Jab dil toot-te hain...

by Ravi_Dave on January 31, 2007, 03:50:53 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1033 times)
Ravi_Dave
Guest
Jab dil toot-te hain to aawaaz bhi nahi aati,
kaisi yeh kash-makashi uski yaad bhi nahi jaati,

Kaisi yeh berukhi woh dil ke raaz bhi nahi khol paati,
meri hi yeh bad-naseebi woh mujhe barbaad bhi nahi kar paati,
kaisi yeh kash-makashi uski yaad bhi nahi jaati,

Uski bhi yehi kamzori ke woh pyaar ka aaghaz nahi kar paati,
mere bhi yeh majboori ke uski dil ke saad meri dhadkan samaj nahi paati,
kaisi yeh kash-makashi uski yaad bhi nahi jaati,

Muje uski naaraazgi ki kya khabar (2), woh naaraaz nazar bhi to nahi aati,
yeh kaisi be-matlabsi laachaari, uski yaad ke baad kisi aur ki yaad hi nahi aati,
ke kaisi yeh kash-makashi uski yaad bhi nahi jaati!
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2007, 04:13:08 PM »
Gud work Ravinder G
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2007, 12:34:17 PM »
Beautiful work Ravi, Hope to see you here soon Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2007, 01:11:59 PM »
Nice Creation... =D>
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 15, 2007, 02:04:37 PM »
wah kaya baat hai... kaisi yeh kash-makashi uski yaad bhi nahi jaati, ... bahoot khoob Ravi ji...

Bahoot dino baad apko pada hai.... bahoot hi acha likha hai...

Dil tootne ka dard bayan nahi hota
Insaan us waqat jameen –asmaan ka nahi hota
Bhool kar khud ko, is kadar usmain kho jaata hai
Waqat uska nahi aor wo kisi ka nahi hota!!!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #5 on: September 17, 2007, 01:01:00 PM »
Shukriya Zehra, Talat, Shikha and Pooja!

Ji bohat dinon baad isliye kyunki, main abhi chootiyon pe tha university se to ghar par internet nahi tha...ab aa gaya hoon apni bazm mein.

Wah Wah kya baat hain Pooja...bohat sahi baat hain...amazing.

Thank You once more.
Logged
SHONA
Guest
«Reply #6 on: September 18, 2007, 05:36:33 PM »
Too Good...beautiful one ravi g
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:28:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer