jab wakt badal jata hai

by sandhaya on July 09, 2005, 04:43:47 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 8745 times)
ghayal_shayar
Guest
«Reply #30 on: July 11, 2005, 01:57:55 PM »
bahut hi dil ko chune wala likha hai aapne par main aapke khayalon se takaluff nahi rakhta.kyonki mera maan na hai ki.gaur farmaiyega.aur aise hi likhte rahiye.


waqt badal jata hai,
par rahen nahi badalti hain.
ahche logon ki kabhi,
nigahen nahi badal jati hain.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #31 on: July 12, 2005, 06:06:05 AM »
sukhriya Humtum ji .........chhaya ji .......very nice replyies both of u ....

Wkat koi marham nahi lagata hai
ye tuh vo zalim hai jo har pal humko jalata hai
bhul jate hai jo log wakt ke saath apni mahobaat ko
na jane unn logo ka husla kon badhata hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #32 on: July 12, 2005, 06:10:14 AM »
main tuh khudpe biti hui baat ko shayari main likh rahi hun ........gayal ji .......par sabke saath ek jaisa wakt tuh nahi aata na.....Humtum ji ......chaya ji aap sab ne bahut acha likha hai .........

Wakt ki chot ne humko hi thod diya
hume apno ne har zakhm har dard diya
khudhi dikhaye unhone humko sapne
phir badi bedardi se unhe thod diya
vo tuh karte the bahut hi pyaar humse
na jane kyun mere apno ne mera ye haal kiya......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: July 12, 2005, 09:32:17 PM »
wah kaya baat hai Sandhaya ji, HumTum and Chaya bahoot khoob............
labon pe aah dil main dard aur aankhon main paani hai
muhbbat karane waalon ki bas itani si kahani hai

youn to har dard chupaye rakhte hain dil main magar
jo baat kahi na gayi labon se wo baat meri kalam ne sunani hai

humen to doobo gaye wo gum ke saagar main is tarah
magar dekhiye jara gor se chehara unka ab bhi kitana rumani hai

bas yahi hai zindagi kuch khawaab chand umeeden
jee bhar ke jee lo do pal ki ye zindgani hai

jee rahe hai unke diye ek dard ke sahare
wahi dard unka pyar aur unki diyi nishani hain

labon pe aah dil main dard aur aankhon  main paani hai
muhbbat karane waalon ki bas itani si kahani hai (NM)
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: July 12, 2005, 11:01:39 PM »
Wah Bohat khoob Sandhaya & Pooja..................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #35 on: July 13, 2005, 05:25:42 AM »
Quote from: "sandhaya"
Jab wakt badal jata hai tuh raahein badal jati hai
Ache ache logon ki nigahein badal jati hai
Vafaein badal jati hai duaein badal jati hai ......
Jab wakt badal........................................

Haath chut jate hai hai saath chut jate hai
Aankhon se askh behte hai dil bhi tutt jate hai
Umeedein tutt jati hai chahain badal jati hai
Jab wakt badal.......................................

Ass chutt jati hai vishvass tutt jata hai
jab naye riste bante hai tuh purane chut jate hai
Dil fariaad karta hai par aahen badal jati hai
jab wakt badal.....................................


Veryyyy nice..........Sandhaya Ji.....................
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #36 on: July 13, 2005, 05:49:51 AM »
sukhriya Pooja Ji Aryaan JI ,and Khushi .......
aur nice lines Pooja ji .....

Mahobaat main log huste hai do din
aur phir padhta rona saari zindgani hai

kaise karu main tujhpe aitbaar ki tu khush hai
ki meri hi kahani se milti julti teri kahani hai

sahi kaha hai tumhne ki jo na ho saka byan lafo se
vo kahani shayari main kalam ki jubani sunani hai
Logged
chhaya
Guest
«Reply #37 on: July 13, 2005, 06:59:06 AM »
tx pooja ji
apne bhi bahot khub likha hai

Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai Sandhaya ji, HumTum and Chaya bahoot khoob............
labon pe aah dil main dard aur aankhon main paani hai
muhbbat karane waalon ki bas itani si kahani hai

youn to har dard chupaye rakhte hain dil main magar
jo baat kahi na gayi labon se wo baat meri kalam ne sunani hai

humen to doobo gaye wo gum ke saagar main is tarah
magar dekhiye jara gor se chehara unka ab bhi kitana rumani hai

bas yahi hai zindagi kuch khawaab chand umeeden
jee bhar ke jee lo do pal ki ye zindgani hai

jee rahe hai unke diye ek dard ke sahare
wahi dard unka pyar aur unki diyi nishani hain

labon pe aah dil main dard aur aankhon  main paani hai
muhbbat karane waalon ki bas itani si kahani hai (NM)
Logged
chhaya
Guest
«Reply #38 on: July 13, 2005, 07:03:13 AM »
Ek mode aya tha Zindgi main jab hum mile they
Tumne to hamari Zindgi badal di thi
Dekho waqt ne to tumhe badal dala
hum to tere intzaar main wahi pe khade hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #39 on: July 13, 2005, 07:35:51 AM »
nice Chaya

Wakt hi hai jo badal deta hai har jajba
isse chalte hi har koi lagta hai apna
jab bura aaye wakt tuh sab saath chodte hai
jo kabhi duaein dete the phir vahi dil thodte hai
Logged
chhaya
Guest
«Reply #40 on: July 13, 2005, 07:53:11 AM »
good 1 sandhya ji........

Badlte hue waqt se koi shikayat nahi hamari
waqt ki adat hi hai badlna
per sirf itni hi mang hai hamari
hame jaroorat se jyada na rulana
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #41 on: July 13, 2005, 09:40:09 AM »
Rona jo hai kismat main tuh rona padega
ro ro ke daag jamir ka hume dtona padega
kaise kare gila kisi gair se abh hum
apno ne diya hai jo zakam abh sina padega
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #42 on: July 13, 2005, 09:44:09 AM »
Rona jo hai kismat main tuh rona padega
ro ro ke daag jamir ka hume dtona padega
kaise kare gila kisi gair se abh hum
apno ne diya hai jo zakam abh sina padega
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: July 13, 2005, 11:36:06 AM »
Nice Ones Chhaya & Sandhaya.......


Aye khuda mujhse na le mere gunahon ka hisaab
Mere paas ashk-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: July 13, 2005, 05:35:36 PM »
apki shayari parr  kar bahoot mashhoor ghajal yaad aa gai....

Waqat ki waqat se kaya shikayat kare
Waqat hi na raha, waqat ki baat hai!!!
Usne dekha muje, Usne chaha muje
Usne thukra diya, Waqat ki baat hai............(NM)
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer