<<<<JAB AAYEE YAAD UNKI>>>>>>

by Saba_Saba on May 17, 2005, 05:00:42 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 31
Print
Author  (Read 31994 times)
tushar_4u_im
Guest
«Reply #60 on: May 24, 2005, 01:56:40 PM »
Quote from: "Saba_Saba"
Naye hai hum yaha par, aap ke reply ka intezar rahega

AANKHO SE NEEND UD GAYEE, JAB AAYEE YAAD UNKI
SHAMA KI TARAH JAL UTHI, JAB AAYEE YAAD UNKI
UNKO DEKHA TO BOHAT KHUS NAZAR AAYE WOH "SABA"
MAI HI KYU TADAP UTHI, JAB AAYEE YAAD UNKI


SABA



tinka tinka saba saba,....

teri bate mujhe lagti hai wafa,...

bahut aacha likha hai aap ne,.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aayee woh lamhey... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #61 on: May 25, 2005, 06:25:35 AM »
Thanx Tajinder ji........ n....... Tushar ji.........

Phir huyee shaam phir koi yaad aaya
phir chali baat dil ki phir koi yaad aaya
bikhri huyee thee chandni har soo
baat be baat phir koi yaad aaya
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #62 on: May 25, 2005, 09:59:50 PM »
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi
Logged
sajid_shayer
Guest
«Reply #63 on: May 26, 2005, 04:10:13 PM »
yeh na poocho kaun hain q lachar bhaithe hain
musafir hain safar karne ki himmat har bhaite hain
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #64 on: May 26, 2005, 04:29:57 PM »
Quote from: "sajid_shayer"
yeh na poocho kaun hain q lachar bhaithe hain
musafir hain safar karne ki himmat har bhaite hain


musifir hai duniya sari kisko kis bat ka dar hai ,...

tum bhi karo safar humko tumse kya garaz hai,....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #65 on: May 26, 2005, 10:12:43 PM »
MERA AHSASS TERE AHSASS SE ACHHA HOGA,
MERA DIN TERI RAT SE ACHHA HOGA.
HO SAKE TO NAZAR UTHA KAR DEKHNA,
MERA JANAZA TERI BARAt SE ACHHA HOGA.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #66 on: May 28, 2005, 06:49:56 AM »
Fakhar jee........... Tushar jee aur Sajid jee........
Nice u all

Safar par kaise nikle safeene(kashti) toot jaate hai...
Hume jin se mohabbt hai wohi kyu choot jaate hai..
Logged
bewafa_ka_vada
Guest
«Reply #67 on: May 28, 2005, 07:04:01 AM »
wah saba ji wah
aisa lagta hai ki kisi sagar ki tal say
moti nekal kar laye ho
wah  main to aap par phida ho gaya ji
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #68 on: May 28, 2005, 08:30:36 AM »
Quote from: "bewafa_ka_vada"
wah saba ji wah
aisa lagta hai ki kisi sagar ki tal say
moti nekal kar laye ho
wah  main to aap par phida ho gaya ji


Thanx......... but
Kuch nagme, Kuch saaz hote hai..........
taarif karne ke bhi kuch andaz hote hai...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #69 on: May 29, 2005, 12:10:03 AM »
Shukria saba moto......................................


u too good......................................
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #70 on: May 31, 2005, 05:29:22 AM »
DARD HADD SE SIWA HONE LAGA
NAZRE MILI AUR DIL KHONE LAGA
LAAKH KAHE DUNIYA NA RONA
JAB AAYEE YAAD UNKI DIL RONE LAGA
Logged
tajinder
Guest
«Reply #71 on: June 04, 2005, 04:31:32 AM »
baatein to bhut hain bataein kya
dard ki jalan hai chuapein kya
is ruthe hue man ko manaein kaya
dard-e-dil kisi ko sunein kaya
jina marna marna jina reet hai dunai ki
khauf khuda ka is jag ko bataein kya
is pagal zamane ko hum bataein kaya
jina uska jo dusron ke liye jiye
khudgarz log ji ke bhi payein kaya
Logged
tajinder
Guest
«Reply #72 on: June 04, 2005, 04:33:17 AM »
yaad ati hainwo raatein
jab hum kabhi tumhe kabhi chand ko dekha karte the
bhulna chahte hain hum tumko
magar bhula na payeinge
ye shehr to chod jayeinge
magar chand se nazar hata na payeinge
Logged
tajinder
Guest
«Reply #73 on: June 04, 2005, 04:35:14 AM »
fir usi raah guzar kar shayad
hum kabhi mil sakein magar shayad
jaan pehchan se kaya hoga
fir bhi e dost gaur kar shayad
saath jinke hum rahe
unko mil gaye aur humsafar shayad
jo bhi bichde hain kab mile hain
fir bhi tu intzaar kar shayad
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #74 on: June 04, 2005, 07:43:51 AM »
wow........very nice......... tajinder ji.............

Hum kahe haal-e-dil aye dost aur kya
Dil me hai khiza ka sama aur kya
shaam hote hi dhundhla jate hai manzar saare
aankhe hojati hai aansuo se tar aur kya
reh gaya hai teri yaado ka samandar "SABA"
hai inhi me guum shaam-o-sehar aur kya
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 31
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:03:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer