~*~*~Jab Muskurana Hota Hai~*~*~

by pankshivam on December 12, 2008, 10:06:05 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2521 times)
k.shael
Guest
«Reply #15 on: December 25, 2008, 05:27:34 AM »
Wah wah K.shael and Pank dono ka sher bahut accha raha....  Applause Applause


Shukriya Soniya Dear...

Aacha lagta agar aap bhi kuch likh deti to,

anyway thanx,

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
door khade ho kar haye vo muskurana aapka by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
ishq me muskurana padta hai.. by myloveosho in Shayri for Khumar -e- Ishq
Muskurana by Nino in Shayri-E-Dard
*~*Muskurana Bhi Kala Hai*~* by Roja in Miscellaneous Shayri
fulon ki tarah aap bhi muskurana sikhiye by sunildehgawani in Shairi for Manzar -e- Kudrat
jasbirsingh
Guest
«Reply #16 on: December 25, 2008, 10:40:38 AM »
HUM JAB BHI MUSKURATEY HAI
LOG AKSAR DHOKA KHATEY HAI
KABHI NAHI WOH SAMAJ PATEY HAI
DIL MEH BASKAR, WOHI HAMEY HASATEY HAI



JASBIR SINGH

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #17 on: December 25, 2008, 10:59:55 AM »
Applause Applause

Bohat khoob pankshivam ...

Bohat khoob shally aur jasbir ji...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #18 on: December 25, 2008, 06:29:03 PM »
Shukriya Pank Ji,

& Good Reply from Ur Side,


Thaam na lena ishq ke jaam ko ye jaam
aksar begana hota hai,

nasha to rahega ta-umar iska par ye khushiyo
se anjaana hota hai,

Jaise Jaise raat gehri hogi ye deewaana karta
jayega, iska nasha utna hi gehra chadta hai
jitna ye puraana hota hai,

Jara door hi rakhna khud ko mehfil me shama se
Suna ye bhi shama ka parwaana hota hai...
Shukriya Shallyji
Shukriya Honeyrose ji
Nice Creation Jasbir ji
Thanx Soniyaji

Aab khwahish nahi ishq ka jaam thamne ki,
Har baat me ishq ki ab mujhe dard hota hai...

Aahato me khushiyo ki dar lagne lagta hai,
Har mukam pe meri ummido ka jahan rota hai...

Ab na do koi ummid mujhe pyar ke rasto ke liye,
HAr raste me dil ladkhata hai, har manzar pe aasko se samna hota hai...

~Pank~
Logged
k.shael
Guest
«Reply #19 on: December 26, 2008, 05:48:17 AM »
Applause Applause

Bohat khoob pankshivam ...

Bohat khoob shally aur jasbir ji...


Shukriya Honey didi,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #20 on: December 26, 2008, 05:50:25 AM »
Shukriya Shallyji
Shukriya Honeyrose ji
Nice Creation Jasbir ji
Thanx Soniyaji

Aab khwahish nahi ishq ka jaam thamne ki,
Har baat me ishq ki ab mujhe dard hota hai...

Aahato me khushiyo ki dar lagne lagta hai,
Har mukam pe meri ummido ka jahan rota hai...

Ab na do koi ummid mujhe pyar ke rasto ke liye,
HAr raste me dil ladkhata hai, har manzar pe aasko se samna hota hai...

~Pank~

Ishq ki raahe lambi hoti hai,
Ishq ki raatein gehri hoti hai,
Jo karle iss ishq se pyaar uski
aankhein bahut roti hai...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #21 on: December 26, 2008, 06:02:48 AM »
Ishq ki raahe lambi hoti hai,
Ishq ki raatein gehri hoti hai,
Jo karle iss ishq se pyaar uski
aankhein bahut roti hai...
Ye lambi gehri raate aankho ko jagati hai,
Dil dard se raat bhar sota nahi, jab ishq ki baate aati hai...

Na ho ab kisi se ishq ka guma bhi ye khwahish rahegi,
Ham to rahe bewafa logo ke ki nazaro me,
Agar fir se ishq hua to dastan khud meri bewafayi ki kahani likhegi...

~Pank~

Thanx Shallyji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #22 on: December 26, 2008, 06:13:30 AM »
Ye lambi gehri raate aankho ko jagati hai,
Dil dard se raat bhar sota nahi, jab ishq ki baate aati hai...

Na ho ab kisi se ishq ka guma bhi ye khwahish rahegi,
Ham to rahe bewafa logo ke ki nazaro me,
Agar fir se ishq hua to dastan khud meri bewafayi ki kahani likhegi...

~Pank~

Thanx Shallyji

Very Nice Reply Pank Ji,

Ishq ki yaad jaane kyun baar-baar aa jaati hai,
kabhi hass lete hai iski chaaw me to kabhi ye bahut
rulaati hai,

Yaad karke beete pallo ko aankhon me nami utar aati hai,
bass dil ki yahi justjoo hoti hai ki jisse ham yaad karte
hai din raat kya use pal bhar ke liye bhi hamari yaad aati hai??

Shally.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #23 on: December 26, 2008, 06:23:23 AM »
Very Nice Reply Pank Ji,

Ishq ki yaad jaane kyun baar-baar aa jaati hai,
kabhi hass lete hai iski chaaw me to kabhi ye bahut
rulaati hai,

Yaad karke beete pallo ko aankhon me nami utar aati hai,
bass dil ki yahi justjoo hoti hai ki jisse ham yaad karte
hai din raat kya use pal bhar ke liye bhi hamari yaad aati hai??

Shally.
Thanx Shaalyji
Aapne Bahoot khoob likha hai  Applause Applause Applause

Ishq ki parchayi to gamo tak sath nibhati hai,
Na karo yaad fir bhi har lamhe ki yaad aati hai....

Rokar,tootkar mit jaye koi,
Ishq ki raho me har taraf dard ki aahe nazar aati hain...

Ho sake to ishq se dur hi rakhna mere khuda,
Kyun ishq me toh rabb ki surat bhi badal jati hai...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: December 26, 2008, 06:30:54 AM »
 Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai bahoot khoob shally and Pank ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #25 on: December 26, 2008, 06:37:14 AM »
Thanx Shaalyji
Aapne Bahoot khoob likha hai  Applause Applause Applause

Ishq ki parchayi to gamo tak sath nibhati hai,
Na karo yaad fir bhi har lamhe ki yaad aati hai....

Rokar,tootkar mit jaye koi,
Ishq ki raho me har taraf dard ki aahe nazar aati hain...

Ho sake to ishq se dur hi rakhna mere khuda,
Kyun ishq me toh rabb ki surat bhi badal jati hai...

~Pank~


Shukriya Aur Kya Khoob Reply Kiya Aapne Bhi,
Bahut Khoob Pank Ji,

Ishq ki parchaiyoon ko khud se door rakhna mumkin nahi,
Ishq me toot kar bikhar to sakte hai par mit jaana mumkin nahi,

Uss jaane waale ko bhulana to aasan hai par kisi aur ko basana
dil me mumkin nahi,
Ye wo haalat hai jinse taa-umaar ubhar paana mumkin nahi,

Khuda rakhe door tumhe ishq se ye mumkin nahi,
ye to uss khuda ki rehmat ki ek wajah hi hai jisse mooh mod paana
mumkin nahi...

Shally.

Logged
k.shael
Guest
«Reply #26 on: December 26, 2008, 06:38:10 AM »
Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai bahoot khoob shally and Pank ji

Shukriya Pooja Didi,

Shally.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #27 on: December 26, 2008, 07:54:52 AM »
HUM JAB BHI MUSKURATEY HAI
LOG AKSAR DHOKA KHATEY HAI
KABHI NAHI WOH SAMAJ PATEY HAI
DIL MEH BASKAR, WOHI HAMEY HASATEY HAI



JASBIR SINGH


Applause Applause

Bohat khoob pankshivam ...

Bohat khoob shally aur jasbir ji...


Thanks Honey

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #28 on: December 26, 2008, 08:00:02 AM »
Shukriya Shallyji
Shukriya Honeyrose ji
Nice Creation Jasbir ji
Thanx Soniyaji

Aab khwahish nahi ishq ka jaam thamne ki,
Har baat me ishq ki ab mujhe dard hota hai...

Aahato me khushiyo ki dar lagne lagta hai,
Har mukam pe meri ummido ka jahan rota hai...

Ab na do koi ummid mujhe pyar ke rasto ke liye,
HAr raste me dil ladkhata hai, har manzar pe aasko se samna hota hai...

~Pank~

THANKS PANK & aap neh bhi bahut khoob kaha



bahut khoob Pank


ASHQOH SEY HUMNEY SEEKH LIYA HAI
DOOR REHKAR YEH JAAN LIYA HAI
NAHI MILTI MOHABBAT JAB HAMEY
HUMNEY GUM MEH REHNA SEEKH LIYA HAI




JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #29 on: December 26, 2008, 08:01:36 AM »
Very Nice Reply Pank Ji,

Ishq ki yaad jaane kyun baar-baar aa jaati hai,
kabhi hass lete hai iski chaaw me to kabhi ye bahut
rulaati hai,

Yaad karke beete pallo ko aankhon me nami utar aati hai,
bass dil ki yahi justjoo hoti hai ki jisse ham yaad karte
hai din raat kya use pal bhar ke liye bhi hamari yaad aati hai??

Shally.


wah kya baat hai SHALLY

Jasbir Singh
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:33:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer