..~~janey mout kab mehrbaaN hogi~~...

by HumTum on July 01, 2005, 04:51:17 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 4576 times)
Meena
Guest
«Reply #45 on: July 02, 2005, 03:57:16 PM »
veryyyyyyyy nice nikki kuddiye!!!!!!!

humtum ji apki shayari ka koi jawab nahin hota, itni super duper hoti ha iyka kahon!  :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #46 on: July 02, 2005, 03:59:34 PM »
thanx a lot Meena sis.............................................. ....................................
Logged
HumTum
Guest
«Reply #47 on: July 03, 2005, 10:26:52 AM »
Quote from: "nikki"
nice one again.....

na saath nibah paye to gunahgaar ho gaye
yeh mijaz aapke kab se sarkaar ho gaye

kyun ruswa karte ho khud apne hi pyar ko
soch kar dekho khatta kisko manzoor hoti hai

pyar sach ke sahare hi tikta hai
chota sa jhooth bhi ...ek saza hoti hai


waah ....

gunahgaar hi to hai jo dil uska dhuka aaye
apna hi wajood ko hum mitti mein mila aaye
'ta umr bhuhtegey sazza uss gunaah ki
yaqeen iss baat ko hum dil ko dila aaye !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #48 on: July 03, 2005, 10:41:42 AM »
Quote from: "Meena"
veryyyyyyyy nice nikki kuddiye!!!!!!!

humtum ji apki shayari ka koi jawab nahin hota, itni super duper hoti ha iyka kahon!  :D


kuch bhi keh dijiye Meena ji hum sunney ko tiyaar hai  :wink:  
Logged
Meena
Guest
«Reply #49 on: July 03, 2005, 11:08:02 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "nikki"
nice one again.....

na saath nibah paye to gunahgaar ho gaye
yeh mijaz aapke kab se sarkaar ho gaye

kyun ruswa karte ho khud apne hi pyar ko
soch kar dekho khatta kisko manzoor hoti hai

pyar sach ke sahare hi tikta hai
chota sa jhooth bhi ...ek saza hoti hai


waah ....

gunahgaar hi to hai jo dil uska dhuka aaye
apna hi wajood ko hum mitti mein mila aaye
'ta umr bhuhtegey sazza uss gunaah ki
yaqeen iss baat ko hum dil ko dila aaye !!


aab patchtaye hot kya, jab chidiya jugh gayi khet! (NM)

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #50 on: July 03, 2005, 11:13:14 AM »
Usual Smile ...wah Meena sis kya nasihat(suggestion) di hai.....

woh chal diya tumhe chod kar
tumne roka bhi nahi

usne kaha dhokhebaaz
tumne toka bhi nahi

thi galti tumhari to
tumne kabool kyun nahi kiya

agar kiya tha to
woh maane kyun nahi

nahi maane to yeh pyar tha hi nahi
to gum kahe ka buddy

pyar mein log dariya par karte hain
yeh kaisa pyar hai jahan sabhi choti si baat par nakhre hazaar karte hain
Logged
Meena
Guest
«Reply #51 on: July 03, 2005, 11:21:58 AM »
wowwwwwwwwww nikki im a big fan of ur shayari kuddiye!!

rohk to lete hum unko bhi pyar se,
par rokhne ka unone hume haq nahin diya,

man leti meri baat to aaj juda kyu hote,
hum bhi unke hai yeh ehesas unone aaj tak nahin diya!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #52 on: July 03, 2005, 11:38:15 AM »
:oops: ..main to khud aapki fan hun sis......

wonderfull sis ..kya khoob likha hai............

woh khushkismat thi jise aap jaisa mehboob mila
magar yeh bhi sach hai ke woh be-wafa nikli
aur aapko pyar ka sila khoob mila
Logged
HumTum
Guest
«Reply #53 on: July 03, 2005, 03:54:45 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "HumTum"
tofan mein naao hai tanha jaise koi kinaara naheen
kotaahii-e-qismat hai sabke hum koi hamaara naheen

rehne dijiye younhi toofanon mein koi to saath hai
koi to hai ke jisko hamaari tanhaai gawaara naheen

kabhi to tootna tha mujhe so toot gaya to kya howa
auj-e-falak pe chamakta rehta mai wo sitara naheen

koi to aaye hamari dehleez par ghaflat mey hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen

dhondti hai nazar koi raushni koi khushi har jagah
ye bhi hamari tarha hai iska bhi koi sahara naheen

kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen

udaas kab tha kismat se mai khadri jo shikwa karta
jaanta hun bina gham ke koi zindagi guzaara naheen

kya baat hai humtum,bohat khoob :D


Shukriya Nidhi ji !!!

hamari chahaton ka sila hume nil gya
jo sukha huya tha vo zakham bhi khil gya

mujhe nhi thi khabar ke ranz kiya haiN
khoob roye the hum jab bhi dil machal gya !!
again very nice humtum....and nikki sis as always gr8 :thumb:


Shukriya Nidhi ji ....  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #54 on: July 03, 2005, 03:58:51 PM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "nikki"
nice one again.....

na saath nibah paye to gunahgaar ho gaye
yeh mijaz aapke kab se sarkaar ho gaye

kyun ruswa karte ho khud apne hi pyar ko
soch kar dekho khatta kisko manzoor hoti hai

pyar sach ke sahare hi tikta hai
chota sa jhooth bhi ...ek saza hoti hai


waah ....

gunahgaar hi to hai jo dil uska dhuka aaye
apna hi wajood ko hum mitti mein mila aaye
'ta umr bhuhtegey sazza uss gunaah ki
yaqeen iss baat ko hum dil ko dila aaye !!


aab patchtaye hot kya, jab chidiya jugh gayi khet! (NM)

 :D


ab shayri chod ke yeh nisihatey deni shurru ker di
Logged
HumTum
Guest
«Reply #55 on: July 03, 2005, 07:39:56 PM »
Quote from: "nikki"
Usual Smile ...wah Meena sis kya nasihat(suggestion) di hai.....

woh chal diya tumhe chod kar
tumne roka bhi nahi

usne kaha dhokhebaaz
tumne toka bhi nahi

thi galti tumhari to
tumne kabool kyun nahi kiya

agar kiya tha to
woh maane kyun nahi

nahi maane to yeh pyar tha hi nahi
to gum kahe ka buddy

pyar mein log dariya par karte hain
yeh kaisa pyar hai jahan sabhi choti si baat par nakhre hazaar karte hain


waah... bahoot hi khoob buddy !!!

aaj kal pyaar ka yhi anzaam hota kyun hai
karta hai jo pyar woh shubh o shaam rota kyun hai

pta hai ke yeh khwaab toot jayegye lekin,
phir bhi dil aiseey khwaab sanjota kyun hai

Logged
HumTum
Guest
«Reply #56 on: July 03, 2005, 07:45:23 PM »
Quote from: "nikki"
:oops: ..main to khud aapki fan hun sis......

wonderfull sis ..kya khoob likha hai............

woh khushkismat thi jise aap jaisa mehboob mila
magar yeh bhi sach hai ke woh be-wafa nikli
aur aapko pyar ka sila khoob mila


bhoot khoob ... buddy !!!

humne ishq kiya unse to
wo hume ashq ke saugat de gaye
toota dil hume lautakar
aansoon se jodne ka mashawra de gaye !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #57 on: July 03, 2005, 07:49:07 PM »
wao, gud gud Humtum.............

dil lagane ki soch kar nikle the ghar se
jab rah-e-mohabbat mein dekha auron ka anzaam
to hum ghar ko laut aye

saari shaam soch rahi thi main
agar dil toot-ta hai to kaisa lagta hoga

agar mehboob hi dil todta hai
to fir qatil kaisa hoga
Logged
HumTum
Guest
«Reply #58 on: July 03, 2005, 07:50:04 PM »
Quote from: "Meena"
wowwwwwwwwww nikki im a big fan of ur shayari kuddiye!!

rohk to lete hum unko bhi pyar se,
par rokhne ka unone hume haq nahin diya,

man leti meri baat to aaj juda kyu hote,
hum bhi unke hai yeh ehesas unone aaj tak nahin diya!!


Meena ji ....

woh to dhilata rha pyaar ka ehsaas har gadi
haq tumko apni saansoon pe bhi usney diya
tumpe to luuta di thi usney zindgani apni
kabhi soch ke uskey sath kya tuney kiya !!
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:13:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer