IZHAR NAHI KARTA

by main_aisa_hi_hoon on January 30, 2005, 07:06:03 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1548 times)
main_aisa_hi_hoon
Guest
Main lafzoon main Kuch bhi izhaar nahin kerta
Iss ka matlab yeh nahin k main tujhe pyaar nahin kerta
Chahta hoon main tujhe aaj bhi
Per teri soch main apna waqt Bekaar nahin kerta  [N/M]

Tamaasha na ban jaye kaheen Muhabbat meri
Issliye apne derd ko Namoodaar nahin kerta
Jo kuch mila hai  ussi mein khush hoon mein
Tere liye khuda se Taqraar nahin kerta
Per kuch to baat hai teri fitrat main Zaalim
Worna main tujhe chahne ki khata baar baar nahin kerta  [N/M]

hame waise poetry karno to sayd nahi aati par padhne ka shok hai yah kahi padhne ko mili to post kar rahe hai
agar yah pahle  se post ki hui ho ya padhi hui ho to maf kijiyega plz
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main kese ko roka nahi karta by muneeb in Shayri-E-Dard
DIL GUFTAGU NAHI KARTA.... by SADIQA JAWED in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
Kabhiya nahi khana ka main tum sa pyar nahi karta (personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
yun chup rehkar nahi hoga izhar-e-mohabbat 'Abhi'~ by AbhiTamrakar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
*_^ Main Lafzon Mai Kuch Bhi Izhar Nahi Karta *_^ by Rancho-D-Idiot in Share:Love Poetry
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 31, 2005, 01:11:21 AM »
dil mai ho, halchal kitani hi, ankho mai rahne de samunder,
jakham kitane mile, jakhamo ka bhi hisaab rahne de dil ke ander
Tere Inkaar, tere izhaar ki bhi, had ab hum kar chuke paar
ajj iss more per, tere Izhaar se bhi nahi parta koi antar
Logged
diva
Guest
«Reply #2 on: January 31, 2005, 02:50:57 AM »
nice ones  MAHH n pooja
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #3 on: January 31, 2005, 05:37:03 AM »
Good one main aisa..... and Poojaji...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2005, 05:41:39 AM »
Meri dastan-e-hasrat woh suna suna ke roye
Mere aazmanay walay mujhay aazma ke roye

Koi aisa hal-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat
Mein use sun ke roya woh mujhay suna ke roye


Teri bewafaion per teri kuchh adaion per
Kabhi sir jhuka ke roye kabhi mooh chupa ke roye

Jo sunai anjuman mein shab-e-gham ki aap beeti
Kai ro ke muskurai kai muskurake roye....

*****Edited by Mod: Please next time se agar apki creation nahi hai to (not mine) likhana na bhulle!!!!! **************
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2005, 11:18:30 PM »
Quote from: "Pooja"
dil mai ho, halchal kitani hi, ankho mai rahne de samunder,
jakham kitane mile, jakhamo ka bhi hisaab rahne de dil ke ander
Tere Inkaar, tere izhaar ki bhi, had ab hum kar chuke paar
ajj iss more per, tere Izhaar se bhi nahi parta koi antar


Quote
pooja ji aap to really hamesha bahut bahut accha likhti hai really
aise hi likhte rahiye aapko padh kar hamesha bahut khushi hoti hai
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #6 on: February 04, 2005, 11:20:13 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Good one main aisa..... and Poojaji...


Quote
thanks  just hate Usual Smile
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #7 on: February 04, 2005, 11:21:13 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Meri dastan-e-hasrat woh suna suna ke roye
Mere aazmanay walay mujhay aazma ke roye

Koi aisa hal-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat
Mein use sun ke roya woh mujhay suna ke roye


Teri bewafaion per teri kuchh adaion per
Kabhi sir jhuka ke roye kabhi mooh chupa ke roye

Jo sunai anjuman mein shab-e-gham ki aap beeti
Kai ro ke muskurai kai muskurake roye....

Quote
nice
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2005, 03:30:29 AM »
Main lafzoon main Kuch bhi izhaar nahin kerta
MEIN TU SACH MEIN TUM S HOONPYAR KRTA

NEHAAAAAAAAAAAA  I LOVE YOU
Logged
alam
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2005, 03:33:57 AM »
Hamare Fakhren Sahab Ko Lavoeria Ho gaya Hai...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: February 05, 2005, 03:49:10 AM »
HOYE ALLAH AAP KO YEH KIA HOGYA
NA GHAR CHORA NA MKAAN REHNE DIYA
SAB KO KYUN AAG LGA GYA
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: February 05, 2005, 09:40:04 AM »
nice work  all..........  :lol:
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:10:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer