jab aankhein khuli to jaana.....

by nikki on September 04, 2005, 03:04:19 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Author  (Read 5206 times)
nikki
Guest
aaj jabb aankhein khuli to jaana...............

woh rishte jinpe hum garoor karte hain
wahi pal mein, hawa ke jhonke ki tarah
hamari bhavnao ko chaknachoor karte hain

jab sachayi ka saamna hota hai
tabb thes lagti hai

woh jinse umeed ki thi khushiyon ki
unhone humein apne dukh ka karan maana
unke muntzir the hum
ya-khuda unhone humein yeh kya samjha, yeh kya jaana

aaj dil ka aangan kuch soona sa hai
gum kis baat ka hai..
kyun humein hamari neki ki saza mili
yeh bhi to pata nahi

aaj halaat ne humein yeh samjhaya hai
woh jo har pal, har kadam....tamaam-umr.. aapke saath chalta hai
woh koi aur nahi, aapka apna saaya hai  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khuli aankho se by innocent.devil20 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khuli aankho by jempawan in Shayari -e- Husn
Nind khuli to... by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3 4 5 »
AANKHEIN KHULI TO CHAHRA TUMHARA HO by taheer khaja in Miscellaneous Shayri
Aankhein khuli chhodi hai....ritesh by Ritesh Modi in Shayri-E-Dard
thycreator
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2005, 03:08:55 PM »
Wah Nikki ji......bahut dino ke bad apko padh kar accha laga........

Socha tha badal gaye ho tum bhi jamane ki tarah,
Pehlu mein aake jana ki wo kashish ab bhi baki hai......;-)
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2005, 03:12:37 PM »
ha ha...thanx ..Nice to see u buddy

very nice....

gum to yeh hai kabhi kissi ne aazmaya hi nahi
dard to lakhon hain, magar kabhi kissi ko raaz-e-dil sunaya hi nahi
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2005, 04:37:03 PM »
Wah Wah Nikki ji..........this one was mind blowing...........

Wo apna hame kehtehai , phir haal e dil chupate,
Jane kis rasm mein wo humse naye rishte nibhate,
Jo keh dete bayan e dil toh rasm e wafa hoti,
Unke har ek gum ko hum apne ashkon mein bahate.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: September 04, 2005, 04:44:27 PM »
Wah nikki sis,bohat khoob Usual Smile .......nice written thy.

"Jaana jise apna wo apna hi begaana nikla,
      kisse kya kahein,jeevan hi apna sapna nikla."
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2005, 04:57:46 PM »
Thanx a lot Nidhi ji.........

Gum nahi hame iss bat ka ki jindagi ne ruswa hame kiya,
Hum yahi gum karte hai ki ab talak jinda rahe hai hum....
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: September 04, 2005, 05:01:04 PM »
thanx THY n Nidhi sis....Bahut khoob both of u...

yeh parda-daari humein zamaane ne sikhayi hai
koi raz-e-dil ban jaata apna bhi
to sach ho jaata dekha hua sapna bhi
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: September 04, 2005, 05:46:34 PM »
thanx nikki sis and again very nice written.

"Raat guzarti nahi subah ho jaati hai,
  ulfat me baithe baithe shaam dhal jaati hai,
  teri yaad hamein is kadar aati hai,
  yunhi pal bhar me sadiyaan guzar jaati hain."
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: September 04, 2005, 05:50:01 PM »
wowwww sis wonderfull...Nidhi sis kamaal kar ditta....hehe

dil ke rishte ajeeb hote hain
aaj kho diya maine kissi ko
jo paa lete hain apni muhabbat
woh khushnaseeb hote hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: September 05, 2005, 07:33:14 AM »
wow    superbsssssssss   Nikki.....   too  good  work......Amit.........   Nidhi....
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 05, 2005, 10:33:52 AM »
Very Nice work...Nikki.... Amit and Nidhi !!!!!!! Bohot khoob !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: September 05, 2005, 12:29:10 PM »
Quote from: "nikki"
aaj jabb aankhein khuli to jaana...............

woh rishte jinpe hum garoor karte hain
wahi pal mein, hawa ke jhonke ki tarah
hamari bhavnao ko chaknachoor karte hain

jab sachayi ka saamna hota hai
tabb thes lagti hai

woh jinse umeed ki thi khushiyon ki
unhone humein apne dukh ka karan maana
unke muntzir the hum
ya-khuda unhone humein yeh kya samjha, yeh kya jaana

aaj dil ka aangan kuch soona sa hai
gum kis baat ka hai..
kyun humein hamari neki ki saza mili
yeh bhi to pata nahi

aaj halaat ne humein yeh samjhaya hai
woh jo har pal, har kadam....tamaam-umr.. aapke saath chalta hai
woh koi aur nahi, aapka apna saaya hai  


Shubhaan Allah .... khob se khoobter khyaalaat hai ... kya likhu alfaaz nhi hai bas mein ..... bhoot khob likha hai ... ik paigaam de rha hai har ik lafz ... ke e bekhabaar yeh jazbaat yun hi nhi saware hai .. inmein mahek hai khooye yaar ki ....... hummmm .... yeh ashq bhi sougaat hai ..... ishq ka gouhar hai ..... jis se muhoobat kro whi shaks ashq e samunder de jaye ....... yeh muhoobat ki hi sitamzarfi nhi to kya hai ...khair ... har haal mein jeena padta hai ........  yeh dil e nadaan phir bhi bevffa e yaar ki khariyaat mangta hai ....  mazboori e ishq hai yeh ....



Khizaan hai chaman mein lutaa ashiyaana
mitaya muqadar ne dil ka Khazaana
 
jahaan ishq mein gul khilaate the armaan
wahin bijliyon ne kiya hai nishaana

basaya tha dil mein jinhen apna kah kar
unhen tha mitaa kar mujhe azmaana  !!!

Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: September 05, 2005, 01:06:58 PM »
Quote from: "nikki"
aaj jabb aankhein khuli to jaana...............

woh rishte jinpe hum garoor karte hain
wahi pal mein, hawa ke jhonke ki tarah
hamari bhavnao ko chaknachoor karte hain

jab sachayi ka saamna hota hai
tabb thes lagti hai

woh jinse umeed ki thi khushiyon ki
unhone humein apne dukh ka karan maana
unke muntzir the hum
ya-khuda unhone humein yeh kya samjha, yeh kya jaana

aaj dil ka aangan kuch soona sa hai
gum kis baat ka hai..
kyun humein hamari neki ki saza mili
yeh bhi to pata nahi

aaj halaat ne humein yeh samjhaya hai
woh jo har pal, har kadam....tamaam-umr.. aapke saath chalta hai
woh koi aur nahi, aapka apna saaya hai  

Bohat khoob Nikki.......zabardast!

baaqi sab ne bhi bohat acha likha hai.....
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #13 on: September 05, 2005, 01:48:38 PM »
wow nikki sis...amit...nidhi...n humtum ..aap..log toh ek se badh kar ek hain :oops: Usual Smile gr88888
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: September 05, 2005, 03:47:47 PM »
well done nikki...bohot acha likha... baki dost bhi kuch kam nahin!!  :D

ankhon me sapne kabhi hum bhi sajate te,
band ankhon se kabhi hum bhi muskurate te,
toote jab khwab to badi takleef hui dil ko,
aab nahin dekhte koi sapne, jo haqiqat se door hume le jate te!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:30:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer