<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 31
Print
Author  (Read 31858 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #345 on: February 04, 2006, 06:28:20 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Right..... to aisa karte hai .... yaado ko aur sard ko nikal baahar karte hai ... theek

Zindagi aansuo ki bhari raat hai
Koi baadal nahi phir bhi barsaat hai
Haa yeh sach hai yaqeen mujh ko hone laga
Meri shohrat me kahee tera bhi haath hai
Raah chalte huye maine socha nahi
Zindagi kab talak tu mere saath hai
Har kadam pe mere phool khilne lage
Haath me jab se aaya tera haath hai
Yu to SABA mujh se khafa woh nahi
Phir bhi lagta hai mujh ko koi baat hai Usual Smile


wah wah  saba........ Harsh  Bhai..............   bahot  accha aap don  ne  likha.............

Har Kisi Ki Kitaabon Mein Murjhaae Ghulaab Nahin Hote  
Har Kisi Ki Aankhon Mein 'MAUT' Ke Khwaab Nahin Hote  
Mat Poocho Ke Aansoo Kitne Bahe Hain Aaj  
Har Kisi Ke Ashkon Ke Hisaab Nahin Hote  
Jaante Hain Hum Ke Sabke Apne Gum Hote Hain Lekin  
Har Kisi Ke Paas Mere Gum Jaise Khitaab Nahin Hote  
Aasmaan Mein Buht Se Taare Hote Hain Raat Ko  
Magar Sabhi Savera Karne Vaale Aaftaab Nahin Hote  
Milegi Na Daastan Koi Meri Mohabbat Ke Jaisi  
Yun To Fasaane Dil Ke Yahaan Nayaab Nahin Hote  
Keh Do Is Duniya Ko Ab Na Kare Koi Savaal  
Ke Mohabbat Pe Utthe Savaalon Ke Jawaab Nahin Hote................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #346 on: February 05, 2006, 09:12:34 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Saba_Saba"
Right..... to aisa karte hai .... yaado ko aur sard ko nikal baahar karte hai ... theek

Zindagi aansuo ki bhari raat hai
Koi baadal nahi phir bhi barsaat hai
Haa yeh sach hai yaqeen mujh ko hone laga
Meri shohrat me kahee tera bhi haath hai
Raah chalte huye maine socha nahi
Zindagi kab talak tu mere saath hai
Har kadam pe mere phool khilne lage
Haath me jab se aaya tera haath hai
Yu to SABA mujh se khafa woh nahi
Phir bhi lagta hai mujh ko koi baat hai Usual Smile


wah wah  saba........ Harsh  Bhai..............   bahot  accha aap don  ne  likha.............

Har Kisi Ki Kitaabon Mein Murjhaae Ghulaab Nahin Hote  
Har Kisi Ki Aankhon Mein 'MAUT' Ke Khwaab Nahin Hote  
Mat Poocho Ke Aansoo Kitne Bahe Hain Aaj  
Har Kisi Ke Ashkon Ke Hisaab Nahin Hote  
Jaante Hain Hum Ke Sabke Apne Gum Hote Hain Lekin  
Har Kisi Ke Paas Mere Gum Jaise Khitaab Nahin Hote  
Aasmaan Mein Buht Se Taare Hote Hain Raat Ko  
Magar Sabhi Savera Karne Vaale Aaftaab Nahin Hote  
Milegi Na Daastan Koi Meri Mohabbat Ke Jaisi  
Yun To Fasaane Dil Ke Yahaan Nayaab Nahin Hote  
Keh Do Is Duniya Ko Ab Na Kare Koi Savaal  
Ke Mohabbat Pe Utthe Savaalon Ke Jawaab Nahin Hote................


Thank you Waheed ji

Aap ne bohat achha likha hai ..... tongue3
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #347 on: February 09, 2006, 04:11:00 PM »
thx waheed bhai....

saba yuin mujhe awaaz na de,
jismay na ho tarang woh saaz na de,
khol do aaj apne dil ke dareechon ko
yuin mere riste Zakhmon ko taaz na de.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #348 on: February 09, 2006, 05:48:44 PM »
Bohat dino baad aaye hai aap...... bohat masroof rahe shayad

Dasht me aab e rawa hai kya hai Huh?
Yeh haqeeqat hai guma hai kya hai

Mai jaha pehle kabhi rehti thi
Ab koi aur waha hai kya hai

Ishq bhi dekh liya hai kar ke
Ishq bhi kaar e ziya hai kya hai

Aur to kuchh bhi nahi hai mujh me
Aag hai aur dhuwa hai kya hai

Dukh jo seene me liye firti hu
Meri aankho se ayaa hai kya hai !!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #349 on: February 09, 2006, 06:00:35 PM »
Apne Maazi ke tasaavoor se hiraasa hoon mein    
Apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe
Apni bekaar tamanaaoo pe sharminda hoon
Apni be-sood umeedoo pe nidaamat hai mujhe      

Mere maazi ko andhere mein daba rehne do
Mera maazi meri zilat ke siwa kuch bhi nahi
Meri umeedoo ka hasil meri kaavish ka sila    
Ek benaam aziyat ke siwa kuch bhi nahi        

Kitni bekaar umeedoo ka sahara le kar
Mein-ne aiwaan sajaa-ye the kisi ke khaatir    
Kitni be-rabt tamanaoo ke mabham khaake        
Apne khwaaboo mein basaa-ye the kisi ke khaatir
                  
Mujh se ab meri mohabbat ke fasaane na kaho
Mujh ko kehne do ke mein-ne Unhe chaaha hi nahi
Aur woh mast nigaahe jo mujhe bhool gayi
Mein-ne Un mast nigaahoo ko saraaha hi nahi    

Mujh ko kehne do ke mein aaj bhi jee sakta hoon
Ishk nakaam sahi, zindagi nakaam nahi
Un ko apna-ne ki khawaaish, Unhe paane ki talb
Shauk bekaar sahi, sa'i-gam anjaam nahi        

Wahi ghesoo wahi nazar wahi aaridh wahi jism    
Mein jo chahoo ke mujhe aur bhi mil sakte hai
Woh kawal jin ko kabhi un ke liye khilna tha    
Un ki nazrooo se bahut door bhi khil sakte hai
Logged
sanya310
Guest
«Reply #350 on: February 09, 2006, 06:08:03 PM »
boht achhe phoenix...
Logged
phoenix
Guest
«Reply #351 on: February 09, 2006, 06:11:52 PM »
hi saba ji harsh ji .
saba ji yeh jo life hai na bahut uljhi hui dikhti hai par woh aisi hai nahi, hum use uljha dete hai. jo hum chahte hai woh hume kabhi nahi milta but phir bhi the show must go on. nvr run away frm ur problem coz facing the problem will make you a better prsn in life. and this lines r for u

ASHRAT-E-KATRA HAI, DARYA MEIN FANA HO JAANA
DARD KA HAD SE GUZARNA, HAI DAVA HO JAANA.

bye c u soon  :D  :wink:  :wink:
Logged
phoenix
Guest
«Reply #352 on: February 09, 2006, 06:14:59 PM »
thanx moniter saahiba ji :wink:
Logged
phoenix
Guest
«Reply #353 on: February 09, 2006, 06:18:06 PM »
hi saba ji can i know ur D O B or sunsign.
Logged
vinayak_joshi36
Guest
«Reply #354 on: February 10, 2006, 01:24:22 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Dard-e-dil dete hai juda hote hai.......
kya mohabbat ke wade wafa hote hai.......

SABA


Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #355 on: February 11, 2006, 04:32:41 PM »
bahoot sunder phoenix ji...theek kaha aapne...bhaagna koi solution nahi.....aisa kiya bhi nahi jata.....God bless u always....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #356 on: February 11, 2006, 04:42:35 PM »
haan saba bahoot dino baad aapka bhi naam yahaan dekha...shayad aapki khirki bhi idhar kam hi khulti hai Usual Smile jab khulti hai toh jawaab toh hum jawaab de hi dete hain....bahoot achha our dardeela jawaab diya hai aapne.... shabd main lagta hai tadap dene ki koshish main hain aap....

in kudaon ka aser gehera hua hai,
her gali main aadmi sehma hua hai.

Teri yaadein toote sapne, sab hain lekin,
aah per ik jabt ka pehra hua hai.

bastian kutchh roz pehle thien jahaan per,
ai 'harsh" woh sheher ab sehra hua hai.

Quote from: "Saba_Saba"
Bohat dino baad aaye hai aap...... bohat masroof rahe shayad

Dasht me aab e rawa hai kya hai Huh?
Yeh haqeeqat hai guma hai kya hai

Mai jaha pehle kabhi rehti thi
Ab koi aur waha hai kya hai

Ishq bhi dekh liya hai kar ke
Ishq bhi kaar e ziya hai kya hai

Aur to kuchh bhi nahi hai mujh me
Aag hai aur dhuwa hai kya hai

Dukh jo seene me liye firti hu
Meri aankho se ayaa hai kya hai !!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #357 on: February 12, 2006, 04:57:44 AM »
Begum Jaan Aap Kahan Ho Hum Akele Akele Phir Rahay Hain Yahan.



Jaldi s Ajaoo


Kisi bhi dukh per malal kerna na us ko aaya na muj ko aaya
Wafaoun ko lazawal kerna na us ko aaya na muj ko aaya

Jo faslale thay unhain mitana agercha mitana donoun hi chahte thay
Mager talaq ko bahal kerna na us ko aaya na muj ko aaya

Dukhoun mein doobi sadain sun kern a wo roya na mein hi terpa
Ke roh ko mala maal kerna na us ko aaya na hi muj ko aaya

Dua ke roshan chragh apni hathelioun per jalaye hum ne
Khuda se lakin sawal kerna na us ko aaya na muj ko aaya
_________________
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #358 on: February 12, 2006, 08:11:04 PM »
Harash Ji khidki to takreeban roz khulti hai .... par lafz nahi jut paate ....
isliye rozan se jhank kar laut jaate hai tongue3



Quote from: "harashmahajan"
haan saba bahoot dino baad aapka bhi naam yahaan dekha...shayad aapki khirki bhi idhar kam hi khulti hai Usual Smile jab khulti hai toh jawaab toh hum jawaab de hi dete hain....bahoot achha our dardeela jawaab diya hai aapne.... shabd main lagta hai tadap dene ki koshish main hain aap....

in khudaon ka aser gehera hua hai,
her gali main aadmi sehma hua hai.

Teri yaadein toote sapne, sab hain lekin,
aah per ik jabt ka pehra hua hai.

bastian kutchh roz pehle thien jahaan per,
ai 'harsh" woh sheher ab sehra hua hai.

Quote from: "Saba_Saba"
Bohat dino baad aaye hai aap...... bohat masroof rahe shayad

Dasht me aab e rawa hai kya hai Huh?
Yeh haqeeqat hai guma hai kya hai

Mai jaha pehle kabhi rehti thi
Ab koi aur waha hai kya hai

Ishq bhi dekh liya hai kar ke
Ishq bhi kaar e ziya hai kya hai

Aur to kuchh bhi nahi hai mujh me
Aag hai aur dhuwa hai kya hai

Dukh jo seene me liye firti hu
Meri aankho se ayaa hai kya hai !!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #359 on: February 12, 2006, 08:13:11 PM »
Muhabat Main
Agarchay Dil ki Aankhain
Mudaton Palkain Jhapakna Bhool Jaati Hain
Magar In RatJagon Kay Surkh Doray NeelGoon SunoLahatain
Aur RaabBaroaon Ki Raazdari Bhi
Ajab Aik Husn Paida Karti Jaati Hai
Muhabat Main
Agarchay Dharkanain Apna CHalan Tak Chhor Jaati Hain
Magar Aisi Dharkanoon Ki Thaap Aur SarGaram Tarasta hai
Muhabat Main
Agarchay Be-Kali
Dil Ko Bohat Tarpaayay Rakhti Hai
Magar Dil Ki Tarap Hi Zindagi Ko Patharon Ki Zindagi Say
Mukhtalif Karti Hai Dunia Main
Muhabad Main
Agarchay Aankh Say Ojhal Hoi Lagti Hai Dunia Kay Siwa
Laikin Basirat Ki Kayee Beenaeeyaan Aur Kharkiaan Khulti Chali Jaati Hai
Batin Main
Muhabat Main
Agarchay Aansuon Ko Surkh Hotay Pal Nahi Lagta
Magar Yai Surkhiyan Kitnay Gulistan,Chand,Taray aur Zamin-O- Aasmaan
Rangteen Karti Hain
Muhabat Main
Judaayee Dhoop Kay Angan Main Palti Hai Agarchay
Phir BHi Saari Umr Khoaabon AUr Duaon Say Kabhi Thhandak
Nahi Jaati
Mujhay Maaloom Hai Tum To Muhabbat KI Mukhaalif Ho
Magar Jaanaan
Daleelain to Daleelain Hain
Muhabat In Daleelon Ki Kahan Mohtaaj HOti Hai
Muhabat Khoobsoorat Hai
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 09:52:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer