jaate jaate

by bond on June 13, 2005, 02:04:29 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
Print
Author  (Read 4225 times)
bond
Guest
«Reply #75 on: June 25, 2005, 12:45:43 PM »
bahut achhe Rani sahiba n sammy...........

milne ko tujhse aaj meri tamannayein machal rahi hain
tanhai mein aaj armanoo ki aandhiyaan chal rahi hain
aankhon mein meri jaane kyun aaj aansuu hain itne
shayad dil pe jami hui teri yadoon ki barf pighal rahi hai

BOND
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
(¨`v´¨) Jaate Jaate Woh Hum Ko Achi Nishani De Gaye (¨`v´¨) by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jaate jaate meri sansar chali gayee by Rajeev_bekhudi in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAATE JAATE WHO KUCCH AAISA NISHAANI DE GAYE by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #76 on: June 25, 2005, 12:47:01 PM »
kuch is trah se chalti rahi halaat ki aandhi
ban ban ke bigadte gaye khawabo ke gharonde

nm
Logged
bond
Guest
«Reply #77 on: June 25, 2005, 12:58:41 PM »
good one


ulfat kaa jab kisii ne liyaa naam ro pade
apanii vafaa kaa soch ke anjaam ro pade


har shaam ye savaal muhabbat se kyaa milaa
har shaam ye javaab ke har shaam ro pade


raah-e-vafaa mein hamako Khushii kii talaash thii
do gaam hii chale the ke har gaam ro pade


ronaa nasiib mein hai to auron se kyaa gilaa
apane hii sar liyaa koii ilzaam ro pade

NM
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #78 on: June 25, 2005, 01:04:25 PM »
bahut ache ...kafi acha hai

khamosh rah ke dekha to sab choot ta gaya
ab ro ke dekhte hai ki kya haath aata hai

seekha hai jo zindagi ke tajrubo se ab tak
dekhe zara wo zindagi me kitna kaam aata hai

sabne kahi thi baate sada saath chalne ki
dekhe zara koun ab kitna saath nibhata hai

her rang se humne guzer ker dekha hai feekapan
ab dekhte hai koun sa rang naya rang lata hai
Logged
bond
Guest
«Reply #79 on: June 25, 2005, 01:12:45 PM »
bahut achhe sammy.........

udaas aankhon se aansuu nahin nikalate hain
ye motiyon kii tarah siipiyon mein palate han

unhein kabhii na bataanaa main unkii aankhein huun
vo log phuul samajhakar mujhe masalate hain

ye ek ped hai, aa is se milakar ro lein ham
yahaan se tere mere raaste badalate hain


kayii sitaaron ko main jaanataa huun bachapan se
kahin bhii jaauun mere saath saath chalate hain

BASIR BADR
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #80 on: June 25, 2005, 01:16:58 PM »
bahut khoob

jinki khatir hai ye aansu
karte hai kahtir unki ye aansu
ro ker bhi dekh liya hum ne
kuch kaam, ke nahi mere aansu
Logged
bond
Guest
«Reply #81 on: June 25, 2005, 01:23:08 PM »
bahut khoob sammy.....

meri aankhon mein rehtein hain par
tere khatir baraste hai ye aansoon
tujhko kya bewafa kahuun aab mein
jab bewafa hi nikle mere ye aansoon
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #82 on: June 25, 2005, 01:28:11 PM »
bahut khoob

sagi aankho me gair ke aansu
na tahrte hai na bahte hai ansu

bhale bahe ho ye aankho se meri
per base hue hai na nas me aansu
judi nahi hai aankhe ye dil se
per dukhta hai dil tab bahte hai aansu
Logged
bond
Guest
«Reply #83 on: June 25, 2005, 01:34:31 PM »
bahut khoob.....

dil mein gum hota hai
to aankhoon se barasta hai
ye gum ka baadal dinraat
aab aankhon se barasta hai
tere dard kuch yu hua hai asar
ke aina bhi mujhey dekh hasta hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #84 on: June 25, 2005, 01:37:23 PM »
bahut ache

hak aise mujh per jata rahe hai
jaise ye mere apne hai
hote ger ye itne apne
to rokne se ruk jaate aansu
Logged
bond
Guest
«Reply #85 on: June 25, 2005, 01:42:01 PM »
bahut khoob.....

mere ashqoon mein samayi hai
mere ishq aur intzaar ki kahani
koi samjey to dard hai ye ,aur
na samjhey to hai bas aankh ka paani
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #86 on: June 25, 2005, 01:46:30 PM »
Quote from: "bond"
bahut khoob.....

mere ashqoon mein samayi hai
mere ishq aur intzaar ki kahani
koi samjey to dard hai ye ,aur
na samjhey to hai bas aankh ka paani


bahut ache bond
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:02:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer