Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27
Print
Author  (Read 21347 times)
Pooja
Guest
«Reply #360 on: April 16, 2007, 09:24:30 PM »
Chot khai hai aise, sambhalne ko man nahi
Bikhar jaau kuch aise, simatne ko man nahi

Til til jale yah dil, dard ko hosh nahi
Raat hai ghaneri,  subah ki koi Umeend nahi

Khud hi khud main rona, sath koi aor nahi
Kab tak chalu main aise, zindgi ka koi moh nahi

Farz hai sath mere, munh mord sakati nahi
Kab taka b chale yah sansein , yah kah sakti nahi

Chot khai hai aise, sambhalne ko man nahi
Bikhar jaau kuch aise, simatne ko man nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Chands
Guest
«Reply #361 on: April 16, 2007, 09:53:52 PM »
Poojaji bahot khoob...u write very well...


apni ghume dastan sunau toh kis tarha
apni mohobbat ko ruswa karu toh kis tarha
biyaa me lakar jo saath chod chuka
us bewafa ko phir bulau toh kis tarha
neend bhi hai ab saath chod chuki
khwabon ki baraat sajau toh kis tarha
umar ki raat bhi hai dhal chuki
hasraton ke chiraag jalaun to hkis tarha
khayi thi kasme jeene marne ki sath jinke
unke bin dukh mita jau toh kis tarha...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #362 on: April 16, 2007, 10:00:01 PM »
bahoot khoob chand ji..

Chor do tanha shayad laout aau main
Na jakdo is tarah, kahin mar hi na jaau main

Tadpaya hai mujhko barso, kaise bhool jaau main
Lautne ka matlab, ek zinda lash ban jaau main
Logged
paani
Guest
«Reply #363 on: April 17, 2007, 04:41:23 AM »
Bahut acche chands n pooja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #364 on: April 17, 2007, 07:21:05 PM »
shukaria paani ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #365 on: May 09, 2007, 06:00:47 PM »
Dekar tujhe dukh, khud ko bhi main, rulaye jaati hu
Jitne atte ho pass mere, khud ko tumse hataye jaati hu

Band andhero mai, ankhein dekh nahi paai thi sab kuch
Roshini se phir kyun khud ko bachaye jaati hu

Dar hai kahin phir se na kho du tujhko
Kyun khud ke hatho, khud ki khushia mitaaye jaati hu

Such-jhooth ka farak kabhi samjh na ayya Pooja ko
Ajj shayad such ko bhi jhuthlaaye jaati hu

Jis umeend per jeeti aai hu zindagi main
Ajj kyun us zindagi ko thukraaye jaati hu

Dekar tujhe dukh, khud ko bhi main, rulaye jaati hu
Jitne atte ho pass mere, khud ko tumse hataye jaati hu....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #366 on: August 27, 2007, 08:49:18 PM »
Apni hi socho main ghoot kar mar jaau
Na aao yaad, kasam tumhari, main mar jaugi

Karati hu is tarah khud se tumhari baatein
Yakinan ek din pagal main ho jaugi

Nahi hath main kuch aor yah khalipan ka ahsaas
Tere ankhon ko ansuo se ek din bhar jaugi

Apni hi socho main ghoot kar mar jaau
Na aao yaad, kasam tumhari, main mar jaugi!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #367 on: January 18, 2008, 07:37:04 PM »
zinagi ka arth kho chala
sab kuch bin matlab ho chala

ek tak dekha karu logo ki bheerd ko
insaan mai insaaniyat ka arth kho chuka

hanste hai log to mera dil kyun dukh jaata hai
unke sung sung haste hue, hansi ka mol kho chuka

samjh kar bhi ab main kuch samjhati nahi
her ek arth itna khokhla ho chuka....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #368 on: January 18, 2008, 07:41:22 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...

RAAHON KI DHOOL KO SAR MAATHE SE LAGA NA SAKE
EHSAAS JAB HUA CHAAHAT KA
HUM HAA-E-DIL BHI SUNA NA SAKE
WOH CHALE GAYE AAKHRI ALWADA KEHKAR
HUM UNHE CHAAHKAR BHIVAAPAS BHULA NA SAKE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #369 on: January 18, 2008, 07:51:03 PM »
jaane wale ko bhala rok paata hai kon
jise ho payar, usse rok paata hai kon
bich bhanwar mai jab dil doobne lage
zindagi ka arth us waqat samjh paata hai kon
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #370 on: January 19, 2008, 05:00:55 AM »
Waah Bahut achhe Pooja ji!!!
Logged
lovely_ash
Guest
«Reply #371 on: January 20, 2008, 03:02:17 PM »
tanx bhoot achche pooja ji
Logged
FArah
Guest
«Reply #372 on: January 20, 2008, 03:27:45 PM »
dunya ma jisay ana h
wapas chalay jan h
ky karay shikyat hum on insaan sy
jis na khud miti ma mil jana h
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #373 on: January 21, 2008, 10:59:34 AM »
Yun to guzar raha hai hr ik pal khushi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Rishte, wafaen, dosti sab kuch to hai paas,
Kya baat hai pta nahi dil q udaas hai,
Har lamha hansi nye dilkashi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Chahat bhi hai sukoon bhi hai dilbari bhi hai,
Ankhon me khwaab bhi hain labon pr hansi bhi hai,
Dil ko nahi koi shikayat kisi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Socha tha jesa wesa hi jeevan to hai magar,
Ab or kis talaash me hai bechain hai nazar,
Qudrat bhi mehrbaan hai darya dili k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Yun to guzar rha hai har ik pal khushu k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath...........

Ques...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #374 on: January 21, 2008, 01:47:59 PM »
bahoot bahoot shukaria Paani ji and Waheed!!

Drad diya jisne, ussi se dawa chahiye
rulaya hai jisne hamesha, ussi se wafa chahiye

sochati hu, manati hu, samjhati hu khud ko
dekh lu jo usko, ussi ka phir kandha chahaiye

diye hai dhoko per dhoke, jisne umarbhar
kyun ussi se ajj phir ek aor dhoka chahiye

kaya likhu, kaise likhu, dil ka haal ajj main
Pooja khud bhatak gai, na jaane is dil ko kaya chahiye!!

BAHUT AACHA POOJA JI...

DUNIYA KA YE DASTOOR MUJHE SAMAJH NHI AATA HAI..
JISE CHAHTE HAI KHUD SE ZADA,
USI KO JALANE KA ADHIKAAR DIYA JAATA HAI..
JAB TALAK ZINDA HU MAN KO BAS BHARNTI MILTI HAI..
KAISE KAHTE HAI LOG, WO JALAYE TO ATMA MEIN SHANTI MILTI HAI
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:09:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer