ishq kabhi fana nahi hota! (EK BAAR ZARUR PADHE)

by clicksahil on May 16, 2005, 05:39:48 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1219 times)
clicksahil
Guest
ishq jab tak fana nahi hota
husn jalwah numaa nahi hota
saltanat jism ki bigad jaati hai
jab ye dil kabu mein nahi hota
ched kar dekh dil ke taron ko
saaz e dil be sura nahi hota
jo kabhi ajnabi tha mere liye
aaj wo dil se juda nahi hota
zindagi hai udhar ka sauda
qarz jiska adaa nahi hota
dekh pii kar sharab e ishq
josh masti mein kya nahi hota
jab se pii hai sharab humne
ab to jaam lab se juda nahi
dhadakta hai dil is dil mein
koi tere siwa nahi hota
jo dil e dard mand rakhta hai
wo kisi se khfaa nahi hota
ek yahi husn ki hasti hai yaron
ishq kabhi fana nahi hota!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 17, 2009, 12:01:12 PM »
Bohat BOhat Achche Sahil, Sorry yaar Late Open Kiya is Thread Ko,.
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2009, 12:06:43 PM »
bhot khob sahil
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:03:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer