jab tak likhne ka hai dum!!!!

by Pooja on May 11, 2006, 07:10:32 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2953 times)
Pankhuri2
Guest
«Reply #15 on: May 25, 2006, 05:28:18 AM »
Quote from: "manu1979"


Khud se jo Mahobbat agar nahin hoti
Zindagii khubsurat is qadar nahin hoti

Mere habib mere hosleN hua karte haiN
Ab koshish koi bhi be-asar nahin hoti

Chain milta nahi kahi bhi duniya maiN
Hasratre apne bas mai agar nahin hoti

Naa chhupate aap ko ham palko maiN
Noor-e-khuda si yeh nazar nahin hoti

Dard sah hi nahi paati dil ki deewaareN
Teri rafaaqut gar hamsafar nahin hoti

Khun-e-jigar dobo k mashale jalayi haiN
Besabab munnavar rahgujar nahin hoti

Haar kar jitney ka jazba ham rakhte haiN
Har taqdeer maiN roshan jafar nahin hoti

Rahnuma hai teri khusbu in hawao maiN
ManzileN hamse ab bekhabar nahin hoti

Har safar haiN aasan jo gar saath chale
kisi bhi faasleN ki koi sargujar nahi hoti

Is Muskaan se hi sajati hai kalbonazar
Bagair iske boo-e-gul si sahar nahin hoti

regards
manu


bahoot khoob manu!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aise likhne ka.....!!! by thelostworld in Shayri-E-Dard
takdiren likhne wale by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
likhne vale ki pehchaan uski qalam se hoti hai by @kaash in Shayri-E-Dard
Likhne walo ne kya likh dala by Rishi Agarwal in Share:Love Poetry
sheir likhne baitha by saahill in Share:Love Poetry
Pooja
Guest
«Reply #16 on: May 26, 2006, 02:21:00 PM »
Quote from: "burniing_desiires"

Rasta agar badlna hota...
Toh kehta na kabhie juban se

Hath Jo tera chordna hota
Toh Thamta na Saare-aam main

Kyun tum khudko alaag maane baithe ho
kya aaitbaar nahi mere aaitbaar  mein

Manna hai tujhe appna
khushi k saath aanson bhi aapnaye hain

Tere har Lafz mein Jeevan hai mera
Chahe Dard mein likho ya Khumaar mein

Jo Jalaate bhi rahoge, toh jaalta hi rahega
Jeet tere har ek Ilzaam se

kyunki,Kuch Paane ka naam agar pyaar hota
toh bikta yeh bhi bazaar mein ... !!![/b]


bhav bhir bhi duniya laga jaati hai
Bin kahe mol bata jaati hai
Apne sawarth ko poora karne ke liye
Na jaane kitani zindagi ki bali chada jaati hai!!

Kis ne kaha payaar bikta nahi bazar mai
Shayad zindagi-e-haqiqat se abhi app wakif nahi
Toot kar payaar karne wale bhi yahan chod jaaty hai
Paise ki chamak mai, Imaan bhool jaaty hai

Bhatkaty hai khud bhi, aoro ko bhi rulaty hai
Apni khushi ki khatir, aoro ke armaan jalaty hai
Siskaty rahty hai wo dil jo payaar karty hai
Bikaty rahty hai, unke hatho jo yah vayopaar karty hai

Dil ki hai baaty, dil koi mol dekh nahi pata
Samjh atta hai jab, waqat hai nikal jaata
Waqat ke hatho phir se jakhmi dil bik jaata hai
Ek din issi bazar mai wo dum torr jaata hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: June 15, 2006, 07:11:50 PM »
Dil ka her armaan, shabdo mai saja jaati hu
Kis tarah se khud hi khud ko saja jaati hu
Tanhaai apni ko, inme chupa jaati hu
Ansoo ki barsaat, kalam se saja jaati hu

Mile khushi to, shabdo mai chalak jaati hai
Ban kar kavita hontho per muchal jaati hai
Sath pakar dosto ka phool si khil jaati hai
Mehak kar, fiza mai bikhar jaati hai

Ahsaas dukh ka, kahi rahne nahi deta
Jeene nahi deta aor marne bhi nahi deta
Sambhal hi jaati hu jab app dosto ka sath paati hu
Atta hai jo bhi dil mai, bas yahi likhati chali jaati hu!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: August 23, 2007, 08:48:50 PM »
Kab kaise anjaan dosto ne sath nibhaya hai
Na jaane ajj kyun yah khayal man mai ayya hai

Likhati rahi akeli, maana khud ko tanha tanha
Murd kar ajj dekha, her ek ne kitna sath nibhaya hai

Main hu aor meri yah kalam, na jaane kitna zindahi ne likhwaya hai
Her ek khawab jiya bas shabdo se, kavitao mai jaise jeevan bitaya hai

Haqiqat mai nahi koi sungi sathi mera
Net ki duniya mai anjaano ka sath paaya hai

Meri kalam hi sungi-sathi mera
Yoindia jaise bana mera humsaya hai....

Likhati rahi akeli, maana khud ko tanha tanha
Murd kar ajj dekha, her ek ne kitna sath nibhaya hai………
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #19 on: August 24, 2007, 07:40:43 AM »
Pooja

Very emotional feelings you have expressed in this poem sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: August 27, 2007, 02:06:16 AM »
thanks Veer ji....

bas aise hi dil udaas tha
aor hamesha ki tarah
yoindia ka hi sath tha!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 29, 2008, 04:01:20 PM »
Her ehsaas sirf apne shabdo se paaya hai
Likhte hue jiye usmain, bas yahi samjh ayya hai

Kaya dard, kaya Khumar, shabdo ki ek chaya hai
Dhoop chaw si zindagi mai, shabdo ne hi Sath nibhaya hai

Kahne ko lub chup, magar kalam bol jaati hai
Likh deti hai jab yah kuch, thora sa sakonn de jaati hai

Rokne ko rok du yah kalam, per anjaam kaya hoga
Ruk gaye shabd, ruk gai saansein, Pooja ka kahin naam na hoga

Likhati hu to likh lene do, yahi ek sungi sathi paaya hai
Jeevan bhar ki tanhai mai, yahi ek sucha sathi paaya hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: June 18, 2008, 05:35:23 PM »
Kab kaise anjaan dosto ne sath nibhaya hai
Na jaane ajj kyun yah khayal man mai ayya hai

Likhati rahi akeli, maana khud ko tanha tanha
Murd kar ajj dekha, her ek ne kitna sath nibhaya hai

Main hu aor meri yah kalam, na jaane kitna zindahi ne likhwaya hai
Her ek khawab jiya bas shabdo se, kavitao mai jaise jeevan bitaya hai

Haqiqat mai nahi koi sungi sathi mera
Net ki duniya mai anjaano ka sath paaya hai

Meri kalam hi sungi-sathi mera
Yoindia jaise bana mera humsaya hai....

Likhati rahi akeli, maana khud ko tanha tanha
Murd kar ajj dekha, her ek ne kitna sath nibhaya hai………

Jab se Khwaish ji ne Yah Post] Likhi hai tab se yah thread man mai aa raha tha ki kahin kabhi maine kuch Yoindia ke baare dil se likha tha!!
Logged
harishsharmapilot
Guest
«Reply #23 on: February 16, 2009, 02:27:44 PM »
Pooja ji
U expressed beautiful and emotional words in this thread. Applause Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: February 16, 2009, 02:36:37 PM »
nafrat karu khud se, isse kaya naam du
apni hi kahani ko, bata  kaya anjaam du

agg laga du duniya ko ya khud ko jala du main
kaya hai tere dil mai Pooja,  aa aaj samjha du main

Duniya ki hai reet wahin, phir se dhoka khayegi
Such kahti hu maan ja, phir se puchtayegi

Nasoor bane dard ko, kab tak sahlayegi
Kuch bhi kar le, man ki peera khatam na ho payegi

Likhati rah ya band ankhon se ansoo barsaye ja
Kabhi gusse se, kabhi bebasi apni per, dil tadpaye ja

Kabhi khaomshi se aor kabhi cheekh pukar muchaye ja
Puchati rah her ek se, hazaaro sawal uthaye ja

Koi jawab tere dard ka ant na kar payega
Jis mitti se bani tu Pooja, ek din ussi mai mill jayega

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum!!!!

Itna dard?  sad5

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum..!!!

Applause Applause Applause
God Bless u dear didi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: February 16, 2009, 02:47:40 PM »
waah waah Waaha Pooja Didi, Kya Khoob, Kamaal hai, BehadBadhiya,.

Yunhi Likhte Rahiye,./
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: April 08, 2009, 10:53:56 PM »
Pooja ji
U expressed beautiful and emotional words in this thread. Applause Applause Applause

shukaria Roy ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: April 08, 2009, 10:54:27 PM »
Itna dard?  sad5

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum..!!!

Applause Applause Applause
God Bless u dear didi

Thanks Roja!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: April 08, 2009, 10:54:50 PM »
waah waah Waaha Pooja Didi, Kya Khoob, Kamaal hai, BehadBadhiya,.

Yunhi Likhte Rahiye,./

Thanks Lil bro!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #29 on: April 09, 2009, 02:40:08 AM »
Thanks Roja!!

Welcome di..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:24:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer