Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27
Print
Author  (Read 21737 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #375 on: January 21, 2008, 01:59:35 PM »
Yun to guzar raha hai hr ik pal khushi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Rishte, wafaen, dosti sab kuch to hai paas,
Kya baat hai pta nahi dil q udaas hai,
Har lamha hansi nye dilkashi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Chahat bhi hai sukoon bhi hai dilbari bhi hai,
Ankhon me khwaab bhi hain labon pr hansi bhi hai,
Dil ko nahi koi shikayat kisi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Socha tha jesa wesa hi jeevan to hai magar,
Ab or kis talaash me hai bechain hai nazar,
Qudrat bhi mehrbaan hai darya dili k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Yun to guzar rha hai har ik pal khushu k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath...........

Ques...



BAHUT AACHE QUES JI...

KHUD MEIN KOI KAMI THI TO ZINDGI MEIN KAMI REH GAYI...
GUZARE KAI MAUSAM MAGAR ANKHOO MEIN NAMI REH GAI...
GUJARI KUCH ZINDGI HUMNE BHI MAGAR,
KYN YE ZINDGI SAMJHOTO PER CHAL RAHI HAI,
KYA HUA ZINDGI DHOKHA AAPNA ,
JO AKELAPAN AUR... TANHAYEE MIL RAHI HAI.

KYN LAGTA HAI AB YE DARD KI PURWAIYA THAMI SI RAH GAI
GUZARE KAI MAUSAM MAGAR ANKHOO MEIN NAMI REH GAI...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #376 on: January 22, 2008, 10:46:43 PM »
thanks AKS ji!!! bahot khoob Vikram ji!!

jala kar unhekahte hai parmatma mai mila dete hai
sharir jo bana hai panch tatvo se, unmai mila dete hai
apno ko dete hai moka, taki khud ko alag kar jaaye
zindagi ka yahi hai ant, is baat ko sawikaar kar jaaye
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #377 on: January 23, 2008, 01:14:35 PM »
swikarte hai zindgi ko,
bas swikarna reh gaya...
sari iccha ka dariya
pata nhi kab beh gaya
maut se kya hoga,
ab koi sikwa humein,
zindgi ka dard jub
ro ro ke seh gaya....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #378 on: January 24, 2008, 09:46:23 AM »
Wo ajnabi shakhs meri aankhoun se dil mein uterta rehta hai
Wo meri rahoun mein Akser khada rehta hai
 
Wo chahta hai mujhe had se bhi zyada
Yeah ehsaas mere dil mein jagata rehta hai
 
Wo rehta hai zindagi mein meri ujala banker
Mujhe har din seedhi raah dikhata rehta hai
 
Mai kaise khafa hosakti hoon us se
Jo meri batoun pe phool barsaata rehta hai
 
Mai rooth jaoun ager usse kabhi
Wo lamha lamha manata rehta hai
 
Jab girte hain meri aankhoun se aansu moti banker
WO apni hatheliyoun mein sajata rehta hai
 
Mai kaise thukradoun use aye Ques...
Jo meri zindagi mein saaye ki tarha rehta hai


Ques...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #379 on: January 24, 2008, 01:34:03 PM »
bahut aache ques ji..

wo sahqs ankho se mere dil mein utarta rehta hai.
kyn wo meri nas nas mein zaher bharta rehta hai.

kabhi hota tha had se zada yakeen jispe,
hai nhi ajnabi per ab ajnabi sa lagta hai.

jisko dikhti thi jannat kabhi meri in ankhon mein,
kyn un aankho ko ab ashqon se bhigota rehta hai.

jaanta hai berukhi uski, mujhe bahut tadpati hai,
phir kyn wahi kaanta, mujhko chubhota rehta hai.

aaj wo mujhe bewafaa sabse kehta rehta hai.
kyn wo meri nas nas mein zaher bharta rehta hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #380 on: January 24, 2008, 04:02:27 PM »
bahoot khoob Vikram and Ques ji!!!

Hai kahin saanso mai, jo ashaq ban jaata hai
Baha lo jitne bhi, phir bhi kahin ander rah jaata hai

Tha jo her pal mera humsaya, kaise itna kthor ban jaata hai
Ho kar bhi pass mere, kyun mujhko najar nahi atta hai

Wo hai mera, mera hi rahega umarbhar
Phir kyun mujhko, khud se alag kiye jaata hai

Zindagi ko nibhana hota ja raha hai ab mushkil
Kyun mera hokar bhi wo ajnabi bana chala jaata hai!!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #381 on: January 25, 2008, 07:02:31 PM »
Umday Jawab Diyaa BHONDU..

Pooja Good reply too.

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...

Ques..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #382 on: January 25, 2008, 07:06:10 PM »
wah kay alines likhi hai Ques ji.. bahoot khoob!! bahoot sahi kaha apne!!!

wo jakar bhi na ja saka
jisko yah dil na pa saka
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #383 on: January 25, 2008, 07:08:39 PM »
Arz Keyaa Hai..

Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bi deep jalati ho gi

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai ussey bi yunhi rullati ho gi

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #384 on: January 25, 2008, 07:10:25 PM »
wah kaya baat hai....

behad dard hai yaha jo
kuch to asar waha bhi hota hoga
ansuo mai dooba hai chand yaha,
raat ka sannata us se bhi kuch kahta to hoga
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #385 on: January 30, 2008, 02:52:11 AM »
sahi kaha aap logon ne..
haal-e-dil wo bhi kisi na kisi se batati to hogi,
nadiyaan behti hai yahan to ankhen wahan bhi chalchalti to hogi.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #386 on: March 19, 2008, 03:56:07 PM »
kisi ki nigah mai ek ajeeb khauf dekha hai
ek bewafa ko ajj bahoot kareeb se dekha hai
dil mai liye sada, ankhon mai nafrat liye
phir se us shakas ko, dhoko ke samundar mai dekha hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #387 on: August 18, 2008, 03:11:39 PM »
Yun to guzar raha hai hr ik pal khushi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Rishte, wafaen, dosti sab kuch to hai paas,
Kya baat hai pta nahi dil q udaas hai,
Har lamha hansi nye dilkashi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Chahat bhi hai sukoon bhi hai dilbari bhi hai,
Ankhon me khwaab bhi hain labon pr hansi bhi hai,
Dil ko nahi koi shikayat kisi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Socha tha jesa wesa hi jeevan to hai magar,
Ab or kis talaash me hai bechain hai nazar,
Qudrat bhi mehrbaan hai darya dili k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Yun to guzar rha hai har ik pal khushu k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath...........

Ques...



wah bahoot khoob Ques ji!!
Logged
drpandey
Guest
«Reply #388 on: January 13, 2010, 10:36:37 AM »
Achchhi hai, behtareen, bahut khub...Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #389 on: January 14, 2010, 07:26:45 AM »
kisi ki nigah mai ek ajeeb khauf dekha hai
ek bewafa ko ajj bahoot kareeb se dekha hai
dil mai liye sada, ankhon mai nafrat liye
phir se us shakas ko, dhoko ke samundar mai dekha hai!!!
Bahut khoob puja ji
Wo sakhqsiyat jo dhokhe ke samandar mein khadi hai,
Pata nhi kyn unse meri narajgi badi hai.
Hai chahat pata nhi kyn ab bhi usko pane ki,
Jisne  hume chorker fikar ki  zamane ki,
Hai muskil bada zamana pyaar isko sikhau kaise,
Is zindgi ka saath nibhau kaise.
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:08:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer