nafrat karu khud se, isse kaya naam du
apni hi kahani ko, bata kaya anjaam du
agg laga du duniya ko ya khud ko jala du main
kaya hai tere dil mai Pooja, aa aaj samjha du main
Duniya ki hai reet wahin, phir se dhoka khayegi
Such kahti hu maan ja, phir se puchtayegi
Nasoor bane dard ko, kab tak sahlayegi
Kuch bhi kar le, man ki peera khatam na ho payegi
Likhati rah ya band ankhon se ansoo barsaye ja
Kabhi gusse se, kabhi bebasi apni per, dil tadpaye ja
Kabhi khaomshi se aor kabhi cheekh pukar muchaye ja
Puchati rah her ek se, hazaaro sawal uthaye ja
Koi jawab tere dard ka ant na kar payega
Jis mitti se bani tu Pooja, ek din ussi mai mill jayega
Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum!!!!
hi pooja ji agar ham jaise dost ho fir bhi aap zindagi ko itne negative nazariye se dekhti hai ye to galat baat hai,mai ap ki is baat se sahmat nahi hu ,aap ne ibahut achha likha hai,par mai ise kuchh positive roop dena chahata hu.
Khud se jo Mahobbat agar nahin hoti
Zindagii khubsurat is qadar nahin hoti
Mere habib mere hosleN hua karte haiN
Ab koshish koi bhi be-asar nahin hoti
Chain milta nahi kahi bhi duniya maiN
Hasratre apne bas mai agar nahin hoti
Naa chhupate aap ko ham palko maiN
Noor-e-khuda si yeh nazar nahin hoti
Dard sah hi nahi paati dil ki deewaareN
Teri rafaaqut gar hamsafar nahin hoti
Khun-e-jigar dobo k mashale jalayi haiN
Besabab munnavar rahgujar nahin hoti
Haar kar jitney ka jazba ham rakhte haiN
Har taqdeer maiN roshan jafar nahin hoti
Rahnuma hai teri khusbu in hawao maiN
ManzileN hamse ab bekhabar nahin hoti
Har safar haiN aasan jo gar saath chale
kisi bhi faasleN ki koi sargujar nahi hoti
Is Muskaan se hi sajati hai kalbonazar
Bagair iske boo-e-gul si sahar nahin hoti
regards
manu