ITNI OONCHI BHI ABB UDAAN NA BHAR ..................HASAN

by F.H.SIDDIQUI on December 13, 2011, 12:08:25 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4699 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: December 14, 2011, 05:30:38 PM »
Waah Waah Waah!!!!!!

Kya kehne hasan Saheb!!!!

Huemsha Ki Tarah Lajawaab

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
khwaish ji,Hausla afzai ke liye shukriya.
khush rahiye.Hasan
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
पहली उड़ान / Pahlii uDaan...! by DhavalRami in Miscellaneous Shayri
PEHLI UDAAN by songwriter_123 in Shairi - E - Zindagi
ITNI MADHOSH NA BUN BAAD - E - SABA HOSH MEIN AA.....................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Udaan by sanjiv gaikwad in Share:Poetry of Betrayel
Itni himmat bhar de mujh mein by RUHAANII in Miscellaneous Shayri
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: December 15, 2011, 05:14:51 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause
"मुफलिसों   के    चिराग़     जलने   दे ,
 ऐ  हवा,   आँधियों  के   कान  न   भर "

बहुत अच्छा शे'र, अच्छी ग़ज़ल | बधाई एवं शुभकामनायें  |
-अरुण मिश्र.




Arun Misra saheb,Adaab.Ghazal parhne
 aur hausla fza tabsire ke liye tah e dil
 se aap ka mamnoon hoon.Duago,Hasan
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #17 on: December 15, 2011, 05:29:18 AM »
Itni   oonchi   bhi   abb   udaan   na   bhar ,
Rakh   zameeni   haqeeqatoN   pe   nazar

Yuunhi   kab   tak   take   ga   Raahguzar  ,
Duur   Manzil   hai ,  kar le   Azm - safar

Timtimaata   hai   Zindagi   ka   Chiragh  ,
Jalta  -  bujhta   rahe   hai   shaam - o -sahar

Khatm   hone   lagi   hai   Beenaai  ,
Duur   hone   lage   haiN   Noor - e - nazar

MuflisoN   ke   Chiragh     jalne  de  ,
Aye   Hawaa  , AandhiyoN   ke   kaan   na   bhar

Jaane   kis   dam   bulaawa   aa   jaaye
Abb  'Hasan' , baandh   bhi lo   Rakht - e - safar








--------------------------
zameeni haqeeqat = ground realities  ;  raahguzar  =  raasta  ; Azm e safar = safar ka iraada  ; Beenaai = Eyesight   ; noor e nazar = aankhon ki roshni ( aulaad ) ;Rakht e safar = safar ka saaman

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Clapping Smiley Clapping Smiley


     hain sabhi ashar ghazal ke ek se badh kar,
     aur taareef ke liye paas hain lafz mokhtasar.

     
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #18 on: December 15, 2011, 07:33:22 AM »
Hasan Bhai,


Aap ko Allah lambi aur sehat mand umr ata kare
Bahut hi ache ashar ki peshkash thi ye.
Behad dilpasand aur yaqeeni har dil azeez hogi

aapka aik alfaaz udhar le raha hoon."Tim timana"
Bahut hi muhabbat se aapko mere kalaam me lautane.

Aap ki nazr, aur islah ka muhtaj;

Aik tifl-e-maktab ki tim-timati aqal ki raushni thi
 Muqabla usse to andhiyon se karna pada
 
Zarra tha khaak ka voh magar
 Jawaan seenon men aag laga kar chala
 
Zarkhareed ghulam hi tha voh magar
 lakeeron ne uski likha aik sultanat ka taqht
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: December 15, 2011, 08:56:56 AM »
Bahut khoob Hasan Sahab
Ek ek lafj..subhan allah...DAAD...D.........................D
Mahfile sajti hai, log vaah vaah karte hai, ek doosre ki hausla afjaai karte hai, aage badh kar hath milaane se dilo.n ki dooriyan kam ho rahi hai..yahi to mai chhata hu..

Yahi to mahfil ka maja hai..choti si jindgi hai..jee lo jee bhar ke..



Mkv  saheb  Hausla  afzai  ke  liye  bahut  bahut   shukriya . Sahi  kaha  aapne , yeh  sabhi  ahbaab  ka  aapsi  pyaar  aur ta'aawun hi  hai  jis  se  YOINDIA  ka  ye  karwaan e sukhan  aage  barh  raha  hai . Mujhe  bahut  achha  lagta  hai  jub  log  apne  tabsiron  se - chaahe  wo tanqeed  mein  ho  ya  taareef  mein - nawaazte  hain  aur  baat  cheet  karne aur  kuchh  seekhne  ka  mouqa  milta  hai . Pichle  eik  saal  mein  kuchh dostonn  ki  gumshudgi  to  khal  rahi  hai  lekin  mujhe  khushi  mahsoos  hoti hai  ki  kuchh  bahut  achha  likhne  walon  ne  YO  join  kar  ke  is  web  ke wiqaar  mein  izaafa  kiya  hai . Aur  sab  se  bari  baat - hum  aapsi  guftugu mein  YO  ke  founders  aur  monitors  ko  shukriya  ada  karna  bhool  jaate hain  jinki  badaulat  hamein  yeh  khubsurat  platform  mila  hai . Khuda  unki koshishon  ko  kaamyaab  kare  aur  iss  website  ko  maqbooliyat  ki  nai manzilon  tak  pahunchaaye . Aap  ne  aisi  baat  chedi  ki  main  bhi  khud  ko apne  jazbaat  ke  izhaar  se  nahin  rok  saka . Ummeed  hai  hum  yuunhi  taawun  aur  pyaar  qaaim  rakhenge . Duago ,Hasan  
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: December 15, 2011, 09:54:47 AM »
Hasan Bhai,


Aap ko Allah lambi aur sehat mand umr ata kare
Bahut hi ache ashar ki peshkash thi ye.
Behad dilpasand aur yaqeeni har dil azeez hogi

aapka aik alfaaz udhar le raha hoon."Tim timana"
Bahut hi muhabbat se aapko mere kalaam me lautane.

Aap ki nazr, aur islah ka muhtaj;

Aik tifl-e-maktab ki tim-timati aqal ki raushni thi
 Muqabla usse to andhiyon se karna pada
 
Zarra tha khaak ka voh magar
 Jawaan seenon men aag laga kar chala
 
Zarkhareed ghulam hi tha voh magar
 lakeeron ne uski likha aik sultanat ka taqht

Abul  Asad  saheb , Aap  ki  purkhuloos  aur  munkasir  ul  mizaji  ka  paikar  iss  tahreer  ka  fouri  jawaab  laazmi  ho  gaya  hai . Aap ne  kaha  ki  aap  ne  eik  lafz  udhaar  liya  hai . Parh  ke  bahut  maza aaya . Dar  asl  kuchh  alfaaz  hamaare  zahnon  mein  dabe  hote  hain  lekin  issi tarah  se  kahin  parhne  per  achhe  lagte  hain  aur  unhein  istemaal  karne ko  ji  chaahta  hai .Kuchh  din  pahle  eik  web  per  eik  ghazal  padhi  thhi jis  mein  " meri  baahon  mein  tilmila  "  jaisa  kuchh  istemaal  hua  thha . Yeh  lafz  istemaal  karne  ko  dil  machal  raha  hai  lekin  abhi  mauqa  nahin mila  hai . Aap  bhi  agar  pasand  aaye  to  koshish  kijye.
   Aap  ke  ashaar  bahut  khoobsurat  aur  qaabil e daad  hain .  Jahaan  tak aap  ne  'Islaah'  ki  baat  ki  hai  to  ye  aapka  inkisaar  hai . Aur  main  to  iss  muaamle  mein  khud  taalib e ilm  hoon  aur  kuchh  basic  baaton  ke alaawa  bilkul  laailm  hoon .  Jo  kuchh  seekha  hai  woh  learning  by observation  hai . Kisi  funni  pahloo  par  wasooq  ke  saath  tabsira  nahiin kar  sakta . Insha allah  hum  log  issi  tarah  tabadla i khayaal  kar ke  aur kuch  doston  ke  tabsiron  mein  shaamil  hokar  kuchh  seekhte  raheinge . Aap ki  pahli  hi  poem  bahut  mutassir  karnewaali  aur  eik  munfarad  qism  ki  thhi  jiske  baad  aap ki  har  kaavish  ko  fouran  parhne  ki  khwahish  hoti hai . Likhte  rahiye  aur  iss  karawaan  mein  humsafari  ka  mouqa  deta  rahiye . Duago , Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: December 15, 2011, 12:37:15 PM »
Aadaab kya kehne jawaab nahi aapka
Har baar kuch aisa likh jaate hain aap ki
Bas kabhi kabhi to samajh hi nahi aata
Ki taareef karen bhi to aakhir kaise karen
Is khoobsurat peshkash pe dili mubarakbad
Aur hazaaron daad janaab...

Shad o aabad rahiye...

Shihab
Shihab  mian , Bahut  mashkoor  hoon
ki  aap  ne  apne  makhsoos pyare  andaz
mein  hausla  afzai  ki . Khush  rahiye .
                                    Duago , Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: December 15, 2011, 05:45:28 PM »
Wah. bahut khoob. Kitni asani se aapne kitni sanjida bate kar di.

Andaz e bayaan bhi bahut achha hai. Bahot khoob.
Imdad  saheb , Adab . Aap  ne  ghazal  padhi
aur  apne  hausla  afza tabsire  se  nawaza .
Bahut mashkoor  hoon . Karam  banaaye  rahiyega .
                                           Duago , Hasan
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #23 on: December 15, 2011, 09:38:55 PM »
Wah wah F.H.SIDDIQUI ji kya khoob likha hai aapne......

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: December 16, 2011, 05:02:35 AM »
Siddiqui Sahaab Aadaab!


Waah jee kia kahne aapke.. behad umdaa aur khub khayaloN ko
ashaaroN meiN dhalaa hai janab.. Usual Smile

Sabhi ashaar kafi gehre aur pur asar rahe.. Usual Smile
Humari dili daad O mubarakabd kabul kijiye.. Usual Smile

Aur in ashaaroN ke kia kahne jee waah bahut khoob .. Usual Smile
Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
khuda Hafez.. Usual Smile


Timtimaata   hai   Zindagi   ka   Chiragh  ,
Jalta  -  bujhta   rahe   hai   shaam - o -sahar

Khatm   hone   lagi   hai   Beenaai  ,
Duur   hone   lage   haiN   Noor - e - nazar

MuflisoN   ke   Chiragh     jalne  de  ,
Aye   Hawaa  , AandhiyoN   ke   kaan   na   bhar

Parwaaz  saheb , Ghazal  parhne  aur
hausla  afzai  ke  liye  bahut  bahut 
 shukriya . Hasan

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: December 16, 2011, 12:28:30 PM »
Aaaaaaaah kyaa kahne saheb!
muflisoN ke chiragh jalne de........bahut khoob!!!!!!sabhee ashaar behad asardaar.......is khoobsoorat kalaam ke liye dilii daad qubool farmaayeN..
Mamtaji , Hausla  afzai  ke  liye  tah e dil
se  mamnoon  hoon . Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: December 16, 2011, 05:58:44 PM »
bahut hi khub siddiquiji
Mann.mann ji , hausla  afzai  ke
liye bahut shukriya . Khush  rahiye .Duago ,Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #27 on: December 17, 2011, 03:39:25 AM »
Applause Applause Applause "khatm hone lagee hai beenaaee.
                       door hone lage hain nooe-e-nazar."  waah waah kamaal kar diyaa Hasan shaib
Saini  saheb , Hausla  afzai  ke  liye 
bahut mashkoor hoon . Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #28 on: December 17, 2011, 12:56:29 PM »
Clapping Smiley :clapping:hasan ji ,,,,superb
Sunildehgawani saheb,thanx a lot.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: December 17, 2011, 05:27:05 PM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Clapping Smiley Clapping Smiley


     hain sabhi ashar ghazal ke ek se badh kar,
     aur taareef ke liye paas hain lafz mokhtasar.

     
Adil  Bechain  saheb ,Khubsurat  sher  se
khubsurat  hausla  afzai  ke  liye  kya  kahoon . Bahut
bahut  bahut  mashkoor hoon.Duago , Hasan

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:47:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer