Itna Asaan Na Tha !!

by deepika_divya on September 05, 2009, 10:43:05 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3542 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #30 on: February 05, 2010, 04:05:36 PM »
bahut bahut Khoob sophi.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lafzo Se Keh dete To Dil ko sukoon Mil Jaata
Khamoshiyon Mein Khud Ko tadpana Asaan Na Tha..

Chalte-Chalte, Girte-Sambhalhte Safar taye To Kar Lete!!!
Par beech Raah Par Peeche Mud kar Vaapas Jaana Asaan Na Tha...

"Khwaish" keh deta Dil Mein Jo hai uske!!!
Par Kisi Ke Dil ko Thes Pahunchkar Khud Ki Baat Ko Keh Jaana Asaan na Tha...



Waah Waah Khwaish ji.. Ak aur Umda peshkash ! Bahoot Khoob!

De gaye Hum woh Jaate Jaate Bul jaane Ki Kasam
Par Unki Sang Bityein Yaadon ko Bulana Asaan Na Tha

Socha ke Waqt ke Saath Saath Sambhaal Lenge Khudko
Par Waqt ke Andhero ko Aansoon se Chupana Aasaan Na Tha

Divya





Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: February 05, 2010, 04:19:53 PM »
Waah Waah Khwaish ji.. Ak aur Umda peshkash ! Bahoot Khoob!

De gaye Hum woh Jaate Jaate Bul jaane Ki Kasam
Par Unki Sang Bityein Yaadon ko Bulana Asaan Na Tha

Socha ke Waqt ke Saath Saath Sambhaal Lenge Khudko
Par Waqt ke Andhero ko Aansoon se Chupana Aasaan Na Tha

Divya







Bahut Khoob!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yaadon Ke Nishaan Ko To Dil se Mita Dete hum,
Par Khud ko Mita Dena Asaan Na Tha....

Tujh se Bichad Kar Shayad Jee Bhi lete Hum!!!!
Par Jazbaaton par Kaabu Pana Asaan na Tha...

Tujhe Alwida Kehkar Chal to diye Hum!!!
Par Uss manzar Ko bhoola Paana Asaan na Tha...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #32 on: February 06, 2010, 11:42:10 AM »
Bahoot Bahoot Khoob Khwaish ji !

Yaadon Mea Unki Ansoon Bahate Rahe Hum
Betaabi ko apni Chupana itna Asaan Na tha

Khele Khel Duniyan Ne Hamari Mohabbat se
Uss Khel se Khudko Bachana Itna Asaan Na tha

Kehte bhi Tho Kisse Kehte Apni Dastan e DOst
Apna Kehne Walo se Dhoka Khana Itna Asaan Na Tha

Divya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: February 06, 2010, 11:53:59 AM »
bahut Bahut Khoob Sophi..

Aarzue Dil mein Be-Maut Hi mar Gayi
Phir Bhi jhooti Tasalliyon par Jeena Asaan na Tha...

Loot Gaya Hai Iss Safar Mein Mera Jo kuch Bhi tha,
Halaat Se Phir Bhi Haar Na Maana Asaan na Tha...

Jahan Apne Aur Gairo Mein Koi Fark Hi Na Ho,
Wahan par Apna Ashiyaan Banana Asaan Na Tha...

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #34 on: February 06, 2010, 12:02:37 PM »
Waah Kya baat hai Khwaish ji...

Aakhiri ka sher jordaar tha... Bahoot Bahoot khoob!


Khaate rahe Jiske Sang Jeene Marne Ki Kasme
Usko khudse Door Hota Dekhna Itna Asaan Na tha !!

Palak Japakane se Pehle deedaar hota tha jiska
Usko Sadiyon tak Na dekh Paana Itna Asaan Na tha !!

Divya !
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #35 on: February 06, 2010, 12:34:20 PM »
Sab ne bahut achha likha hai.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Padhh k tera dard bhara kalaam sakhee
Ashkon ko rok paana Itna Asaan Na tha !!

Jo dil mai basaa rehta thaa har-dum mere
Usko estarah bhula paana itna asaan na tha


Waah Kya baat hai Khwaish ji...

Aakhiri ka sher jordaar tha... Bahoot Bahoot khoob!


Khaate rahe Jiske Sang Jeene Marne Ki Kasme
Usko khudse Door Hota Dekhna Itna Asaan Na tha !!

Palak Japakane se Pehle deedaar hota tha jiska
Usko Sadiyon tak Na dekh Paana Itna Asaan Na tha !!

Divya !

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #36 on: February 06, 2010, 12:37:48 PM »
Sab ne bahut achha likha hai.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Padhh k tera dard bhara kalaam sakhee
Ashkon ko rok paana Itna Asaan Na tha !!

Jo dil mai basaa rehta thaa har-dum mere
Usko estarah bhula paana itna asaan na tha



Thank you so much Koyal

Kya baat hai Bahoot Khoob likha hai !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: February 06, 2010, 02:48:57 PM »
Waah Kya baat hai Khwaish ji...

Aakhiri ka sher jordaar tha... Bahoot Bahoot khoob!


Khaate rahe Jiske Sang Jeene Marne Ki Kasme
Usko khudse Door Hota Dekhna Itna Asaan Na tha !!

Palak Japakane se Pehle deedaar hota tha jiska
Usko Sadiyon tak Na dekh Paana Itna Asaan Na tha !!

Divya !


Bahut Khoob Sophi..Bichadne Ka dard Bakhoobi Bayaan Kiya Hai Aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aakhri baar Aankh Bhar Ke dekhne Ki Khwaish Thi Unki,
Par Alwida Keh kar Jaana Asaan Na Tha...

Lafz Honton tak Aakar Rukh se Gaye,
Woh manzar Ko Dil Se Bhoola Pana Asaan Na Tha...

Mohabbat Karna Gar Gunaah Hai Iss Duniya Mein To,
Jo chaahe Saza Do,Sab kubool Hai Mujhe!!!
Par Usse Khud Se Juda Kar paana Asaan Na Tha...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #38 on: February 06, 2010, 02:52:35 PM »
Waah Kya baat hai Khwaish ji.. Bahoot Khoob!


Will reply you soon... !
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #39 on: February 06, 2010, 06:41:28 PM »
Divya-di aapka dil se shukriya..meri lines pasand aayee aapko di

Thank you so much Koyal

Kya baat hai Bahoot Khoob likha hai !
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:26:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer