nhi de sakte,
pyaar per uske ashq ki kurbaani nhi seh sakte,
pyaar ko uske badnaam nhi keh sakte.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #296 on: October 20, 2006, 05:41:01 AM »
Hai payaar bahoot is duniya main
Mujhi ko payaar pana na ayya

Sath diya bahoot door tak logo ne
Mujko hi sath nibhana na ayya

Kismet se lardu, ya pukaru us khuda ko
Dukh dekar jise, mujko smbhalna na ayya
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #297 on: October 30, 2006, 05:33:22 AM »
Well said all..

Arz keyaa Hai..

Kuch is tarah humne zindagi ke gam ko pee liya,
Gam ke sagar ko dava kadvi samajhkar pee liya.

Zindagi ki raah kaanton se bhari thi yaar,
Girte, uthte aur sambhalte rasta tay kar liya.

Kabhi nayi manzilen bhi aayi kabhi nayi khushiyan mili,
Raste badhte gaye... jyon jyon safar humne kiya.


Ques...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #298 on: October 30, 2006, 08:38:38 AM »
nice  again  Ques..    Bhai.............
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #299 on: October 30, 2006, 09:50:48 AM »
Niceee  everyone !!!


Ik sawal hai jo din raat mujhko dasta hai
Juda hokar bhi woh kyun dil mein basta hai

Kha le ja rahi hai yeh zindgi koi bta de zra
Menzile hai ab laptaa aur gushuda rasta hai!!
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:56:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer