Isme Meri Mohabbat Ki Bhi To Rushwai Hai

by majid on February 24, 2009, 08:40:28 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4609 times)
majid
Guest




               Shaam Hai Sindoori , Aur  Udaas Ghata Chhayi Hai
               Aankhein Hai Nam ,Aur Saamne Khadi Tanhaai Hai

               Khil Se Gaye Hain Saare  Zakhm  Phoolon Ki Tarha
               Woh  Pichli  Yaadein  Phir Mujhsey , Milne Aayi Hai.

               Khidke Se Zara  Sa  Meine Jhank  Kar Kya Dekha Ki
               Dhalte  Hue  Chand  Mein , Ik Surat Nazar Aayi Hai.

               Mumkin Nahi Shayad , Ab Is Janam Mein Mil Paana
               Is Qadar Mujhe Dasti Rehti,Yeh Zehar-e-Judaai Hai

               Kaise Likhudu Mehfilon Mein Bewafaa Usko Shihab
               Aakhir Isme Meri Mohabbat Ki Bhi To Rushwaai Hai.



                                
                                   {Shihab}

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 24, 2009, 08:51:13 AM »
Waah Waah waah, Kya Khoob majid Bhai,.
Kamaal Ka Likha Hai,.

Superb Work Yaar,.
Do Bar Pardha Maine, Great Job,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: February 24, 2009, 09:57:53 AM »
Bohat khoob Shihab..specially the makhta is beautiful.  Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2009, 04:47:52 PM »
Shaam Hai Sindoori Aur Udaas Ghata Chhayi Hai
Aankhein Hai Nam Aur Saamne Khadi Tanhaai Hai

Khil Se Gaye Hain Saare Zakhm Phoolon Ki Tarha
Woh Pichli Yaadein Phir Mujhse Milne Aayi Hai.

Khidke Se Zara Sa Meine Jhank Kar Kya Dekha Ki
Dhalte Hue Chand Mein Ik Surat Nazar Aayi Hai.

Mumkin Nahi Shayad Ab Is Janam Mein Mil Paana
Is Qadar Mujhe Dasti Rehti Ye Zehar.e.Judaai Hai

Kaise Likhudu Mehfilon Mein Bewafaa Usko Shihab
Aakhir Isme Meri Bhi Mohabbat Ki To Rushwaai Hai.



Bahut khoobsurat Shihab...


Mohabbat Ki Ruswayi Kar To Li Usne Bahut,
Is Bahaar Ko Khizaan To Di Usne Bahut,
Chahte Hai Kyun Phir Bhi Us SANGDIL Ko,
Jisne Kiya Har Ek Saans Ko Zakhmi Bahut...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: February 25, 2009, 04:35:18 PM »
Shukariya Angel Ji And Bohat Khoob Keep It Up...

Teri Tamanna Na Jaane Aur Kya Kya Kar Jaayegi
Shayad Zindagi Ab Intazar Mein Hi Guzar Jaayegi.

Shakt Mushqil Mein Hoon Kya Karun Aey Mere Khuda
Aah Bhi Ki To Har Taraf Uski Rushwaai Bikhr Jaayegi


Intezaar Jitna Kiya Uska, Saanson Ka Na Kiya Maine,
Teri Wafa Ka Kuchh Yun Bhi Imtehaan Liya Maine,

Aaya Na Tu Mere Qafan Ke Qareeb Bhi Kyon Aye Sanam,
Rok Kar Mere Janaaze Ko Maut Ki Ruswayi Ki Maine...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 27, 2009, 11:48:56 AM »
=Nice One Majid Bhai,.
And Huzaina Sis,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: February 27, 2009, 04:25:32 PM »
Bohat Khoob Angel Ji Keep It Up.

Teri Tamanna Mein Har Pal Machalta Raha
Kya Bataun Kis Qadar Ye Dil Jhalta Raha

Tumne To Keh Diya Aakhir Qisaa.e.Dil Apna
Aur Mein Hun Ki Teri Rushwaai Se Darta Raha



Bahut shukriya Majid.. and beuatiful lines by you...

Kya Jhijhak Ab Ruswaiyon Se Hum Karein,
Tujhe Jaanke Jaan Di, Bejaan Hum Phirein,

Kahein Hum Bhi Apne Dilke Tootne Ka Sabab,
Teri Bewafaiyon Pe Parda Daalne Ko Dil Karein...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 28, 2009, 04:33:37 PM »
NIce One Again majid Bhaiy,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: February 28, 2009, 04:33:59 PM »
Shukriya Majid.. Nice reply by you too..  Applause Applause

Bewafaiyon ka charcha bhi kuch is qadar kiya tune,
Ek hi Pal mein is dilko mom se patthar bana diya tune,

jazbaat mere the kuch haseen masoom se khwaabon jaise,
ruswaiyon ke dar se inhe ansuon ke hawale kar diya tune...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 28, 2009, 04:48:22 PM »
Shukriya Majid.. Nice reply by you too..  Applause Applause

Bewafaiyon ka charcha bhi kuch is qadar kiya tune,
Ek hi Pal mein is dilko mom se patthar bana diya tune,

jazbaat mere the kuch haseen masoom se khwaabon jaise,
ruswaiyon ke dar se inhe ansuon ke hawale kar diya tune...


NIce oNe Huzaina Aapa,.
Bohat Achche Line Hain,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: March 01, 2009, 06:51:41 AM »
Shukriya Azeem... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 01, 2009, 06:54:04 AM »
Tujhe kaise ilam na ho saka badi dor tak ye qabar ga-e- !!
Ke tere shaher ki shayara tere intezaar me marr ga-e- !!

Khuch to thi wajhe khuch to tha sabab jo mai wada karke mukar ga-e- !!
Teri wafaun pe to yaqeen tha magar mai khud apne app se darr ga-e- !!

Wo tere mizaj ki bath thi , ye mere mizaj ki bath hai !!
To meri nazar se na gir saka , mai teri nazar se utar ga-e !!

___________________________________NM

Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: March 01, 2009, 08:49:15 AM »
Shukariya Angel Ji.Bohat Khoob Keep It....

Teri Rushwaai Ke Darr Ne Lab Si Diye
Warna Abhi Meri Bohat Daastan Baaki Hai.

Chahe To Zara Se Aur Ilzaam De De Mujhko
Abhi Mere Jism.e.Sanam Thodi Jaan Baaki Hai


Hmmm

Ilzaam kya lagaye in bejaan rooh Ke Kone se hum tujhpe ab,
Dilki har dhadkan sisakti hai kuch is qadar mujhpe ab,

Ruswaaiyon Ki Daastaan to Chhupa Li Hai Dard Ki Chadar Mein,
adhura warq ek, Ashqon ki siyaahi Bhar de Aahon Ki Kalam mein ab...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 01, 2009, 12:51:58 PM »
Shukriya Majid Bhai And Very Nice Good Going, Lage Raho,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: March 01, 2009, 12:58:17 PM »
 

Waah bohat khoob Shihab ji.. Applause

Waah bohat khoob Bhai... Applause


Kaun is raah se guzarataa hai
Dil yuuN hii intazaar karataa hai

Dekh kar bhii na dekhane vaale
Dil tujhe dekh-dekh Darataa hai

Shahar-e-gul mein katii hai saarii raat
Dekhiye din kahaaN guzarataa hai

*NM*
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:57:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer