jab wakt badal jata hai

by sandhaya on July 09, 2005, 04:43:47 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 8740 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: July 11, 2005, 08:38:09 AM »
waah chhaya ji.....

suna tha ke waqt har zakm ka marham ban jata hai
ik mere hi zakhmoN pe marham na lagaya gya
kuch iss trah se toot ke bikra hai wajud mera
kar ke lakh khoshih bhi issey bnaya na gya !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #16 on: July 11, 2005, 08:41:58 AM »
Quote from: "sandhaya"
sukhriya Meena ji ..........

Kismat ki saari baatein hai
pal main badalti insaan ki jaatein hai
pal main dete hai khushion ka ehsaas
aur pal main barsate dil dukhane wali baatein hai


waah sandhaya ji ...

yhi sansaar ka niyaam hai yhi yha ki reet
palak japltey hi yha rishtey badal jaya kartey hai
kabhi jo kartey thet shid'dat se muhoobat humko
aaj dekh ke humey, muuh mood cley jaya karte hai!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: July 11, 2005, 08:45:05 AM »
Quote from: "chhaya"
bahot khub sandhya ji

Sab log mante hai ki
Waqt ke sath sab kuch badal jata hai
per kue koi yeh nahi samzhta ki
waqt kame nahi ham waqt ko badlte hai



chhaya ji ...

gar hota insaan ke hath mein waqt ko badal pana
to iss duniya mein koi bhi yun bezaar na hota
na hoti kissi ko yun dhuswariya kabool
na koi asihq fanaah yun sar e bazaar hota !!
Logged
chhaya
Guest
«Reply #18 on: July 11, 2005, 08:56:38 AM »
Yaha kaun khush hai waqt badal ke
Her kisi ko zakhm mila hai wafa karke
Kaun kisi ke liye jita hai sathi ban ke
Khud hi zakhm mitana padta hai marham ban ke

Quote from: "HumTum"
waah chhaya ji.....

suna tha ke waqt har zakm ka marham ban jata hai
ik mere hi zakhmoN pe marham na lagaya gya
kuch iss trah se toot ke bikra hai wajud mera
kar ke lakh khoshih bhi issey bnaya na gya !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: July 11, 2005, 09:05:23 AM »
Quote from: "chhaya"
Yaha kaun khush hai waqt badal ke
Her kisi ko zakhm mila hai wafa karke
Kaun kisi ke liye jita hai sathi ban ke
Khud hi zakhm mitana padta hai marham ban ke



waah chhaya ji ...

iss duniya mein waffa ka sila gar bevffai hi hai
to kyun hum ahd e waffa kiya kertey hai
gar khud hi marham ban ke mitana hai zakhm ko
to kyun yeh la-ilaaz e dard liya kartey hai !! [/b]
Logged
chhaya
Guest
«Reply #20 on: July 11, 2005, 09:12:29 AM »
wah bahot khub Hum Tum ji

Quote from: "HumTum"
Quote from: "chhaya"
Yaha kaun khush hai waqt badal ke
Her kisi ko zakhm mila hai wafa karke
Kaun kisi ke liye jita hai sathi ban ke
Khud hi zakhm mitana padta hai marham ban ke



waah chhaya ji ...

iss duniya mein waffa ka sila gar bevffai hi hai
to kyun hum ahd e waffa kiya kertey hai
gar khud hi marham ban ke mitana hai zakhm ko
to kyun yeh la-ilaaz e dard liya kartey hai !! [/b]
Logged
chhaya
Guest
«Reply #21 on: July 11, 2005, 09:15:49 AM »
ZAKHM DARD E DIL KI MIT TE NAHI
MARHAM BAN KAR
MAGAR WAQT BADLA JA SAKTA HAI
KI SI KO APNA DOST BANA KAR
Logged
HumTum
Guest
«Reply #22 on: July 11, 2005, 09:22:45 AM »
Quote from: "chhaya"
wah bahot khub Hum Tum ji

Quote from: "HumTum"
Quote from: "chhaya"
Yaha kaun khush hai waqt badal ke
Her kisi ko zakhm mila hai wafa karke
Kaun kisi ke liye jita hai sathi ban ke
Khud hi zakhm mitana padta hai marham ban ke



waah chhaya ji ...

iss duniya mein waffa ka sila gar bevffai hi hai
to kyun hum ahd e waffa kiya kertey hai
gar khud hi marham ban ke mitana hai zakhm ko
to kyun yeh la-ilaaz e dard liya kartey hai !! [/b]


Shukriya Chhaya ji...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #23 on: July 11, 2005, 09:25:27 AM »
Quote from: "chhaya"
ZAKHM DARD E DIL KI MIT TE NAHI
MARHAM BAN KAR
MAGAR WAQT BADLA JA SAKTA HAI
KI SI KO APNA DOST BANA KAR


chhaya ji ...

khaye hai itney dhoke rah e waffa mein
ke ab aur dost banane ki koi arzuu nhi
toot chuka hai iss dil ka sheesha mera
ab in tokdo mein kissi ki koi justzuu nhi !!
Logged
chhaya
Guest
«Reply #24 on: July 11, 2005, 09:45:44 AM »
Kash ki hame phir se wapas
apne biti jindgi main jane milta
To sab kuch badal jane se pehle
dil ko sambhale rakhte
Logged
HumTum
Guest
«Reply #25 on: July 11, 2005, 09:48:35 AM »
aisa hota nhi na chhaya ji ....

guzra waqt kabhi lout ke wapis aata nhi
bas yadein reh jati hai rulaney ke liye
zakm kuch phir se ho jate hai tazza
ban jati hai hassii zamaney ke liye !!
Logged
chhaya
Guest
«Reply #26 on: July 11, 2005, 09:57:28 AM »
Jante ham ke aisa kabhi hota nahi
Jo gujar jaka hai waqt woh lout ke ata nahi
per kaise samzhaye ise nada dilko aur
Kaise roke behte asuonko
kuch bhi samz ata nahi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #27 on: July 11, 2005, 10:03:16 AM »
chhaya ji .....

dil e nadaaN per kab zor kissi ka chalta hai
iss ke hathoon majboor har insaan hai
phir ussi bevffa pe marta hai yeh dil
phir ussi batoon ko le ke preshaan hai !!
Logged
chhaya
Guest
«Reply #28 on: July 11, 2005, 10:11:18 AM »
good one....................

hum tum ji  bahot achha hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #29 on: July 11, 2005, 10:13:31 AM »
bohot bohot shukriya chhaya ji ..............................
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:46:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer