<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 31
Print
Author  (Read 31850 times)
phoenix
Guest
«Reply #375 on: February 18, 2006, 05:12:37 PM »
udasiyaan na lete to aur kya karte
jashn na manate to aur kya karte
wo aaye the mangne ujaale
hum apna ghar na jalate to aur kya karte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #376 on: February 21, 2006, 08:05:31 AM »
Thanxx Waheed ....

DK ....... Phoenix .... Naveed Ji

Aap sab ne bohat achha likha hai

Jalaya hai nasheman tere waste
Khade hai abhi bhi tere raaste
Nazar ek ko bhi taraste rahe
Na raha ab kuchh baqi mere waste
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #377 on: February 21, 2006, 05:14:17 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Thanxx Waheed ....

DK ....... Phoenix .... Naveed Ji

Aap sab ne bohat achha likha hai

Jalaya hai nasheman tere waste
Khade hai abhi bhi tere raaste
Nazar ek ko bhi taraste rahe
Na raha ab kuchh baqi mere waste


Thanxxxxxx  Saba.............   nice  again......

wah  jo  deta mujhe  hausala ki roshni hogi
aaj  khud andheron mein  sir jhukaaye baithe hain........
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #378 on: February 21, 2006, 06:13:39 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Saba_Saba"
Thanxx Waheed ....

DK ....... Phoenix .... Naveed Ji

Aap sab ne bohat achha likha hai

Jalaya hai nasheman tere waste
Khade hai abhi bhi tere raaste
Nazar ek ko bhi taraste rahe
Na raha ab kuchh baqi mere waste


Thanxxxxxx  Saba.............   nice  again......

wah  jo  deta mujhe  hausala ki roshni hogi
aaj  khud andheron mein  sir jhukaaye baithe hain........


U welcome ........ again nice

Duur kar do in andhero ko
Jalao ek diya ke roshni ho
Sir uthao aur muskurao
Na bhoolo tum kisi ki zindagi ho
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #379 on: February 24, 2006, 06:49:55 PM »
ab to khawahish hey tujhey mein bhi bilakta dekhoon.
teri aankhon ko hama waqt chhalakta dekhoon.

apni khawahish pey mujhey ab na nedamat ho gi.
terey bhi dil mein kisi gghum ko panapta dekhoon.

karb jo mujh pey kabhi guzra tha.
wesa hi karb mein tujh per bhi guzerta dekhoon.

mujhey to log abhi tak diwana kehtey hein.
terey hawason ko tujh sey bhi sarakta dekhoon.

abr barsa tha kabhi mujh pey bhi to aatish ka.
abr ko wesey hi tujh pey bhi barasta dekhoon.

kia pata tha mujhey, tujh sey her jaai ka.
aesa hi dard terey pehloo mein machalta dekhoon.

khud sey jesey mujhey kia tha tu ney.
terey mehboob key liey tujhey tarasta dekhoon.

beqader jesey mujhey tu ney nikala dil sey.
tujh ko wesey hi us key dil sey nikalta dekhoon..nm
Logged
phoenix
Guest
«Reply #380 on: February 27, 2006, 05:36:42 PM »
very touching saba ji.
waise bhi itni baddua to mein mere dushman ko nahi de sakta aur yeh to mere apne hai, jo hasata hai wohi rulata hai kyunki jindagi kabhi kisi k aehsaan tale nahi reh sakti.





pal pal karke zindagi faana hui hai meri,
aey falak ab tu hi mujhe aasra de de,
logo ne thukraya hai wajood mera,
ab tu to mujhe jeene ki ek wajah de de
Logged
tanhaa musaafir
Guest
«Reply #381 on: February 28, 2006, 04:44:33 AM »
subhaan allah !!

kyaa baat kahee hai....bahot hee umdaa khayaal

hameshaa khush rahiye
Logged
phoenix
Guest
«Reply #382 on: February 28, 2006, 04:34:16 PM »
thanx tanhaa ji
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #383 on: March 01, 2006, 06:32:21 PM »
Quote from: "phoenix"
very touching saba ji.
waise bhi itni baddua to mein mere dushman ko nahi de sakta aur yeh to mere apne hai, jo hasata hai wohi rulata hai kyunki jindagi kabhi kisi k aehsaan tale nahi reh sakti.





pal pal karke zindagi faana hui hai meri,
aey falak ab tu hi mujhe aasra de de,
logo ne thukraya hai wajood mera,
ab tu to mujhe jeene ki ek wajah de de



Khayal bohat umda hai Phoenix ji

Par ek waqt aata hai ... jab aise khayal talkhi me badal jaate hai ... aur dil karta hai ... sab kuchh mita diya jaaye ... saari duniya ko aag laga di jaaye .... tab ....
Quote from: "Saba_Saba"

apni khawahish pey mujhey ab na nedamat ho gi.
terey bhi dil mein kisi gghum ko panapta dekhoon.


Khair har asar waqti hota hai ... waqt ke saath badlaao aate rehte hai ...

Dhoonda kiye hai waja-e-zindagi
Maut se milkar laut aate hai
Tujh se to teri judayi achhi
is dard ke sahare jee to jaate hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #384 on: March 01, 2006, 06:55:02 PM »
bahut khoob saba ji, :D  :D




hasaya kyun jab rulana hi tha,
apnaya hi kyun jab thukrana hi tha,

kyun dilaya yakin  mujhe,
chod k jab jana hi tha,

kya karunga is jahan mein ab mein
jab ruh tabaah ho gayi hai meri

dhoond k dekh lo tum bhi,
par ab mera nishan bhi na mil paega
Logged
phoenix
Guest
«Reply #385 on: March 01, 2006, 07:02:03 PM »
saba ji,
i dont know much about this world, but phir bhi life mein never expect  any thing frm any body. kyunki rishta baanane se pehle humne kaarar to nahi kiya tha ki hum dono ek dusre ki umeedon ko pura karenge, mujhe pata yeh kehna aasan par karna mushkil but yes zindagi mein ek pal ki bhi haansi agar mile to use baahon mein bhar lo kya pata agla pal kya gum le kar aajaye.
so stop worrying
start living
may god bless you
(all tough i dont belive in god :wink: )
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #386 on: March 02, 2006, 07:31:33 PM »
Thanxxx Phonixxx

I believe in God ... and i hv full faith in the Almighty Allah

Rulaya hai jo aaj kal masarrat bhi dega
Woh KHUDA bhi hume kitna aazmayega
Ashk to ashk hai woh kya jaane
Hum hans bhi pade to aankh me aansu aajayega
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #387 on: March 04, 2006, 06:57:58 PM »
Is haqeeqat ko samajhne me lutaya kya kuchh
Mera dushman, mera gum khwar nahi ho sakta
Tergi chahe sitaro.n ki sifarish laaye
Raat se mujh ko sarokar nahi ho sakta
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #388 on: March 04, 2006, 07:11:00 PM »
very    nice  Saba.........

Yahi dil tha tarsa tha marasim ke liye
ab yahi  tark , ta-alluk  ke bahane maange.....nm
Logged
harshit101
Guest
wah
«Reply #389 on: March 06, 2006, 04:56:25 AM »
very nice saba

phir lai raat yad unki hi
phir aai har baat yad unki hi
pila di yaron ne dila ke kasam unki hi
na hosh me mai tha,
par nikli thi dua khushion ke liye unki hi.
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:05:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer