jAAne kaise dar.d k ham sehar mein aa gaye hai.n....

by laaiba on June 03, 2012, 08:30:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1028 times)
laaiba
Guest

an deikhe anjaane se ham shahar mein aa gaye hain
jaane kaise dard ke ham  sehar mein aa gaye hain

chilchilaatee dhoop apna muqaddar ban gai thi
or ye samjhe saayaa ee ham shajar mein aa gaye hain

pyar or jazbon ki to koi nahee vuqaat uss ko
haaye pattharon ke to ham nagar mein aa gaye hain

aik uljhan dil mein paddee yeh giraah kholein kaise
hijr ke lamhaat ke ham asar mein aa gaye haiin....

koun jaane ran.g laaye kia dil kee khaa moo shiyaan
aey zamaane tere to ham jabar mein aa gaye hain.....

laaiba ali angel11
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 03, 2012, 08:32:38 AM »
bahut khoob laaibaa ji dheron daad aur ek rau
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: June 03, 2012, 08:48:44 AM »

an deikhe anjaane se ham shahar mein aa gaye hain
jaane kaise dard ke ham  sehar mein aa gaye hain

chilchilaatee dhoop apna muqaddar ban gai thi
or ye samjhe saayaa ee ham shajar mein aa gaye hain

pyar or jazbon ki to koi nahee vuqaat uss ko
haaye pattharon ke to ham nagar mein aa gaye hain

aik uljhan dil mein paddee yeh giraah kholein kaise
hijr ke lamhaat ke ham asar mein aa gaye haiin....

koun jaane ran.g laaye kia dil kee khaa moo shiyaan
aey zamaane tere to ham jabar mein aa gaye hain.....

laaiba ali angel11

laaiba ji, qafia mein main ne bhi ghaltiyaan bahut ki hain.
aur bekhyali ya la-ilmi   mein aisa ho jaata hai.
shahr,jabr, hum qafia hain aur sehar, nagar, asar hum qafia hain.
 kalaam khoob hai
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2012, 10:25:05 AM »
Laibaa Sahibaa Aadaab!

Aapki nayi nayi koshisheN dekhkar achcha lag raha hai...
kafi achche khayaalon ko sametne ki koshish karti haiN
aap... bahut khoob jee... Usual Smile

Is kalaam ke khayaal bhi behad khoob lage... Usual Smile
Humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Kuch choti choti khamiyaaN point out kar raheN hai..
jisse aapko aage aise galtiyaaN na ho samjh meiN aaye.. Usual Smile

Ummid hai aapko bura nahi lageNga... Usual Smile
                   




an deikhe anjaane se ham shahar mein aa gaye hain
jaane kaise dard ke ham  sehar mein aa gaye hain

Matla achcha hai par dusra misra pahle misre
ko sahiN se rabt nahi ban raha hai...

So humare khayaal se aik aise bhi is sher ko adaa kar sakte haiN... agar aapko sahiN lage to rakh lijiye.. Usual Smile

an deikhe anjaane se ham shahar mein aa gaye hain
jaane kaise hum is dard ke ghar mein aa gaye hain
               

                   


chilchilaatee dhoop apna muqaddar ban gai thi
or ye samjhe saayaa ee ham shajar mein aa gaye hain

achcha hai jee daad... par "saaya e hum" se mayne badal gaye... use aise adaa kijiye... "or ye samjhe hum saaya e shajar meiN aa gaye haiN" tab shajar ka saaya mayne baneNge ...                   

pyar or jazbon ki to koi nahee vuqaat uss ko
haaye pattharon ke to ham nagar mein aa gaye hain

achcha hai jee ....                   

aik uljhan dil mein paddee yeh giraah kholein kaise
hijr ke lamhaat ke ham asar mein aa gaye haiin....

WaaH bahut khoob daad daad ... Usual Smile                   

koun jaane ran.g laaye kia dil kee khaa moo shiyaan
aey zamaane tere to ham jabar mein aa gaye hain.....

bahut khoob jee achcha khayaal hai daad Usual Smile
Par khamoshiyaaN" lafz aik hi hai use todiye nahi....
Aur haaN lafz jabar sahiN nahi jabr hai... so kafiya kharij hua...
Jabr ki jagaaH aap "nazar" bhi use kar sakti hai... Usual Smile                   


laaiba ali angel11

Humari daad phir se kabul kijiye...
Likhati rahiye.. aati rahiye..

Shaad O aabad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile                   

Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: June 03, 2012, 07:44:52 PM »
good one laaiba ji... baaki to parwaaz sahab ne bahut kuch bata hi diya us par gaur kariyega...


Intezar !
Logged
laaiba
Guest
«Reply #5 on: June 03, 2012, 07:47:44 PM »
bahut khoob laaibaa ji dheron daad aur ek rau
shukria aapkaa...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #6 on: June 03, 2012, 07:48:28 PM »
laaiba ji, qafia mein main ne bhi ghaltiyaan bahut ki hain.
aur bekhyali ya la-ilmi   mein aisa ho jaata hai.
shahr,jabr, hum qafia hain aur sehar, nagar, asar hum qafia hain.
 kalaam khoob hai

ji bilkul sahi kaha aap ne.....shukria aapkaa....
Logged
laaiba
Guest
«Reply #7 on: June 03, 2012, 07:52:21 PM »
Laibaa Sahibaa Aadaab!

Aapki nayi nayi koshisheN dekhkar achcha lag raha hai...
kafi achche khayaalon ko sametne ki koshish karti haiN
aap... bahut khoob jee... Usual Smile

Is kalaam ke khayaal bhi behad khoob lage... Usual Smile
Humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Kuch choti choti khamiyaaN point out kar raheN hai..
jisse aapko aage aise galtiyaaN na ho samjh meiN aaye.. Usual Smile

Ummid hai aapko bura nahi lageNga... Usual Smile
                   



Humari daad phir se kabul kijiye...
Likhati rahiye.. aati rahiye..

Shaad O aabad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile                   


ji parwaz ji kabhee kabhee aisa ho jata hai k kuch be khyali mein khyalat lafzon ka roop dhaar leite hain wazn , qafia etc ki limits ka tayyan nahi kiya jata ..to aaj hamari iss be tukki ghazl bhi aise waqt ki tarjuma.n rahee Usual Smile
khushi huyee deikh kar ke yahan bht ache ahl e sukhn moujood haiin
aapki hr bt baja hai or mind krne ki hamare pass gunjayiesh nahi q k baat sach hai or hamein sach ko accept krna be khubi aata hai...khush rahiye or bohat shukria hosla afzaii ke liye....
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2012, 07:53:01 PM »
good one laaiba ji... baaki to parwaaz sahab ne bahut kuch bata hi diya us par gaur kariyega...


Intezar !
shukria aapkaa...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: June 04, 2012, 05:43:53 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Laaiba ji....!!!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #10 on: June 04, 2012, 05:48:55 PM »
shukria aapkaa...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:08:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer