Jab Koi Sach Likhta Bahut Hai "Khwaish"

by khwaish on January 05, 2012, 10:42:31 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4703 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Baitha Ke
"Maa, Eid BungLoun Mei'n Hi Kyu'n Hoti Hai..?"

yeh Ghazal Ek Maa Aur Ek Bete Ki Aapsi Baatcheet Hai
jisme Beta Apni Maa Ko Dilaase De Raha Hai Ke
Rone se Kuch haasil Nahi Hota Isliye Rona Chodd Bhi de..
Muflisi Mein Log Kin Kin MajbooriyoN Ka Saamna Karte Hai
Yeh Ghazal uss Soch par Adhaarit Hai..Dil Ki Nazron se Padhiyega...

Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

kahin jaakar Do Roti Se Apni Bhook Mita Lenge Hum Dono
Gareeb Ke liye  Bas jeene Ke Liye Yahan Itna Bahut Hai

Khwaishon Ko Be-Maut Marne Diya Kar Naa  Eh Maaa!!!!
Paani Ka Dariya Aankhon Me Bewajah Rukhta Bahut hai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Sirf Paisa Paas Ho To Hi sab Kuch Nahi Hai Naa Maa..!!!!
Par Woh Baat Aur Hai ke Paiso Se,Apna Pet Bharta Bahut hai

Suuna Hai Ke iss Duniya mein Gham Ka Koi Khareedar nahi
Kya Kare Maa...Yahan  Insaan Ka Imaan Bikhta Bahut Hai

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai

"Khwaish" Kuch Yuh Likh Ke Teri kalam Bhi Ro Pade...!!!!!
Ashq Aankhon Se Girte Hai Tab , Jab Koi Sach Likhta Bahut hai

                  ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: January 05, 2012, 10:48:14 AM »
" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Bai tha Ke

 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed

i am speachless.............!! thats it

       tere lafzo.n ne aakhon ko rula diya,
       tere kalaam ne dil ko hilaa diya.

mere kyaal se YOINDIA ne jis award se aap ko nawaaza hai iss kalaam ke baad se main yehi kahoon gi woh bhi kam hai
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #2 on: January 05, 2012, 10:57:48 AM »
khwaish ji thode men itnaa hee kahoongaa ki aapkee is peshkash par hazaaron salute
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: January 05, 2012, 11:22:31 AM »
khwaish ji bahut achhe se aapne ek gareeb ke zazbaat likhe hain.
daad hazir hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kya karen yahan doonia mein ameer kam aur gareeb bahut hain.
sabke hisse ka ye ameer liye baithe hain.
gareeb ka zameer yahan sasta bahut hai.
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #4 on: January 05, 2012, 12:31:20 PM »

Khwaish bhai... Usual Smile

kya kehne ish ghazal ke.. wah bhai wah..

har ek lafz sachai bayan kar rahi hai...

aankhe bhar aayi.. aur aakhiri ke chaar line to kya baat hai...

beshumar daad kabul kare... Usual Smile

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011

View Profile
«Reply #5 on: January 05, 2012, 12:41:39 PM »
laajabab... kuchh kahne ko nahin hai is rachna par.... bahut hi dard hai ismain.. uuffffffff

 Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2012, 02:07:12 PM »
no words for copmliment
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2012, 02:21:33 PM »
" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Baitha Ke
"Maa, Eid BungLoun Mei'n Hi Kyu'n Hoti Hai..?"

yeh Ghazal Ek Maa Aur Ek Bete Ki Aapsi Baatcheet Hai
jisme Beta Apni Maa Ko Dilaase De Raha Hai Ke
Rone se Kuch haasil Nahi Hota Isliye Rona Chodd Bhi de..
Muflisi Mein Log Kin Kin MajbooriyoN Ka Saamna Karte Hai
Yeh Ghazal uss Soch par Adhaarit Hai..Dil Ki Nazron se Padhiyega...

Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

kahin jaakar Do Roti Se Apni Bhook Mita Lenge Hum Dono
Gareeb Ke liye  Bas jeene Ke Liye Yahan Itna Bahut Hai

Khwaishon Ko Be-Maut Marne Diya Kar Naa  Eh Maaa!!!!
Paani Ka Dariya Aankhon Me Bewajah Rukhta Bahut hai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Sirf Paisa Paas Ho To Hi sab Kuch Nahi Hai Naa Maa..!!!!
Par Woh Baat Aur Hai ke Paiso Se,Apna Pet Bharta Bahut hai

Suuna Hai Ke iss Duniya mein Gham Ka Koi Khareedar nahi
Kya Kare Maa...Yahan  Insaan Ka Imaan Bikhta Bahut Hai

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai

"Khwaish" Kuch Yuh Likh Ke Teri kalam Bhi Ro Pade...!!!!!
Ashq Aankhon Se Girte Hai Tab , Jab Koi Sach Likhta Bahut hai

                  ~~~~~Khwaish~~~~~

Fabulous creation . Made me cry .. Bahoot Bahoot sach likha hai.. Aur iss ghazal ka ak ak sher behad umda aur lajawaab hai.. sachai ka darpan hai yea ghazal,... Bahoot bahoot Umda .. bahoot Khoob !

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Nysha
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #8 on: January 05, 2012, 02:34:08 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause भावनाओं से ओत-प्रोत इस बेशकीमती रचना की, जितनी तारीफ़ की जाए कम होगी.........बहूत बहूत खूब भाई.  Thumbs UP
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: January 05, 2012, 03:26:08 PM »
Khuda kay ghum pe likhne wale haazar milenge tujhe yahan mere dost,
Jo dusron kay ehsaason ko mehsoos kar likhe, aisa koi dhund kay bata..

Zada nahin kahunga, mager ap, unn main se ho, jo dusron ko mehsoos kar, likh sakta hai.. Usual Smile

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai
[/i]
[/b]
Wah Wah Wah..
Yeh quoted ashaar toh dil main ghar kar gaya..
Ankh se ansoo toh ek nahin baha mager, dil nam zaroor hua..
Dost mere, jazbaaton se bhari iss kalam ko, Rahim ka salaam..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: January 05, 2012, 04:48:14 PM »
Khwaish ji
ApplauseApplause
Sheba ji ke comments ke saath jana chahta hu..sach me jo kuch apne yo ko diya hai uski bharpaai ek award se nahi ki ja sakti. you deserve more than that. Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: January 05, 2012, 06:55:33 PM »
Bahut khoob,khwaish ji.Dil se daad.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: January 05, 2012, 06:56:23 PM »
Khawahish Jee Aadaab!

Janab itna kareebi se observation aur itne gehre khayaaloN
ko aapne kalam baND kiya behad khub janab..

Aur aise khayaaloN ko mehsus karne waala shaks waqai saaf dil
aur nek insaan hi ho sakta hai.. Usual Smile
Achchi kalaam kahi hai janab.. hazaaroN daad har ahsaar par
har khayaal par.. Usual Smile

Dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. likhate rahiye..
Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile
    
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009

View Profile
«Reply #13 on: January 06, 2012, 03:32:05 AM »
khawaish ji sach kahun aankhon mein aansun bhi aye aur hausla bhi aya . Salute to you for realty
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #14 on: January 06, 2012, 05:15:23 AM »
gajab yaar i have noooooo words. sukriyaaaaaaa khawaish jiiii hila diya....,

" Eid Ke Din Udaas Se Ghar Mei'n, Ek Bewa Ghareeb Ro Rahi Thi...
Uss Ka Bachcha Jo Yeh Puch Baitha Ke
"Maa, Eid BungLoun Mei'n Hi Kyu'n Hoti Hai..?"

yeh Ghazal Ek Maa Aur Ek Bete Ki Aapsi Baatcheet Hai
jisme Beta Apni Maa Ko Dilaase De Raha Hai Ke
Rone se Kuch haasil Nahi Hota Isliye Rona Chodd Bhi de..
Muflisi Mein Log Kin Kin MajbooriyoN Ka Saamna Karte Hai
Yeh Ghazal uss Soch par Adhaarit Hai..Dil Ki Nazron se Padhiyega...

Chal Maa Yeh Bazaar  Mujhe Lagta Mehanga Bahut Hai
Paas Jo yeh 20 Rupaye Hai yeh Yahan Sasta Bahut hai

kahin jaakar Do Roti Se Apni Bhook Mita Lenge Hum Dono
Gareeb Ke liye  Bas jeene Ke Liye Yahan Itna Bahut Hai

Khwaishon Ko Be-Maut Marne Diya Kar Naa  Eh Maaa!!!!
Paani Ka Dariya Aankhon Me Bewajah Rukhta Bahut hai

Mere Kapdo Ki Koi Parwaah Naa Kar,yeh Thik Thaak se Hai
Sharir Ko Dhakne Ke Liye Yeh Kapda Bhi Itna Bahut Hai

Taqdeer se Yuh Haar kar Roti Kyon Hai Maaa.....!!!!
jo Bhi hai jaisa Bhi hai,Yaad Rakh Mera Khuda Acha bahut hai

Sirf Paisa Paas Ho To Hi sab Kuch Nahi Hai Naa Maa..!!!!
Par Woh Baat Aur Hai ke Paiso Se,Apna Pet Bharta Bahut hai

Suuna Hai Ke iss Duniya mein Gham Ka Koi Khareedar nahi
Kya Kare Maa...Yahan  Insaan Ka Imaan Bikhta Bahut Hai

Tujhe Andaaza Bhi Nahi Yahan Log Kaise Jeete Hai...!!!!!!
Woh Andhero Mein Rota Hai Jo Ujaalo Me Hasta Bahut Hai

"Khwaish" Kuch Yuh Likh Ke Teri kalam Bhi Ro Pade...!!!!!
Ashq Aankhon Se Girte Hai Tab , Jab Koi Sach Likhta Bahut hai

                  ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:42:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer