Jaate Jaate {S}

by Jaanasheen on December 27, 2010, 10:24:00 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2414 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile

Kar Gayi Tanha, Ek Aur Raat Jaate Jaate,.
Wo Din Puraane Hi Hote Ke Tum Aate Jaate,.

De Gaya Waqt Bhi Dhoka Aakhri Daur Mein,.
Jeete Agar, To Rishte Yunhi Banaate Jaate,.

Jab Jaan Gaya Uski Mohabbat Ka Rang "Azeem,.
Kahaan Tak Hum Bhi, Pyaar Nibhaate Jaate,.

Dega Wo Dhoka Is Baat Ka Kabhi Ilm Na Tha,.
Hum To Mohabbat Ke Khisse Sabko Sunaate Jaate,.

Ab Tanha Hoon To Har Baat Puraani Yaad Aai,.
Kaise Hum Ek Duje Ki Ghazlein Sajaate Jaate,.

Un Hone Hi Rone Pe Majboor Kardiya Aaj "Logon..
Jo Har Waqt Hume Ghamon Se Bachaate Jaate,.

-Azeem-

Missing You Badly,..



Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: December 27, 2010, 10:39:56 PM »
Mere paas lavz nahin hai tariff kay..
Apki har kalam main sachayi hai dost..
Badi shidat se mohobat karne wala hi aisa likh sakta hai..
Aur yeh baad koi mohobat karne wala hi samaj sakta hai..
Dil ki gehrayion se daad..
Duaein apkay liye..dher sari..
Khush rahiye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: December 27, 2010, 10:40:50 PM »
Wohi mere dard ka sabab bangaya Rahim,
Jo meri muskurahat ki duaein mangta tha..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 27, 2010, 10:47:26 PM »
Wohi mere dard ka sabab bangaya Rahim,
Jo meri muskurahat ki duaein mangta tha..
Waah,.

Mere Dard Ki Tasweer Hai Tujhme "Rahim,.
Jo Tere Dil Se Nikalti Hai Wo Aah Mujhme Hain,.
Logged
nirala
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2010, 03:52:19 AM »
wah wah kya mast hai jee--
ek baat btau aapko Azeem sir--maine aapke uss feel ko feel kiya jo aapko ise likhte samay hua hoga--ye lajawab peshkash hai hi aisa. Aapko dil se Dua.
""kuch arz krta hu apki tarah nai likh skta fir bhi choti si kosis----
' itni bhi bewafai na kar
          kuch to kasar baaki rakh
aur bhi honge deewane tere !!!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 28, 2010, 04:05:54 AM »
Bahut Khoob
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2010, 08:34:39 AM »
Azeem jee!aap kee ye sanjeedaa gazal paRh kar lagtaa hai aansuoN kee siyaahee me palkoN kee kalam dubo kar dard ke tamaam dstkhat ek saath kar diye gaye hoN....dard kaa ye taanaa baanaa dekh kar dil udaas ho gayaa!khush raheN...jeene kaa koi nayaa bahaanaa aap ko jald hee haasil ho ....meri or se daad hee nahee dher saaree duaayeN...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2010, 08:43:35 AM »
bahut badhiya azeem bhai..

dher saari daad~
Logged
manjum
Guest
«Reply #8 on: December 28, 2010, 12:13:14 PM »
bahut badhia... azeemji...

bahu bahu daad aapko.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #9 on: December 28, 2010, 01:29:54 PM »
Bahut Khub Azeem Bhai Bahut Hi Sunder Likha Hai Aur Dard Bhara Bhi Applause Applause
Logged
theyash
Guest
«Reply #10 on: December 28, 2010, 01:39:07 PM »
Bahut khub bhaijaan dil ko chhuliya aapne...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 28, 2010, 04:19:59 PM »
wah wah kya mast hai jee--
ek baat btau aapko Azeem sir--maine aapke uss feel ko feel kiya jo aapko ise likhte samay hua hoga--ye lajawab peshkash hai hi aisa. Aapko dil se Dua.
""kuch arz krta hu apki tarah nai likh skta fir bhi choti si kosis----
' itni bhi bewafai na kar
          kuch to kasar baaki rakh
aur bhi honge deewane tere !!!

Shukriya Nirala Ji, Jo Aapne Mere Kalaam Ke Saath Mere Dard Ko Jaana,.

Bas Duaa Hai ke Rab Sab Ka Bhala Kare, Aur Jo Bichrde Hain Wo Yaar Sab Mil Jaaye,.

Aameen.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 28, 2010, 06:13:48 PM »
Bahut Khoob
Shukrya Rajesh bhai
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: December 28, 2010, 06:18:24 PM »

Kar Gayi Tanha, Ek Aur Raat Jaate Jaate,.
Wo Din Puraane Hi Hote Ke Tum Aate Jaate,.

De Gaya Waqt Bhi Dhoka Aakhri Daur Mein,.
Jeete Agar, To Rishte Yunhi Banaate Jaate,.

Jab Jaan Gaya Uski Mohabbat Ka Rang "Azeem,.
Kahaan Tak Hum Bhi, Pyaar Nibhaate Jaate,.

Dega Wo Dhoka Is Baat Ka Kabhi Ilm Na Tha,.
Hum To Mohabbat Ke Khisse Sabko Sunaate Jaate,.

Ab Tanha Hoon To Har Baat Puraani Yaad Aai,.
Kaise Hum Ek Duje Ki Ghazlein Sajaate Jaate,.

Un Hone Hi Rone Pe Majboor Kardiya Aaj "Logon..
Jo Har Waqt Hume Ghamon Se Bachaate Jaate,.

-Azeem-

Missing You Badly,..


Azeem bhai....kisi ne kaha tha ki aah pe waah kaise kahen magar shayri ki mehfil ka dastoor hai ki dil ke taaron ko koi shabd choo jaye to dard me bhi aah nahi waah hi niklti hai...bahoot khoob likha bhai..asha bhosle ji ka gaya ek nagma yaad aa gaya

bahut der se dar pe aankhein lagi theen
huzuur aate-aate bahut der kar di

maseeha mere toone beemaar-e-gam ki
dava laate-laate bahut der kar di

muhabbat ke do bol sunane na paaye
vafaaon ke do phool chunane na paaye

tujhe bhi hamaari tamanna thi zaalim
bataate-bataate bahut der kar di
huzuur aate-aate ...

koi pal mein dam tod dengi muraaden
bikhar jaayengi meri kvaabon ki yaaden

sada sunate-sunate kabar lete-lete
pata paate-paate bahut der kar di
huzuur aate-aate ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 28, 2010, 06:22:34 PM »
Azeem jee!aap kee ye sanjeedaa gazal paRh kar lagtaa hai aansuoN kee siyaahee me palkoN kee kalam dubo kar dard ke tamaam dstkhat ek saath kar diye gaye hoN....dard kaa ye taanaa baanaa dekh kar dil udaas ho gayaa!khush raheN...jeene kaa koi nayaa bahaanaa aap ko jald hee haasil ho ....meri or se daad hee nahee dher saaree duaayeN...

Shukriya Mamta Ji, Hausla Afzaai Aur Humdardi Ke Liye, Bas Aap Sab Se Duaa Ki Darkhwaast Hai, Hamaari Kamyaabi Ke Liye Duaa Karein,.

Rab Khair Kare,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:07:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer