<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 31
Print
Author  (Read 32011 times)
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #225 on: October 28, 2005, 03:26:28 PM »
Thanxxxxx From Saba & Faree

Waheed
Fareed nahi Faree kahe ya kahe Naveed Puzzled !

Quote from: "waheed_rose2004"
excellent  Freed...............Saba Saba........  bahot  khoob..

Woh Na Ab Log Hain Baaqi Na Woh Zamana Hai
Bhuja Bhuja Sa Nazar Ka Nighar Khaana Hai....


Aap ka to jawab hi nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #226 on: October 28, 2005, 03:29:50 PM »
Kya kahu us se ke jo baat samajhta hi nahi
Woh to Milne ko mulaqat samajhta hi nahi

Dukh to mujh ko bhi judayi ki ghari ka hai magar
AAj kyu soche har ek baat samajhta hi nahi

Raat purwayi ne us ko bhi jagaya hoga
Raat kyu kat na saki raaz samajhta hi nahi

Shayri ka koi andaaz samajhta hai unhe
Woh mohabbat ki rawayat samajhta hi nahi..nm
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #227 on: October 28, 2005, 03:57:36 PM »
very  nice  Saba................nice  wordings........

aankho'n mien jis k wastay har pal nami rahi
wohi to zindageee ki meri kami rahi
manzil meri pohanch say bohat duur ho gaee
warna safar ki dhuul to sar par jami rahi.............
Logged
tushu
Guest
«Reply #228 on: October 30, 2005, 11:53:23 AM »
VERY NICE ALL OF U........

WAQT KI CHOT KO DHHUL NA SAMJHNA
JO SAMJHE KOI BAAT KO TO ANJAAN NA SAMJHNA
SHAYAD UNHE PYAAR DIKHANE KA EHSAAS NAHI,
YA TO PHIR UNHE HUMSE HI PYAR NAHI


Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice  Saba................nice  wordings........

aankho'n mien jis k wastay har pal nami rahi
wohi to zindageee ki meri kami rahi
manzil meri pohanch say bohat duur ho gaee
warna safar ki dhuul to sar par jami rahi.............
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #229 on: November 24, 2005, 04:45:51 PM »
Waheed just great ........ n Thank you So much .... :oops:

Tushu .... very nice ... keep writing



Ishq aur dard ssath chalta hai
Kabhi aansu khushi me dhalta hai
Waqt karta hai wafa zindagi sawarti hai
warna yehi dard qatal e aam karta hai
Logged
nikss
Guest
«Reply #230 on: December 08, 2005, 02:00:04 PM »
Gungunatey huye aanchal ki hawa de mujhko
ungliyan phair k baloon main sula de mujhko
 yaad kar k mujhay taqleef hi hoti hogi
ik qissa hoon purana sa bhula de mujhko
 doobtey doobtey awaaz teri sun jaoon
aakhri baar tu saahil se sada de mujhko
deikh main ho gayya hoon badnaam kitaboon ki tara
 meri tash'heer na ker jala de mujhko
aur kuch bhi nahi maanga mere maalik tujh se
 uski galyun main pari khaak bana de mujhko
loog keahtey hain k yeah ishq nigal jata hai
main bhi iss ishq main aaya hoon duaa de mujhko
 yeah auqat hai meri tere jeevan main k main
koi kamzoor sa lamha hoon bhula de mujhko
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #231 on: December 11, 2005, 09:12:00 PM »
Nikss

My Friend .... Welcome to Yoindia
Happy to see u here......... tongue3

Aap ke liye kya likhu...

Woh lamha jise tum ne kamzor jaana
Woh lamha mere liye bohat khas hai
Yuhi kaise bhool jaaugi Usey
Wohi to meri zindagi wohi to meri aas hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #232 on: December 12, 2005, 06:33:49 PM »
Thanxxxxxx  Saba........Tushu..............vey  nice  Saba.......Tushu......Nikss.........wonderful  reply....

bus  itni  see  kahani  hai,iske  siwa kuch  bhi nahi
roo  bichad  gaya, aur main  bikhar  gaya.......
Logged
Sonu
Guest
«Reply #233 on: December 13, 2005, 03:35:09 AM »
sabney bhut he acha likha hai keep it up the good work dosto
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #234 on: December 13, 2005, 05:35:11 AM »
waah waahid ji...wah..kya marvelous gehrayee di hai aapne apne lafzon ko......

Bikharte hue Jazbaaton ko samet lo apne aanchal main
na do ise naam rooh ka, kahain ye tera daman na chhod de.
lamha-lamha hai mere dost, us mout ko pegaam
uthhalo un bikhre hue ahsaason ko kahin wo teri saanse na rok de.


waahid ji bahoot achha lagta hai aapki shayari ka andaaz padker...our bahoot afsos hota hai jab aisi ashar per jab comments kutchh is tarah ke aatein hain ki..."Bahoot achha likha hai sabne"...toh koft hoti hai...aisa likhne ka matlab hai ki..us shaks ne us ashar ko shayad samjha hi nahi..ya nazer andaaz ker diya...apna likhne ki chaah main woh achhi achhi cheezon ko padna bhi ganwaara nahi samjha....is tarah lafzon ko anzaam dene main, kaafi dikkat mehsoos hoti hai...shayar ke dil-o-deemaag, jab charam seema paar kerta hai..toh shayad,is tarah ka koi oomda ashar Zehen se nikalta hai....chhoo jata hai dil ki Gehraayion ko....Rahi aapki baat...bahoot achhi shayari kerte hain aap...so padne main sakoon sa milta hai....hamare likhne ka matlab kisi ko dukh pahoochaane ka katayee nahi hai...phir bhi agar kisi bhi shaks ko dukh pahooncha ho toh main tahe dil se muafi choonga...khuda aap sab ke zehen main tandrusti de......God bless you all..always

harsh[/b]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #235 on: December 13, 2005, 06:01:29 AM »
aha kya baat hai nikss ji....mohabbat ki parchhaiyaan jhalakati hain aapki shayari main....bahoot sunder.....

Zulfon ke saaye main shaam kerna chahte ho
har shaam ik naya Gunaah kerna chahte ho
Na do takleef apne tasawur-e-khyalaat ko
apne Zakhmon ki tees se, unhe yaad rakhna chahte ho.

Lamha lamha keemti hai ...bahoot khoob likha aapne..."aour kutchh bhi nahi maanga mere maalik tujh se,uski galion main pari khaak bana de mujhko"...

Fizaan Bheegi Bheegi lage mausam suhaana,
bada lutf ataa teri zulfon ke saaye main sote.
hakeekat main hoti buland meri kismat,
toh ham teri galion ki rah-e-khaak hote.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #236 on: December 13, 2005, 06:18:20 AM »
Saba ji rahi aapki baat...aapki shayari main hameshaan ek naya sa andaaz raha hai....har baar nayi si cheez dekhne ko mili...lafzon ko agar ulat palat dein toh kya se kya ker dein..

Do  nazme aapki nazer kerta hoon ...pesh hai....Gaur farmayie..

             (1)
maine apnii tamannao ko
Jabt se sajaya hai,
our tujhe paane ke liye
har sukhan aajmaaya hai,
kai baar
ye kehne ko zubaan
tarsi hai
ki tujhe apna ke bhi
nahi paya hai.

          (2)

Kis tarah maikede se nikla
our kaise kun-e-yaar chala aya
na vakif-e-raah, na hosh baaki tha
kyuin ker yahaan tak chala aya.
Girte, lad-khadate jyuin-jyuin
nizd-e-aastaan-e-yaar ja hi gira
girte hi sukoon aya
phir
sar khud-b-khud
tere farsh-e-aastaan tak
chala aya.
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #237 on: December 13, 2005, 09:27:56 AM »
bahut Khoob Harsh Jee !!

Nazarane lootney char ye nazar band bhi chala aaya
Muhabaat choot gayi tere paas hosh aatey hi yaad aaya
Mehek tere daman ki, Aapni muhabaat ki khusbu se chala ayaa
Dekh tujhe kissi orr ki bahon mein,
Aansuon se muhabaat dhotey chaley aaye!!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #238 on: December 13, 2005, 02:46:34 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Thanxxxxxx  Saba........Tushu..............vey  nice  Saba.......Tushu......Nikss.........wonderful  reply....

bus  itni  see  kahani  hai, iske  siwa kuch  bhi nahi
woh  bichad  gaya, aur main  bikhar  gaya.......


Waheed marvellous

Kaha chhupa chhupa kar rakhte ho ... inte pur asar ashar


Reply nahi kar sakti :oops: lafz nahi mil rahe
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #239 on: December 13, 2005, 03:08:27 PM »
Quote from: "harashmahajan"
Saba ji rahi aapki baat...aapki shayari main hameshaan ek naya sa andaaz raha hai....har baar nayi si cheez dekhne ko mili...lafzon ko agar ulat palat dein toh kya se kya ker dein..

Do  nazme aapki nazer kerta hoon ...pesh hai....Gaur farmayie..

             (1)
maine apnii tamannao ko
Jabt se sajaya hai,
our tujhe paane ke liye
har sukhan aajmaaya hai,
kai baar
ye kehne ko zubaan
tarsi hai
ki tujhe apna ke bhi
nahi paya hai.


Thank you Harash Ji.... Aap sharminda kar rahe hai
itni achhi nahi hai meri shayri.... abhi is me bohat na pukhtagi hai

Harash ji .... saare teer mujh par hi aazma rahe hai .... This one Excellent

Paas ho kar bhi duur tha
Jaane kyu itna majboor tha
Hum rahe umeed me uski
Aur woh gamo se choor tha
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:48:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer