ishq kii daastaan hai pyaare

by qakhs on October 02, 2004, 03:58:23 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1995 times)
qakhs
Guest
ishq kii daastaan hai pyaare
apanii apanii zubaan hai pyaare

ham zamaane se i.ntaqaam to le.n
ek hasii.n darmiyaan hai pyaare

tuu nahii.n mai.n huu.n mai.n nahii.n tuu hai
ab juchh aisaa gumaan hai pyaare

rakh qadam phuu.Nk phuu.Nk kar naadaan
zarre zarre me.n jaan hai pyaare
Logged
qakhs
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2004, 07:05:38 AM »
"Ajnabi rahoo per,ajnabi se sher mein ajnabi log muj per tans karte rahe,
ajnabiyoon ki saath ban mein gaya ajnabi aur tum bhi aik ajnabi ki tarhaan satate rahe tarpate rahe Aur yaad aate rahe,
ajnabi Haste huwe nikal gaye hamain aik ajnabi bol ke aur apney app ko bhi ajnabi khelwate rahe,
Hum tou hain ajnabi phir bhi aik ajnabi se aik ajnabi ne ulfat-e-muhabbat ki chah ki thi woh bedard bhi aik ajnabi hee bante rahe,
chah ko chah se kuch lagao tha sayad jo ajnabi se rahoon pe wohi ajnabi taakrate rahey........!!
Logged
qakhs
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2004, 04:09:07 PM »
Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya main
Logged
diljala
Guest
«Reply #3 on: October 14, 2004, 09:07:49 AM »
Bhoolne waale se koyi keh de zara
   is tarah yaad aane se kya faaida,
   Jab mere dil ki duniya basaati nahin
   phir khayaalon mein aane se kya faaida
   Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
   Aap kya badle duniya badal si gayi,
   Aasra de ke dil tod te hain mera
   Is tarah sataane se kya faaida,
   Chaar tinke jala ke kya mil gaya
   Mit sakana zamane se mera nishaan,
   Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
   Aashiaan par girane se kya faaida
Logged
qakhs
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2004, 07:19:55 AM »
Thanx Accha lahka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2004, 07:34:37 AM »
wah!!! bahoot khoob diljala and qakha ji....

hume satane wale se jakar koi kah de
hume roj sata kar dekh le, hume roj rula kar dekh le
wo shayad kisi dhokhy mai bathy hai
humse yah ek dhokha wo bhi kha kar dekh le
Logged
diljala
Guest
«Reply #6 on: October 17, 2004, 07:47:16 AM »
Nice Pooja Ji

Urj hai

Muddto.n hum ne u.n gam uthai hai.n
bad jamane ke mukurai.n hai.n
ek nighaa e khlus ke kathir
zingi bha fareb khaye hai.n
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2004, 07:50:09 AM »
Nice Diljala ji.....


mudat se hum aas lagai bathy hai
mudat se wo humko sataye bathy hai
duniyan bhi is khail se haari hai
na jaane wo kaya dil mai samaye bathy hai
Logged
qakhs
Guest
«Reply #8 on: October 18, 2004, 09:15:57 AM »
"jab us ne mera hath thama or mujh se kaha ke tumhare hath kitne garm hain , to mein yeh sun ker khusi se pagal ho gaya jab us ne kaha ke garm hath wafa ki nishani hote hain ...... to mujhe aaj yaad aata hain ke us hath kitne sard the
Logged
qakhs
Guest
«Reply #9 on: October 20, 2004, 11:14:14 AM »
Hum Ne Kuch Iss Tarhan Say Mohabat Ki Hai

 "TUMHARY BINA ZINDAGI KI KOI TASVEER NAHI .....
MAI NE KUCH ISS TARAHN SY TUMHARI TAMANA KI HAI ...

MERE DIL MEIN BAS JAO TUM RUH-O-MOHABAT BAN KAR ...
MEIN NE DIL KI GEHERAI SAY YEH ILTEJA KII HAI ...

TUMHARY MILNAY SAY PEHLAY MEIN KHSD SAY ANJAN THII ....
SAMJHA HAI PYAR KO JAB SAY TUM SAY MOHABAT KII HAI ....

MERE ZINDAGI KI KUSHIAN SIRF TUM SAY HAIN JAANA .....
MEIN NE RAB SAY TUMHAIN PANAY KII DUA KI HAI ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 20, 2004, 05:51:19 PM »
wah!!! bahoot khoobsoorat likha hai apne qakhs!!!!

NA Ajman Meri muhabbat aor mere deewanepan ko
ki maine to Rub se pahle, Apki Pooja ki hai......
Logged
qakhs
Guest
«Reply #11 on: October 20, 2004, 07:03:01 PM »
Thanx pooja Ji..  aap tareef kerti HO tu Bhot accha lkta hai .. Thanx gain
Logged
qakhs
Guest
«Reply #12 on: October 21, 2004, 10:17:39 AM »
JAB KOI BAAT BAN NAHI PATI
JAB KOI AHAT SATANAY LAGI HOO
JAB KOI NAAM BHOOL NA PAOON
JAB KOI CHEHRA APNA SA LAGA HOO
MERAY KHAYALOON PER HAI BAS PAHRA USI KA
MERAY SAPNOON MAIN KAHIN BASNAY LAGA WO
DIL BHI RAHNAY LAGA HAI AB DOOBA DOOBA PALKOON MAIN NAMI SI DAY GAYA WO
BARSAT BHI HAI AA GAI TUM JANAY KAB TAK AAO GAYE
SAWAN BARASTA HAI AISAY JAISAY NADI JHARNAY LAGI HOO
Logged
qakhs
Guest
«Reply #13 on: October 24, 2004, 10:57:14 AM »
KITABAY ZESAT KA HAR BAAB BHOOL JAOON MAIN .......
AJAB TO HO KAY TERA NAME BHOOL JAOON MAIN..........
Logged
qakhs
Guest
«Reply #14 on: November 15, 2004, 07:31:44 AM »
all friends ko Diwali or Eid Mubbark ho !!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:20:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer