jaate jaate

by bond on June 13, 2005, 02:04:29 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 4237 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #60 on: June 22, 2005, 12:05:16 PM »
insaan apni marzi se kuch bhi na ker sake
apni khushi se ji na sake aur na mer sake

khushaali me tha saath dosto ka ek hujum
us wakt hum kisi ka imtehaan na ker sake

chaha ghum-e-hayat se pa jaye hum nijaat
so baar zakhm khaye mager hum na mer sake

dunya ki dosti ko SAMNOJ samajh na paye
anchaha ho gaya ager, chaha na ker sake
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
(¨`v´¨) Jaate Jaate Woh Hum Ko Achi Nishani De Gaye (¨`v´¨) by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jaate jaate meri sansar chali gayee by Rajeev_bekhudi in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAATE JAATE WHO KUCCH AAISA NISHAANI DE GAYE by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
bond
Guest
«Reply #61 on: June 22, 2005, 12:45:33 PM »
bahut achhe sammy


gale lagaa ke jo sunate the dil kii aahon ko
taras rahaa huun unhin kii haseen baahon ko

qadam qadam pe vo aankhein bichhaa bichhaa denaa
zaruur yaad to hogaa tumhaarii raahon ko

duhaayii hai teri ai raahazan duhaayi hai
ki aaj luut liyaa raahabar ne raahon ko

mile na phir tere daaman mein daag un ke
sharaab-e-naab se dhoyaa hai jin kii aahon ko

nm
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #62 on: June 22, 2005, 12:51:25 PM »
Quote from: "bond"
bahut achhe sammy


gale lagaa ke jo sunate the dil kii aahon ko
taras rahaa huun unhin kii haseen baahon ko

qadam qadam pe vo aankhein bichhaa bichhaa denaa
zaruur yaad to hogaa tumhaarii raahon ko

duhaayii hai teri ai raahazan duhaayi hai
ki aaj luut liyaa raahabar ne raahon ko

mile na phir tere daaman mein daag un ke
sharaab-e-naab se dhoyaa hai jin kii aahon ko

nm


thanx n bahut ache raj
Logged
bond
Guest
«Reply #63 on: June 22, 2005, 01:26:37 PM »
thanx sammy.........


Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.


nm
Logged
bond
Guest
«Reply #64 on: June 24, 2005, 11:23:57 AM »
sadamaa to hai mujhe bhii ki tujhase judaa huun main
lekin ye sochataa huun ki ab teraa kyaa huun main


bikharaa padaa hai tere hii ghar mein teraa vajuud
bekaar mahafilon mein tujhe Dhuundhataa huun mainn


main Khudakashii ke jurm kaa karataa huun aitaraaf
apane badan kii qabr men kabase gadaa huun main


kis-kisakaa naam lauun zabaan par ki tere saath
har roz ek shaKhs nayaa dekhataa huun main


naa jaane kis adaa se liyaa tuune mera naam
duniyaa samajh rahii hai ke sab kuchh teraa huun main


le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib
do chaar saal umr mein tujhase badaa huun main

NM
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #65 on: June 24, 2005, 11:31:56 AM »
bahut ache bond
dono bhi achi hai

koshish ki jaan ne ki mager jaan na paya
tum paas the mere mager pahchaan na paya

piri fakeer ki bhi ki khidmat bahut lekin
bedaag kabawo me bhi imaan na paya

ahal-e-husn se bhi badhaya rabt tha lekin
us chamak damak me kahi bhi insaan na paya

aabadyon me hum bus akele nazar aaye
virana jise kahte hai viraan na paya

aise bhi mile karte the jo dawa khudaai ka
allah to kya inme koi  insaan na paya

shayed hai aaj tak bhi apni kasam me kami
jo dil me hai samnoj use pahchaan na paya
Logged
bond
Guest
«Reply #66 on: June 24, 2005, 11:40:49 AM »
bahut khoob sammy...............

aankhoon ko sukuun,dil ko milti hai khushi
jab jab tujhe nazro ke saamne paaya

tanhai mein gumsum tha akela mein
kaise bitau tum bin kaise aab tak reh paaya

jab jab khojne nikla mein tujhey "RAJ"
raahoon mein bas veerana hi paaya

BOND
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #67 on: June 24, 2005, 11:44:59 AM »
thanx n good one

phir meri aankho me sapne suhane aaye
yaad tere saath guzre hue zamane aaye
mushkilo me ho ker bhi mere liye aana tera
yaad wo aane ke tere sab bahane aaye
Logged
bond
Guest
«Reply #68 on: June 24, 2005, 11:50:05 AM »
waah sammy............


 phool hi phool khila karte they unn rahoon par
 hum sang sang chala kartey they jin rahoon par
aaj nahin tu bas tera dard hi hai saath mere  inn rahoon par
aaja ke tu aaj bhi intazaar karta hu mein tera inn rahoon par
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #69 on: June 24, 2005, 11:54:10 AM »
koi bataye ki kaise ab karaar aaye
kaise ab roothi hui bahaar aaye
koi bata de wo raaz hume samnoj
jis se bichda hua mera yaar aaye
Logged
bond
Guest
«Reply #70 on: June 24, 2005, 11:59:53 AM »
bahut khoob..sammy...

hai gum ka mausam aaj to kal ko bahaarein bhi aayengi...
kabhi to jindagi mein khushiyoon ki sadayein bhi aayengi...
ye waqt ka khel hai dost , khilaadi hai hai uparwaala...
aaj nahi to kal uske rehaam ki yahan barsaatein bhi aayengi....

BOND
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #71 on: June 24, 2005, 12:05:08 PM »
bahut khoob

ya rab mujhe meri duawo ka sila de
mujhe hai arzu jiski mujhe usse mila de
bhatakta hu andhero me manzil nahi milti
tu apne noor se raho me koi shamma jala de
dushman bhi ban jaye dost ranjishe khatam ho jaye
ye khuda apne karam kji wo hawa chala de
Logged
bond
Guest
«Reply #72 on: June 24, 2005, 12:10:31 PM »
bahut achhe sammy...

zamana ho gaya  sehte sehte iss dard ko
kya hoga jab iss dard ka khatam asar hoga....
qahar barpaya hai teri yaadon ne iss qadar..
ke aab tera milna bhi mujhse fir ek qahar hoga...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #73 on: June 24, 2005, 01:07:33 PM »
u ppl r gr888 ...kya khoob likhte ho aap log


dard seh seh kar aap khud ko na bhul jana...
jise manzil le jaye aap uss raha pe chale jana...
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #74 on: June 25, 2005, 10:21:13 AM »
thanx salma n bond

naam hai kya isi hungame ka aagaz-e-shabab
ek aandhi si chali aayi thi armano ki

nm
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:39:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer