phoenix
Guest
|
«Reply #390 on: March 07, 2006, 04:48:02 PM » |
|
good going sabaji
chand ko tanha kahun ya chandni ko bewafa, saba ko kismat kahun ya aandhi ko muqaddar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #391 on: March 08, 2006, 04:58:56 AM » |
|
teri kismat me gum na the kabhi ..... tu mila mujhse to wo teri lakiro me aa gaye ..... dene aaya tha tu hume khushiya magar..... hum kali rat banker teri zindgi per cha gaye......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #392 on: March 16, 2006, 03:08:37 PM » |
|
Thanxxx All
Saza dil ko fir ek baar kadi thi Nadi yaado ki jo raat charhi thi
Phool hawa ke dar se chhupa baitha kahi Khushbu mukhbari karne ko raah me khadi thi
Duniya khush kismat thi laut ke ghar ko gayi Mai to neelaam huyi ke nageene jadi thi
Waqt ne ulti chaal chali laut ke woh aaya Khushi kaise manau girah to dil me padi thi
Usoolo ke naag se daswa kar apna aap Mai tanha ana ke qabrastaan me gadi thi
Soorat ek si par qismat to alag thehri Ek sej par padi thi ek mazar ki ladi thi
Shab beet gayi aur dard ka chand dhal gaya Shayad us se raabte ki yeh aakhri ghadi thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #393 on: March 27, 2006, 06:05:40 PM » |
|
Har shaam dhale is sahil par Koi ik Pardesi aata hain Jo gum sum beta rehta hain Yaa lehre ginta rehta hain Aur tais si Paa kar seene main Chand aansoo roz Bahaata hain Veeraane saath woh laata hain Tanhaayi saath le jaata hain Koi pooche us Pardesi se Kuch baare Dil ki haalat ke Kyun phool ruto main chup chup ke Ye moti rait milaata hain Kyun der talak ye sahil par Yun khaali haath hilaata hain Har shaam dhale is sahil par Jo ik Pardesi aata hain...nm
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #394 on: March 27, 2006, 06:19:17 PM » |
|
very nice all..............
intazaar hii rahaa o subah tera kaali raat ke saaye mein ab dil toot gaya.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #395 on: March 29, 2006, 06:51:15 PM » |
|
Nice Waheed
Har sham dhale is saahil par jo ek pardesi aata hai Woh dil ka raaz chhupata hai par sab kuchh bol bhi jata hi Har din jab suraj dhalta hai woh apni aankhein malta hai Aankho me aaye sapne in lehro ko de jata hai har sham dhale is saahil par jo ek pardesi aata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #396 on: March 29, 2006, 07:11:52 PM » |
|
Shukriya Saba........... very nice again........
mutmaen ho dil to sehraon ke sanate bhi geet dil ujar jae to shehron me bhi tanhaiyan bohat....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #397 on: March 29, 2006, 07:16:36 PM » |
|
very nice all..............
intazaar hii rahaa o subah tera kaali raat ke saaye mein ab dil toot gaya......... Shab e gum aaj bohat der se guzri Har ghadi fir bhi teri yaad me guzri
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #398 on: March 29, 2006, 08:23:05 PM » |
|
very nice all..............
intazaar hii rahaa o subah tera kaali raat ke saaye mein ab dil toot gaya......... Shab e gum aaj bohat der se guzri Har ghadi fir bhi teri yaad me guzri jo guzer rahi he guzar do,na bura kaho na gila karo jo tumhara hal he dosto wohi sare sheher ka hal hai..........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #399 on: March 30, 2006, 02:12:22 PM » |
|
very nice all..............
intazaar hii rahaa o subah tera kaali raat ke saaye mein ab dil toot gaya......... Shab e gum aaj bohat der se guzri Har ghadi fir bhi teri yaad me guzri jo guzer rahi he guzar do,na bura kaho na gila karo jo tumhara hal he dosto wohi sare sheher ka hal hai.......... Guzar rahi hai jis tarah guzar hi jaayegi Hume aye dost magar teri yaad aayegi Wafa ka zikar chale ga jab bhi mehfil me To ek bewafa khayalo me ubhar aaygi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #400 on: March 30, 2006, 02:23:38 PM » |
|
subhan allah ...kya khoob likhte ho aap dono....gr8
jab aaye yaad unki aankhon ke paimane chalakte hain hum kahein na kahein..gum aansuon se jhalakte hain
jism mein jaan baaki hai uske didaar ke liye abb aur koi dawa nahi iss dil-e-bimaar ke liye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #401 on: March 30, 2006, 06:04:26 PM » |
|
KYA BAAT HAI NIKI JI, SABA JI, WAHEED BHAI GREAT YAAR
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #402 on: March 30, 2006, 06:08:19 PM » |
|
KAANTO KI CHUBHAN AB KAM LAGTI HAI, TERE BINA RAAHEIN SUNI LAGTI HAI, GHAR KI DEEWARE AB TERI YAAD DILATI HAI, MERI RUH SE BHI TERI KHUSHBU AATI HAI, AA LAUT AA MERE HUMNASHIN AB TAU, TERE BINA KUCH KAMI SI LAGTI HAI, ZINDAGI AB THAMI SI LAGTI HAI
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #403 on: March 30, 2006, 06:10:23 PM » |
|
NIKI JI SABA JI AND WAHHED BHAI AAP TEENO MEIN EK BAAT COMMON DEKHI HAI
AND TAT IS KI AAP TINO NE AANKHON KO AVTAAR MEIN SHOW KIYA HAI.
BUT I MUST SAY EVERY EYE SPEAK SUMTHING ELSE
|
|
|
Logged
|
|
|
|
izhaarkeintzaarmein
Guest
|
|
«Reply #404 on: March 30, 2006, 06:15:14 PM » |
|
aap senior shayron ko agar eitraaz na ho to phoenix ki baat ka jawaab dena chahoonga
mohabbat mein nigahon se jubaan ka naam lete hain ye woh hathyar hai jisse haseen katle aam karte hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|