<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 ... 31
Print
Author  (Read 31712 times)
Sonu
Guest
«Reply #330 on: January 27, 2006, 03:52:59 AM »
bahut khoob guidya... harash ji... dilsey ji... and tushar ji sabney bahut acha likha hai... wonderful guys... keep up the good work
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #331 on: January 27, 2006, 05:13:11 AM »
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.


Quote from: "Saba_Saba"
Haila
kab ki dillagi Puzzled !

ab to parde me hai to yeh haal hai
khul gaya parda to kya hoga janab
hum ne sirf baatein hi ki hai abhi
gar ki dillagi to kya hoga dijiye jawab


Quote from: "harashmahajan"
theek kaha aapne....

zulf bikhra ke mat chala keejiye ,
itni masti main mat raha keejiye,
ho jaayegi kisi ko yuin hi koi galat fehmi,
dillagi sabse mat kiya keejiye.


Quote from: "Saba_Saba"
Shukriyaaaaaa

Lafz ke baad lafz dekho jud gaye
Humare khayal bhi kuchh aise mil gaye
Kuchh na kehne ki koshish me SABA
Jaane hum un se kya kya keh gaye
tongue3

Quote from: "harashmahajan"
waah saba waah...


na keejiye humse dil lagane ki baat
na leejiye huse izazat ki baat
ye toh lafzon ka junoon hai jo chala ata hai
is tarz main tere lafzon ke jawaabon ke baad.

Quote from: "Saba_Saba"
Hum se dil lagane ki koshish na kijiye
Dil lagaya to dil ko churane ki ijazat na dijiye
Tanhaiyo ka dard milega tumhe yaha
Apne sapno ko mere naam se aabad na kijiye

Quote from: "harashmahajan"
kyuin chha rahe ho khwaabon main tum uljhan banker,
kyuin bane ho dushman mere saazan ban ker.

rat bhar sapne tere soye na sone hi diya,
yaad dusti hai teri neend ki soutan banker. Usual Smile

Quote from: "Saba_Saba"
lolzzzzz

Mere khayal me jo doobe to ubhroge na kabhi
Loot le jaaye koi karar to milta hai na kahi
Mujh ko apne dil me na basao ke mai
Rage jaa ban kar dil me reh jaau na kahi

Quote from: "harashmahajan"
saba dilon ke raaz dil hi jaanta hai....ek thori si kharonch bhi lag jaaye toh bekaar si ho jaati hai....

Azeez logon main tum hameshaan shumaar rehti ho,
Dil se mukammal pyaar our zubaan se raaj kehti ho.
sawaalon ko yuin na sar-e-bazm hawa de ai nazneen,
tum toh lagta hai har waqt khayaalon pe chhayee rehti ho.


Quote from: "Saba_Saba"
Quote from: "harashmahajan"
Quote from: "Saba_Saba"
Jo ho sake isey tanhaiyo me padh lena
Tumhare liye dil ki kitaab laayi hu
Woh ek sawal jo tum ne kabhi nahi puchha
Saja ke palko pe uska jawab laayi hu


Teri palko ko chhoo ker labo.n ne jo sakoon paya hai
tanha palon ko bhi us shan ne har simt hilaya hai
woh sawaal jo chupke se thhehre hain tere man main,
hamara dil tumse har ibarat main poochhta aya hai.


Waah kya baat hai ..... jawab milega ya nahi ??

Har baat ko lafzo.n me dhala nahi jaata
Har dard ko dil se nikala nahi jaata
kuchh log hote hai itne azeez
Un se koi bhi raaz chhup nahi paata
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #332 on: January 27, 2006, 03:23:00 PM »
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #333 on: January 27, 2006, 03:26:04 PM »
Quote from: "Sonu"
bahut khoob guidya... harash ji... dilsey ji... and tushar ji sabney bahut acha likha hai... wonderful guys... keep up the good work


Thanku Thanku ...... Moma........ :oops:

aise appreciate karengi aap to ..... gudiya shararat nahi chhoregi :oops:tongue3
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #334 on: January 27, 2006, 03:30:09 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.



padme hai parda nashin .parde ne kiya hai jeena mushkil....

aab to ye parda khula to na jane kya hoga.....

shayar humari jaan jaye ya shayad humara dil humse juda hoga.....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #335 on: January 28, 2006, 03:37:15 AM »
koi bat nahi gudiya tum yeo he shrarat  kerti achi legti hoo... hasti rahu sedha esi trha...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #336 on: January 28, 2006, 05:17:18 AM »
Saba ji....
dillagi or chherne main bahoot farak hota hai...lolzzzz..
lekin jis se bhi ho...... chherna toh theek..
dillagi se har ghar narak hota hai....

Unko humdardi hai hamse hum ab kya bataayein
jab bhi woh dekhte hain jism pe chhale hue hain
jab se woh jakhm hum dil main paale hue hain
khuda kasam honth per ajab se taale hue hain.

Quote from: "Saba_Saba"
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #337 on: January 28, 2006, 08:54:39 PM »
hmmmmmmm


Na chher zakhm mere HARASH
ke in me narasayi ka karb jhalakta hai
sun kar daastan meri hayat ki
lahu bhi aansu ban kar aankho se chhalakta hai

Quote from: "harashmahajan"
Saba ji....
dillagi or chherne main bahoot farak hota hai...lolzzzz..
lekin jis se bhi ho...... chherna toh theek..
dillagi se har ghar narak hota hai....

Unko humdardi hai hamse hum ab kya bataayein
jab bhi woh dekhte hain jism pe chhale hue hain
jab se woh jakhm hum dil main paale hue hain
khuda kasam honth per ajab se taale hue hain.

Quote from: "Saba_Saba"
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #338 on: January 28, 2006, 09:01:12 PM »
Quote from: "tushar_4u_im"
Quote from: "Saba_Saba"
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.



padme hai parda nashin .parde ne kiya hai jeena mushkil....

aab to ye parda khula to na jane kya hoga.....

shayar humari jaan jaye ya shayad humara dil humse juda hoga.....


Parde ka tum yu naam na lo
Parde ko yu badnaam na karo
Khula parda to kuchh nahi jaayega
Mera parda teri nazro me utar aayega
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #339 on: January 29, 2006, 05:29:53 PM »
aisa bhi na kaho saba.....ye toh dastoor zindagi ka...Jo samaz le ek doosre ko wahi satya hai..

Zakhmon se seena chhalni hua jata hai..
kambakhat
dard bhi pareshaan hai
ki kahan se uthhoon.


Quote from: "Saba_Saba"
hmmmmmmm


Na chher zakhm mere HARASH
ke in me narasayi ka karb jhalakta hai
sun kar daastan meri hayat ki
lahu bhi aansu ban kar aankho se chhalakta hai

Quote from: "harashmahajan"
Saba ji....
dillagi or chherne main bahoot farak hota hai...lolzzzz..
lekin jis se bhi ho...... chherna toh theek..
dillagi se har ghar narak hota hai....

Unko humdardi hai hamse hum ab kya bataayein
jab bhi woh dekhte hain jism pe chhale hue hain
jab se woh jakhm hum dil main paale hue hain
khuda kasam honth per ajab se taale hue hain.

Quote from: "Saba_Saba"
Rang mujhe achhe lagte hai .... lolzzzzz
Misaal waqayi kamal hai

Chherte hai dillagi karte hai
Hum se woh baatein ajeeb karte hai
Is par bhi dekho un ka aalam
Kehte hai hum kya gareeb karte hai

Quote from: "harashmahajan"
kya khoob rang diya aapne saba ji....

perde main hi ho, toh ye haal hai
khul gaya perda toh kiski mazal hai
hamne toh yuin hi aapke dil ko chhera tha
verna hamaari sohbat bhi ik misaal hai.
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #340 on: January 31, 2006, 06:27:07 PM »
Saba, you said you are having problem in posting in this thread.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #341 on: January 31, 2006, 07:27:25 PM »
Quote from: "Ricky"
Saba, you said you are having problem in posting in this thread.


Yes Ricky

i hv just relogged in n trying to post
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #342 on: February 01, 2006, 04:00:48 PM »
Harash Ji.... pata nahi kyu... meri zindagi me khushiya theherti hi nahi ....

Zindagi maut se badtar hai isey kya jeena
Piye hai itne aansu ke ab zeher kya peena
Bas ek aas thi us se mujhe mere KHUDA
Usi ne di hai bad.dua ab aur kya jeena
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #343 on: February 03, 2006, 06:50:49 AM »
saba..main toh bas yahi kahoonga ki....Dard ko seene se laga ker dard ko hi badne ki sheh hum khud  dete hain...Theek usi tarah..jis taraanh...hum kisi ko yaad ker usi ki yaadmain lamha badate hain...

Gar ho sake tu waqt mile aa jana,
Lamha apni yaad ka ik badha jana.
Tere bhi jakhmein dil ko milega sukoon,
Mere Darde dil ko bhi sehla jana.

Quote from: "Saba_Saba"
Harash Ji.... pata nahi kyu... meri zindagi me khushiya theherti hi nahi ....

Zindagi maut se badtar hai isey kya jeena
Piye hai itne aansu ke ab zeher kya peena
Bas ek aas thi us se mujhe mere KHUDA
Usi ne di hai bad.dua ab aur kya jeena
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #344 on: February 04, 2006, 03:24:28 PM »
Right..... to aisa karte hai .... yaado ko aur dard ko nikal baahar karte hai ... theek

Zindagi aansuo ki bhari raat hai
Koi baadal nahi phir bhi barsaat hai
Haa yeh sach hai yaqeen mujh ko hone laga
Meri shohrat me kahee tera bhi haath hai
Raah chalte huye maine socha nahi
Zindagi kab talak tu mere saath hai
Har kadam pe mere phool khilne lage
Haath me jab se aaya tera haath hai
Yu to SABA mujh se khafa woh nahi
Phir bhi lagta hai mujh ko koi baat hai Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 02:36:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer