<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 31
Print
Author  (Read 31998 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #360 on: February 13, 2006, 05:21:12 AM »
saba yuin aake berang laout jana bhi theek nahi...
kutchh salam ko sang wapis le jana bhi kutchh theek nahi
jab aa hi jaate ho apni tanhayiyon ke sang,is khirki ke nazdeek
toh sharaarat se is dil per dastak ka ne dena bhi theek nahi.

mujhe toh lagta hai shayad saba tum chhorh chuki ho is mehfil ko
so zehen se sab kutchh nadarad hai....

ude jab neend raaton ki nayan bhozil se ho jaayein,
sukon mile jab bbeeni-bheeni khusboo liye
koi aake hamari neend jagaye ........

Quote from: "Saba_Saba"
Harash Ji khidki to takreeban roz khulti hai .... par lafz nahi jut paate ....
isliye rozan se jhank kar laut jaate hai tongue3



Quote from: "harashmahajan"
haan saba bahoot dino baad aapka bhi naam yahaan dekha...shayad aapki khirki bhi idhar kam hi khulti hai Usual Smile jab khulti hai toh jawaab toh hum jawaab de hi dete hain....bahoot achha our dardeela jawaab diya hai aapne.... shabd main lagta hai tadap dene ki koshish main hain aap....

in khudaon ka aser gehera hua hai,
her gali main aadmi sehma hua hai.

Teri yaadein toote sapne, sab hain lekin,
aah per ik jabt ka pehra hua hai.

bastian kutchh roz pehle thien jahaan per,
ai 'harsh" woh sheher ab sehra hua hai.

Quote from: "Saba_Saba"
Bohat dino baad aaye hai aap...... bohat masroof rahe shayad

Dasht me aab e rawa hai kya hai Huh?
Yeh haqeeqat hai guma hai kya hai

Mai jaha pehle kabhi rehti thi
Ab koi aur waha hai kya hai

Ishq bhi dekh liya hai kar ke
Ishq bhi kaar e ziya hai kya hai

Aur to kuchh bhi nahi hai mujh me
Aag hai aur dhuwa hai kya hai

Dukh jo seene me liye firti hu
Meri aankho se ayaa hai kya hai !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #361 on: February 13, 2006, 05:11:40 PM »
Harash ji aap bhi na

Sab ke rango me rang jana bhi to theek nahi
Har pal kuchh na kuchh kehte jana bhi to theek nahi
Tanhaiyo se ghabrakar chale aaye hai jo dareeche me
Roshniyo me guum hojana bhi to theek nahi

Quote from: "harashmahajan"
saba
yuin aake berang laout jana bhi theek nahi...
kutchh salam ko sang wapis le jana bhi kutchh theek nahi
jab aa hi jaate ho apni tanhayiyon ke sang,is khirki ke nazdeek
toh sharaarat se is dil per dastak ka ne dena bhi theek nahi.

mujhe toh lagta hai shayad saba tum chhorh chuki ho is mehfil ko
so zehen se sab kutchh nadarad hai....

ude jab neend raaton ki nayan bhozil se ho jaayein,
sukon mile jab bbeeni-bheeni khusboo liye
koi aake hamari neend jagaye ........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #362 on: February 13, 2006, 09:59:08 PM »
Begum janu Kuch time humray naam bhi kijiye



koi dil mein liye armaan chala jata hai
koi khoye huey auosaan chala jata hai
husn walo se yeh kehdo ke na niklien bahir
dekhne walon ka eimaan chala jata hai
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #363 on: February 14, 2006, 08:05:03 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Naye hai hum yaha par, aap ke reply ka intezar rahega

AANKHO SE NEEND UD GAYEE, JAB AAYEE YAAD UNKI
SHAMA KI TARAH JAL UTHI, JAB AAYEE YAAD UNKI
UNKO DEKHA TO BOHAT KHUS NAZAR AAYE WOH "SABA"
MAI HI KYU TADAP UTHI, JAB AAYEE YAAD UNKI


SABA


Yaado ko sarmaya jaan kar hum chalte rahe
in yaado me apne subah o shaam guum karte rahe
Aaj jaana hai yeh to bas fareb tha Saba
Jis me zindagi ki haqeeqat ko guum karte rahe
Logged
FAREE
Guest
«Reply #364 on: February 15, 2006, 07:59:48 AM »
Tum Jitna Durr Mujh S Jaoo Gay
Utna Hi Mere Liye Beqrar Ho Jao gay
Nahin Main Gar Ji Sakata Tere Bina
Tu Kiya Tum Mujhy Bhula Paoo gay
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #365 on: February 15, 2006, 01:29:08 PM »
bahot  khoob Saba,.........  Harsh  Bhai.....  Naveed..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #366 on: February 15, 2006, 04:36:53 PM »
thx waheed bhai....

hamne kya kya manzeer dekhe
Dhehte-girte khandhar dekhe.


hare bhare the khet jahaan per
aaj hue sab banzer dekhe.

Quote from: "Saba_Saba"
Harash ji aap bhi na

Sab ke rango me rang jana bhi to theek nahi
Har pal kuchh na kuchh kehte jana bhi to theek nahi
Tanhaiyo se ghabrakar chale aaye hai jo dareeche me
Roshniyo me guum hojana bhi to theek nahi

Quote from: "harashmahajan"
saba
yuin aake berang laout jana bhi theek nahi...
kutchh salam ko sang wapis le jana bhi kutchh theek nahi
jab aa hi jaate ho apni tanhayiyon ke sang,is khirki ke nazdeek
toh sharaarat se is dil per dastak ka ne dena bhi theek nahi.

mujhe toh lagta hai shayad saba tum chhorh chuki ho is mehfil ko
so zehen se sab kutchh nadarad hai....

ude jab neend raaton ki nayan bhozil se ho jaayein,
sukon mile jab bbeeni-bheeni khusboo liye
koi aake hamari neend jagaye ........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #367 on: February 15, 2006, 07:39:26 PM »
Tum Jo Bichdi Thin Mujh s Kuch Paloon K Liye
Mujhy Zindgi Begani si Lagnay Lagi Salon K Liye
Har Baat Main Kaam Main Tumhi yaad atin
Tum Aik zarori Hisa Ban Gi Ho Zindgi K Liye




Thank You Waheed




Saba Naveed
Logged
phoenix
Guest
«Reply #368 on: February 16, 2006, 05:39:27 PM »
gud going every one
Logged
phoenix
Guest
«Reply #369 on: February 16, 2006, 05:42:56 PM »
chup rehkar dekh liya,sab kuch kehkar dekh liya,
na badla hai na badlega wo bewafa
aaj hamne khuda se lad kar bhi dekh liya
Logged
phoenix
Guest
«Reply #370 on: February 16, 2006, 05:57:52 PM »
mein akela chal pada tha us raah par
jahan aandhere ki kaynaat thi,
kuch dur aur gaya to mera saaya bhi saath na tha
bas dur dur tak sunehri nisha thi
mujhe mera wajood bula raha tha,
par mein kahin khota ja raha tha,
jab aankh khuli to yaad aaya ki
mein apna saaya chod aaya hun
kal tak koi to sath tha mere apna
par aaj khud ko akela kar aaya hun
ab kaun ashq bahaega meri kabr par
mein to khali haath aaya tha
aur khali hath ja raha hun
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #371 on: February 16, 2006, 06:05:44 PM »
Very Nice Phoenix Ji

Mila hai naseeb se yeh sila hume
baharo.n me mili khiza hume
Teergi reh gayi hai baaki ab to
Roshni de gayi hai daga hume
Logged
D K
Guest
«Reply #372 on: February 16, 2006, 10:36:00 PM »
nice all...
naseeb ne mere maara hai mujhe...
saaye ne apne bhulaya hai mujhe,
kis par ab hum karein aitbaar...
meri zingai ne hi thukraya hai mujhe.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #373 on: February 17, 2006, 09:29:41 PM »
mohobbat main assar ho ga tum ko aik din paa lay gay
kisy soorat say hum bigry hoi kissmat bana lay gay
sitaroon main phoolon main chand main tum mill hi jao gay
khatay hain mohobbat main haqeeqat azma hi lay gay
zameen ko dekha hi day gay kay do dill kasay miltay hain
is douniya main hum tum dosry douniya banay gay
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #374 on: February 18, 2006, 01:32:24 PM »
wah  !!!!!!!! nice  work  all..........   good going........
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:55:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer