<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 31
Print
Author  (Read 31870 times)
mili_genie
Guest
«Reply #255 on: December 16, 2005, 06:13:34 AM »
Hamko kyon tumne bhula diya
Dekhe hansi hontho pe
Phir kyon itna rula diya

Jin hatho ka tha sahara
Unhone hee duba diya
Hamko chhod majdhaar
Khud sahil pe gaya

Mere gum kee ye daasta
Sunta hai zameen ashmma
Ek na sune wahi
Jiske liye jita hoon yahana

Hamko mila ye kya sila
bhulyaa jinke liye sabko
Unhone hee hamko kyon bhula diya

Dard hai dil main
Ankho main anshoo mere
Din ke ujale main
ab bhee sapne dekhoon tere

Na hai ab koi manjil
Mile na kohi raste
Lagta hai jese ye jindgi
Mili hame Gum ke waste

Bhula esa kyon diya
Jee na paaye chahkar bhee
Hum to tumko bhula na paayenge
shayad ab to markar bhee.....

nm..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #256 on: December 16, 2005, 03:53:52 PM »
Quote from: "tajinder"
ik intzaar tha, ab nazar mein vo bhi nahi
safar mein marne ki furst thi, ghar mein vo bhi nahi,

zaraa malaal kii zulmat ko talne ke liye
kaii khyaal the, ab to asar mein vo bhi nahi,
(malaal=sorrow/anguish: zulmat= darkness)

Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
main rah guzar mein nahi, rah guzar mein vo bhi nahi,
(sang=stone: khaar= thorn)


Very Nice Tajinder Ji

Safar hayat ka abhi hua hai shuru
Abhi to raah me aayenge mod kayi
Hume to bas chalte jana hai
Umeed saath liye subah ki nayi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #257 on: December 16, 2005, 06:24:19 PM »
excellent .......mili,.......Tajinder...........Saba.......  bahot khoob........
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #258 on: December 17, 2005, 06:45:41 AM »
thanx a lot waheed bhai......
Logged
sunnyb
Guest
«Reply #259 on: December 17, 2005, 11:25:22 AM »
Aaj usne apni sagayee ki baat sunai hai,
aisa laga ki mohabbat ke badle di tanhai hai

unhe kya khabar yeh dil kitna rota hai,
unhe kya khabar mere dil ki kya gehrayee hai

hum do duaa mange ge unki khushiyo ki
magar mukaddar mein humare dard-e-judai hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #260 on: December 17, 2005, 02:55:22 PM »
Quote from: "sunnyb"
Aaj usne apni sagayee ki baat sunai hai,
aisa laga ki mohabbat ke badle di tanhai hai

unhe kya khabar yeh dil kitna rota hai,
unhe kya khabar mere dil ki kya gehrayee hai

hum do duaa mange ge unki khushiyo ki
magar mukaddar mein humare dard-e-judai hai
Hum toh anjaane main hi mohabbat ker baithe
maloom nahi tha isi  ka naam hi ruswaayee hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #261 on: December 17, 2005, 04:17:36 PM »
SAR JHUKAOGE TO PATHAR DEVTA HO JAEGA,
ITNA NA CHAHO USE WOH BEWAFA HO JAEGA,
HUM BHI DARIYA HAI HUMEIN APNA HUNAR MALOOM HAI,
JIS TARAF BHI CHAL PADENGE RAASTA HO JAEGA,
KITNI SACCHAI SE ZINDAGI NE KEH DIYA,
TU NAHI MERA TO KOI DUSRA HO JAEGA,
RUTH JANA TO MOHABBAT ME JAYAZ HAI LEKIN,
KYA KHABAR THI MUJH SE WOH ITNA KHAFA HO JAEGA
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #262 on: December 17, 2005, 04:23:26 PM »
Quote from: "phoenix"
SAR JHUKAOGE TO PATHAR DEVTA HO JAEGA,
ITNA NA CHAHO USE WOH BEWAFA HO JAEGA,
HUM BHI DARIYA HAI HUMEIN APNA HUNAR MALOOM HAI,
JIS TARAF BHI CHAL PADENGE RAASTA HO JAEGA,
KITNI SACCHAI SE ZINDAGI NE KEH DIYA,
TU NAHI MERA TO KOI DUSRA HO JAEGA,
RUTH JANA TO MOHABBAT ME JAYAZ HAI LEKIN,
KYA KHABAR THI MUJH SE WOH ITNA KHAFA HO JAEGA



Bahoot khoob phonix ji....

Na do Zark itni ke saahil hi khafa ho jaaye
pyaar ufaan  se pehle hi  be-wafa ho jaye.
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #263 on: December 18, 2005, 06:26:35 AM »
WEll said all..

Great going ...

Ques....
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #264 on: December 18, 2005, 10:37:17 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Saba_Saba"
Harash Bohat KhuuB :oops:

Waheed you r right.... sab ko waqt dena bohat mushkil hai lekin
namumkin to nahi na tongue3


haan Saba  namumkin to kuch bhi nahi ............:oops:
excellent  work aall friends.................keep  it up........


main  har  gum mein hansta raha aankh  kabhi  num na hue
main saath chala duniya ke magar duniya shareeke  ghum na hue .....


Bilkul jhoot... tongue3

Jo tere saath chale tu usey bhool gaya
Tujhe to gum apna hi bas yaad raha
Tamam umar teri aankh se aansu hi bahe
Jis ne unhe chun rakha tu usey bhool gaya
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #265 on: December 18, 2005, 10:39:14 AM »
Milli.... Sunnyb..... phoenix... aur Harash Ji

Greattttt... good going tongue3
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #266 on: December 18, 2005, 10:47:57 AM »
Mujhe Is Baat Ka ghum nahi ke badal gayaa zamaana
Meri zindagi to sirf tum ho,Kahin tum na badal jana

Phir uske jaate hi dil sunsaan ho kar reh gaya
Accha bala ek sheher tha weeran hokar reh gaya

Yeh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai
Tere beghair har khushi bhuji bhuji si lagti hai

Hasti hain aankhein magar rehti hai un mein nami
Sab kuch merey paas hai bass hai teri kami

Koi karta hai agar pyar bhari baat to hum
Sheher ke sheher sitron se saja dete hain

Saara he shehr ke janajay mein  tha sharik
Tanhayion ke khof sey jo shaksh mar gaya

Phool patto se judaa hai khushboo se nahi
Tum mujh se juda ho mere Dil se nahi..............
Logged
phoenix
Guest
«Reply #267 on: December 18, 2005, 05:50:09 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Milli.... Sunnyb..... phoenix... aur Harash Ji

Greattttt... good going tongue3

shukriya  saba ji and harsh ji




UNKI  DOSTI  KA NISHAAN ABHI BAQI HAI,
NAAM UNKA LABON PAR AB BHI BAQI HAI,
KYA HUA JO DEKH KAR MUH PHER LETE HAI,
TASSALLI HAI KI SHAKL KI PEHCHAN ABHI BAQI HAI sad5  sad5  sad5
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #268 on: December 19, 2005, 02:17:31 PM »
Phoenix Ji......... Nice

Baaqi to bohat kuchh hai....... par mujhe aisa kyu lagta hai

Wohi nazar hai
wohi asar hai
Woh jo chhup gaya tha kabhi
aaj rubaru woh qamar hai
Koi jaane na jaane lekin
Woh mere saamne jalwagar hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #269 on: December 19, 2005, 02:25:20 PM »
Mashallah Bahot Khob Saba..

Saba(ur name) Nay Kay Baath Kahee Hai,
Saba(ur name) Kee Kay Baath Hai,

Saba(air) He tou zindagee hai,
Saba(air) He saath hai..

Ques...
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:07:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer