jam gaye saare aanshu .....

by punam on May 07, 2008, 07:48:55 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1752 times)
punam
Guest
zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....

toot jaate hain her riste jodne se pehle hi
aisa kyun hota hai iss sawal ka jawaab dhoond na payi...

jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aanshu by indian_groom in Shayri for Dard -e- Judai
Saare Sapne Kahin Kho Gaye..... by fairy2633 in Songs & Lyrics
Waqt kia badla badal gaye saare! by mazHur in Ghazals
Saare Mausam Thahar Gaye Jaise (Adab) by drpandey in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
khwaab saare so gaye.. by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2008, 08:28:25 AM »
bohat acha likha hai punam dear..Usual Smile
Logged
baadal102
Guest
«Reply #2 on: May 07, 2008, 09:15:52 AM »
bahoot aache punam  Applause

Kuch lines likhe hai
galat ho to plz maaf ker dena




Samjhaya bahut dil ko lakin,
Ranho se un ke gujar hi jaata hai,
Phoolo ke tamanna hai lakin,
Kaanto ka taaz hamesha pahnaaya jaata hai.....




Baadal
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: May 07, 2008, 09:51:51 AM »
zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....

toot jaate hain her riste jodne se pehle hi
aisa kyun hota hai iss sawal ka jawaab dhoond na payi...

jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...

Punam bahut accha likha hai tumne.  Applause


Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2008, 06:42:52 PM »
Thanx  Honey di...

Thanx shihab ji..chalo aap ko acha laga..

Baadal ji thanx ...bahot acha likhe aap ne...

Roja di..thanx ...bas kuch sikh rahi hun...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: May 10, 2008, 06:50:52 AM »
zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....

toot jaate hain her riste jodne se pehle hi
aisa kyun hota hai iss sawal ka jawaab dhoond na payi...

jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...

kya khoob likha hai aapne punam ji
kuch chand lines likh rahi hoon umeed hai ki aapko pasand aayegi

dard jab hadd se badne laga to socha unhe bhula dein
par aayei na wo yaad aisa kuch kar na paayi

uthi kalam aur kuch kagaz par likhna chaha
par haale dil bayaan mei unhe kar na paayi

Logged
syednaami
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2008, 07:45:38 AM »
zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....
.............
jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...


Jeevan men ab kyunkar rusvai, -
Jab apne dil ko banaaya tune harjai, -

Sanvar jaate hain jo bolen sachai, -
Darr men rah kissine kab muhabbat pai, -

Jab haal-e-dil kehne se tu katrai, -
To koi kaise kahe tum ne di hai duhai, -

Tune har waqt man men bhari tanhai, -
issliye har gham men khudko jalai. -



(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-

MashaAllah, sab dosto ne acha saath nibhaya hai jawab dene main.
        Khaas tor par Shihab aur Kaushik ne kamaal ka sur bhara hai apne apne
         ashaar main. wah bhai wah...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: May 10, 2008, 08:08:18 AM »
Arey chhodo Shihab baba, aap bhi mazaaq karte ho.
Thanks a lot so nice of you baba,.
  Winking
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2008, 03:07:00 PM »
Jam Gaye Hain Seene Main  Aanshu Kahin
Ik Mudat Si Ho Gayi Ye Aankhein Royi Nahi.

Yun Hi Chalte Rehte Hai Tanha Tanha Yahan
Fir Bhi Mujhe.e.Kismat Tujhse Gila Koi Nahi


Rote rahe iss aas par ki yaad woh na aaye, -
Aansun to hai sahara dard ko chupaane ka, -

Tanhaiyon ne bhi saath chhod diya hai ab, -
Qismat men jab likha hai yaad men tadapne ka. -


(Syed Naami)
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: May 15, 2008, 06:00:44 PM »
Jashan hota nahin saraabon men, -
Dhanak ka rang khilta nahin tahkhanon men, -
Qaid rahti nahin par dafan hoti hain, -
Khwahishen apni doob jaati hain sailabon men. -


(Syed Naami)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2008, 07:19:15 AM »
Shihab aur Syed bohat khoob likha hai..Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2008, 07:34:31 AM »
Shukriya Shihab baba aur Honeyrose aunti...
Logged
mushiprince
Guest
«Reply #12 on: September 20, 2010, 02:51:37 PM »
zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....

toot jaate hain her riste jodne se pehle hi
aisa kyun hota hai iss sawal ka jawaab dhoond na payi...

jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo


Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo


Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka


Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo


Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se

Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main


Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye AAnsoo!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #13 on: September 20, 2010, 05:30:56 PM »
Punamjee achhi lines hain aap ki..... Applause Applause Applause

Zindagi k safar me aksar aysa hota hai
Tu he nahi sab kay saath aysa hota hai

Jamm gaye hain aansoo mere bhee sakhee....
Jamaane ho gaye palkon se gire nahi ye aansoo

Koi bahut oodaas si baat kaho k baras jaayen
Dil ki gehraayi me dabe-jamme ye mere aansoo



zindagi ki safar me khud ko tanha payi
yun toh sab hai pass yeh dard kaisa samjh na payi....

toot jaate hain her riste jodne se pehle hi
aisa kyun hota hai iss sawal ka jawaab dhoond na payi...

jamm gaye sab aansoo mere yun hi apne aap
koi nahi apne dil ko samjha na payi...

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 02:33:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer