jaane kya baat hai***

by ranjana on June 11, 2006, 04:29:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2169 times)
ranjana
Guest
jinke labon par hota thaa naam hamara
ab un par hamari wafao ka asar nahi hota
jaane kya baat hai zikar mera ab unke labon  per nahi hota

kaha thaa unhone nibhayenge jindagi bhar ka saath
par chal na sake woh do kadam bhi mere saath
ab toh tanaha is  jinadgi ka safar  nahi katata
maaus hun main apne dile a halat se
par meri tabahai ka bhi un par asar nahi hota
jaane kya baat hai ab zikar mera ...........

dekhe toh they jo khawab sunhere
woh khawab haqiqat bante hi tut gaye
ulajh si gayi hai jindagi meri ajab se hadaso mein
kyu yeh uljhan bhara safar ab jindagi ka khatam nahi hota
jaane kya baat hai ab zikar mera.......................

chipaya thaa unko apne haato ko lakeeron mein
ab un haatho ki laakeero mein bhi unka basar nahi hota
taamam raat yaad kiya unko hamne
lete rahe honge woh bhi hichkiyaan
kya unke khawabo mein ab hamara rah gujar nahi hota
jaane kya baat hai ab zikar mera..............


jo aa jaate they sun ke meri ek pukaar
unke dil ke baj uthte they taar..........
naam lete they ham yahan unka
dil wahan unka dharak jaata thaa
beqarar karke hame tab hi unka dil chein paata thaa
kya ab yun dil ke besabab dharkane ka bhi un per asar nahi hota

jaane kya baat hai zikar mera ab unke labon per nahi hota..............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaane kya baat hai*** by ranjana in Critics and Review only Forum
JAANE KYA BAAT HAI- by TOUSIFSHAIKHH in Shayari -e- Husn
JAANE KYA BAAT HAI- by TOUSIFSHAIKHH in Shayari -e- Husn
Aaj Mar Jaane Kii Baat Kar....masoom by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
BHOOL JAANE KI BAAT KARTEY HO by saahill in Shayri-E-Dard
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2006, 04:36:38 PM »
Superb Ranju.... =D>

Kyu hai yeh Dard itna Gumgeen tera......
Kyu tujhe apne Saye se itna Pyar hai......

Mita de jo Zakhm de dil ko......
Bhool ja ke koi aisa bhi haseen khawaab hai......!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2006, 05:08:33 PM »
shukriya Gaurav..........

sayo ke peeche bhagate bhagate main khud saya ho chuki hun
apne dil ke dard mein ab kho chuki hun........
jis din unke labo per mera naam aayega ........
us din dekhna mera har khawab sach ho jaayega.......
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2006, 07:58:16 PM »
bohot khub Ranjana ji aur BS ji!

muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2006, 03:22:53 AM »
Quote from: "ranjana"
shukriya Gaurav..........

sayo ke peeche bhagate bhagate main khud saya ho chuki hun
apne dil ke dard mein ab kho chuki hun........
jis din unke labo per mera naam aayega ........
us din dekhna mera har khawab sach ho jaayega.......


Kabhi hamare bhi khmoshi mein lab agar tumne pade hote......
Hamare Zindagi jeene ke bahane aaj kuch aur hee hote.....


Tumhe hota pata ki mere Dil ke trannum me Lafz tere Naam ke saje hai......
Ghoonghat hata dekh saamne Saya nahi HaQiQat ke jharonke pade hai.........!!!!!!!!

Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: June 12, 2006, 04:33:49 AM »
khamoshi ki juban hum bhi samjhte hain
tere dil mein kya hai yeh bhi jaante hain
per apne dil ke Rab se hum dur ja sakte nahi
aur kisi ko  Ghooghat hata ke apna  chehra dikha sakte nahi
jab tak hai is tan mein jaan ,naam unka hi labon per rehaega
hum kisi aur ko ab apna khuda bana sakte nahi............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: June 12, 2006, 04:38:57 AM »
Quote from: "ranjana"
khamoshi ki juban hum bhi samjhte hain
tere dil mein kya hai yeh bhi jaante hain
per apne dil ke Rab se hum dur ja sakte nahi
aur kisi ko  Ghooghat hata ke apna  chehra dikha sakte nahi
jab tak hai is tan mein jaan ,naam unka hi labon per rehaega
hum kisi aur ko ab apna khuda bana sakte nahi............


Gud Job Ranju.....

Aaj iss Ranjh-O-Gum ki Shayhein me hum doob chuke hai.....
Jo banayi thi jhalar apni Mahobbat ki use khud hee Wehshiyat ki aag me hoonk chuke hai......

Kar Salamti ki Dua apne Khuda ke liye....Diye jitne Dard ab hum sab bhool chuke hai......
Yeh kahani na rahegi iss kadar adhoori....ab hum sacchi AshiQui kabool kar chuke hai.......!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 12, 2006, 04:49:49 AM »
BAHUT HI KHUBSURAT LIKHA HAI............. Usual Smile

yeh dard hain mohbbat ke inka saath kab tak nibhaoge
Ranjh-O-Gum ki aandhi mein bikhar jaaoege............

jo aag hai tere dil mein isko jala ke rakhana
ek din tujhe milagi teri manzil ,bas tu hosala rakhana

kahaani kabhi ne rahe teri adhauri koi bhi
yeh meri dua hai khuda se yeh yaad rakhana
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2006, 04:55:19 AM »
Quote from: "ranjana"
BAHUT HI KHUBSURAT LIKHA HAI............. Usual Smile

yeh dard hain mohbbat ke inka saath kab tak nibhaoge
Ranjh-O-Gum ki aandhi mein bikhar jaaoege............

jo aag hai tere dil mein isko jala ke rakhana
ek din tujhe milagi teri manzil ,bas tu hosala rakhana

kahaani kabhi ne rahe teri adhauri koi bhi
yeh meri dua hai khuda se yeh yaad rakhana


Dard det hai saath Jindagi bharka......
Jindagi me bas Khushion se ruswai reh gayi......

Jise chaha tha humne kabhi......
Aaj bas uaki chahat ek sadaai bann gayi......

Aye khuda la de meri Sanam ko....mujhse mila de use.....
Ab akele jia nahi jata.....ya phir ab jala de mujhe.....!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2006, 09:06:40 AM »
nice Gaurav...........

dard jab had se gujar jaata hai
dard khud hi dawa  ban jaata hai

chahte hai hum jinko dil se
na jaane woh hi kyu dil se dur ho jaate  hai

shikva kare bhi toh kis se kare ham
aaj kal toh khuda ka bhi tever hame badala sa nazar aate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2006, 02:25:57 PM »
wah kaya baat hai Ranju and BS ji!!! bahoot khoob likha hai!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: June 13, 2006, 02:34:45 AM »
shukriya Pooja................. Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: June 15, 2006, 03:07:40 AM »
tere pehlu mein bhi aake na jane kyu laga ki tujhse dur ja rahi hun main
badne lagi jab dil ki betaabi toh khud ko samjha rahi hun main....
mohabbat hai  ek dhoka aur yeh dhoka kha rahi hum main.....
bharm tere sare mujhe per khulate ja rahe hain
fir bhi na jaane kya tujhse aas laga rahi hun main...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: June 22, 2006, 01:44:35 AM »
jaane kya baat hai ki aaj unko hamara dard mehsus nahi hota
yeh khel hai wqat ka  ab unhe hame dekhana bhi manzur nahi hota
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: June 25, 2006, 03:22:20 PM »
dard ki mehfil me mere chahne wale bahut hain
dost hain bahut aur dil ko rulane wale bahut hain
iss duniya peeche se marne wale bahut hain

khuda ki rehmat hain hume ek hi dil diya
warna dilon k tukdo se khelne wale bahut hain

tere har kadam ki aahat hai mujhko
mere dil par tere ishare bahut hain

tum kya chodogi mujhe raah e ishq mein
mujhe is raah mein girane wale yaar bahut hain
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:33:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer