<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 31
Print
Author  (Read 32189 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #240 on: December 13, 2005, 04:19:27 PM »
Everyone done very well...........................


saaqi teri mehfil mein ek mehmaan abhi baki hai....,
teri may ka, tere roop ka kadardaan abhi baki hai....;
is tarah kaise uTh jaaoo'n, kahani adhoori chhoD kar aise...,
tune rukh se naqaab uThaaya hai mera imtehaan abhi baki hai..!!!   (nm)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #241 on: December 13, 2005, 04:57:54 PM »
kya kahoon nirbhay ji badi saadgi se saari baat keh gaye...bahoot khoob....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #242 on: December 13, 2005, 05:00:10 PM »
Saba ji..aisa na kahiye .....jo hai wahi likha jata hai...bahoot se oomda our majboot pakad waale shayar yahaan is site par mojood hain....unki rai bhi shayad is rai se mukrtalif nahi hogi....

ab aap isko kya kahenge jo aapne nazer kiya...itna sunder Muktak aapne pesh kar diya...

"paas hoker bhi door tha.....our woh gamo se choor tha"

Is muktak main mujhe toh koi kami nazer nahi aayee..poori tarah chhand badhh kiya gaya hai.....

mujhe toh tere chahne waale bhi achhay lagne lage
Jab se woh tera naam leker mujhko bhi thhagne lage.
Raat ke har pehar main unki ik-ik baat ka matlab
yuin hi soch soch ker ham tasawwur main bhi hasne lage.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #243 on: December 13, 2005, 06:21:31 PM »
Hmmmmmmmm

Jab bhi diya hum bujhate hai
Khayalo.n me woh chale aate hai
Apni shakhshiyat ke saare rang
Humare paas chhor jaate hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #244 on: December 14, 2005, 05:49:00 AM »
Waah..........

Aap aati hain,
our phir chali jaati hain....
hazoor..!!
Aapse toh aapki yaad hi achhi,
jo aati hai..
phir jaati hi nahi.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #245 on: December 14, 2005, 01:16:12 PM »
Quote from: "harashmahajan"
waah waahid ji...wah..kya marvelous gehrayee di hai aapne apne lafzon ko......

Bikharte hue Jazbaaton ko samet lo apne aanchal main
na do ise naam rooh ka, kahain ye tera daman na chhod de.
lamha-lamha hai mere dost, us mout ko pegaam
uthhalo un bikhre hue ahsaason ko kahin wo teri saanse na rok de.


waahid ji bahoot achha lagta hai aapki shayari ka andaaz padker...our bahoot afsos hota hai jab aisi ashar per jab comments kutchh is tarah ke aatein hain ki..."Bahoot achha likha hai sabne"...toh koft hoti hai...aisa likhne ka matlab hai ki..us shaks ne us ashar ko shayad samjha hi nahi..ya nazer andaaz ker diya...apna likhne ki chaah main woh achhi achhi cheezon ko padna bhi ganwaara nahi samjha....is tarah lafzon ko anzaam dene main, kaafi dikkat mehsoos hoti hai...shayar ke dil-o-deemaag, jab charam seema paar kerta hai..toh shayad,is tarah ka koi oomda ashar Zehen se nikalta hai....chhoo jata hai dil ki Gehraayion ko....Rahi aapki baat...bahoot achhi shayari kerte hain aap...so padne main sakoon sa milta hai....hamare likhne ka matlab kisi ko dukh pahoochaane ka katayee nahi hai...phir bhi agar kisi bhi shaks ko dukh pahooncha ho toh main tahe dil se muafi choonga...khuda aap sab ke zehen main tandrusti de......God bless you all..always

harsh[/b]


Thanxxxxxx alot   Harsh  Bhai..........aap  ne  bahot jyada hi  tareef  kar diya....Harsh  bhai  yahan sabhi log  bahot  accha likhte hain...mujhse  bhi accha.....mujhe  sabhi  logon  ki  acchi  lagti hai....aap  ki bhi...sirf  fark  itna hai ki mere paas itna time nahi milta ki  har ek  ko main  reply  kar  paon...jo  old members  hain  jinke saath  maine  bahot likha unko  hi main  poora time nahi  de paata hoon......Yoindia  per  sabhi logon ka  andaaz niraala hai.........

excellent work ..............Harsh......Saba........Nirbhay..... ...Badnaam  shayar......Sonu........&  all...........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #246 on: December 14, 2005, 01:38:52 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Quote from: "waheed_rose2004"
Thanxxxxxx  Saba........Tushu..............vey  nice  Saba.......Tushu......Nikss.........wonderful  reply....

bus  itni  see  kahani  hai, iske  siwa kuch  bhi nahi
woh  bichad  gaya, aur main  bikhar  gaya.......


Waheed marvellous

Kaha chhupa chhupa kar rakhte ho ... inte pur asar ashar


Reply nahi kar sakti :oops: lafz nahi mil rahe


Thanxxxxxxxxxxxxx  alot  Saba..................
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #247 on: December 14, 2005, 04:17:17 PM »
Harash Bohat KhuuB :oops:

Waheed u r right.... sab ko waqt dena bohat mushkil hai lekin
namumkin to nahi na tongue3
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #248 on: December 15, 2005, 05:36:35 AM »
Shukriya Waheed and Saba ji.........
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #249 on: December 15, 2005, 09:04:03 AM »
Yaadein........

Hayat ka sarmaya
Jeene ki chah
aur kabhi aansu
kitne roop leti hai yeh yaadein
mushkil to tab hoti hai
jab yeh yaadein us ki ho
jo humare paas na ho
Aur hume bohat azeez ho
Logged
tajinder
Guest
«Reply #250 on: December 15, 2005, 02:21:04 PM »
ik intzaar tha, ab nazar mein vo bhi nahi
safar mein marne ki furst thi, ghar mein vo bhi nahi,

zaraa malaal kii zulmat ko talne ke liye
kaii khyaal the, ab to asar mein vo bhi nahi,
(malaal=sorrow/anguish: zulmat= darkness)

Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
main rah guzar mein nahi, rah guzar mein vo bhi nahi,
(sang=stone: khaar= thorn)
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #251 on: December 15, 2005, 04:08:06 PM »
gr8 all of u......

"khud hi ko khud ba khud tabaha kiya hai maine,
  aur tabahi pe apni wah wah kiya hai maine.
   
  chaha tha viran zindagi mein apni range ishq bharu,
  jahan ka bas yahi ek gunaha kiya hai maine.
   
  maut meri manzil hai badh raha uski taraf,
  zindagi teri kab parwah ki hai maine.
   
  teri surat, teri tasvir, teri aankho se tadapkar,
  bar bar aaha kiyahai maine."

nm...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #252 on: December 15, 2005, 05:13:36 PM »
Chain se beete the kutchh din ab toh ye hona hi tha,
Zurm Hansne ka kiya tha Ek din Rona hi tha.

Aajmana chahta tha woh hamare Zarf ko
Hum diya banker jale, usko saba hona hi tha.

Mushkilein hamko milien sab nemtein uski huin,
Hum hue insaan toh use khuda hona hi tha.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #253 on: December 15, 2005, 06:50:09 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Harash Bohat KhuuB :oops:

Waheed you r right.... sab ko waqt dena bohat mushkil hai lekin
namumkin to nahi na tongue3


haan Saba  namumkin to kuch bhi nahi ............:oops:
excellent  work aall friends.................keep  it up........


main  har  gum mein hansta raha aankh  kabhi  num na hue
main saath chala duniya ke magar duniya shareeke  ghum na hue .....
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #254 on: December 16, 2005, 06:12:27 AM »
gr8 ... good onw waheed bhai........
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:04:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer