~*~*JaRoOrI tO nAhI~*~*

by ghayal_shayar on July 05, 2005, 03:49:02 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 877 times)
ghayal_shayar
Guest
kaante hi chubhan de jaroori to nahi,
phool bhi nashtar chubhote hain.

barish hi bhigoe tan-man jaroori to nahi,
aansoo bhi daaman bhigote hain.

toofan hi duboe kashti jaroori to nahi,
maajhi bhi nau dubote hain.

humesha saath ho karwaan jaroori to nahi,
rashte bhi humsafar hote hain.

har mushafir ko mile manzil jaroori to nahi,
kuch taumar mushafir hi rehte hain.

dil ki baat pahunche labon tak jaroori to nahi,
khamosh lamhe bhi to bolte hain.

gumbadon ki hi ho pooja jaroori to nahi,
neew ke patthar bhi ibadat ke kabil hote hain.



umeed hai aap logon ko pasand aaya hoga.agar na bhi aaye to reply jaroor karna kyoki maine mehnat ki hai iske peeche.

aapka LUCKY
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
***Jaroori to nahi*** by yasir_sensitive in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
KUCHH THUKRANA JAROORI HAI by mahen in Shayri-E-Dard
jaroori by smruti in Shayri-E-Dard
jaroori to nahi…… :) by nirala in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Sabse jaroori hai..... by Dineshkumarjonty in Shayri for Khumar -e- Ishq
rbh
Guest
«Reply #1 on: July 06, 2005, 09:44:43 AM »
dil ki baat zubaan pe aye zaroori to nahi
nazron ke bhi kuch alag alfaaz hote hain.....


bohot khoob sir,,,, par hairan hoon dekhkar ki koi reply nahi....
Logged
dolly
Guest
«Reply #2 on: July 06, 2005, 10:33:47 AM »
veryyyyyyyyyyyyyyy nicee Ghayal Shaayar.................bahut khoob................................
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 06, 2005, 01:07:13 PM »
ty RBH sahab maaf kariyega kyonki mujhe aapka naam nahi pata.par ye humari khusnasibi hai ki aapko humari panktiyaan pasand aayi.aur replies to sirf isliye nahi hain kyonki main abhi aapke site par naya hoon aur its quite natural.bas aap aisi hi aate aur padhte rahiye.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: July 06, 2005, 01:08:23 PM »
dolly ji its my pleasure that u liked my post just keep coming and reading like this urs.............
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: July 06, 2005, 03:52:50 PM »
arre gud gud shayar ji!!!

"barish hi bhigoe tan-man jaroori to nahi,
aansoo bhi daaman bhigote hain. "


yeh lines to bohot achi lagi mujhe!! keep it up and welcome to yoindia!

 :D
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 08, 2005, 05:39:09 AM »
thanks meena ji meri lines pasand karne ke liye aur ab to main bhi member ban gaya hoon to samay samay par aap mujhko padhte hi rahiyega.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2005, 05:47:23 AM »
wow .......very nice  lucky ji ..........bahut acha likha hai ..........keep it up .....

dil ke dard ko humne hass hass ke saha
har inssan ke bas ki ye baat ho jaruri tuh nahi

umeed ki shama tuh humne jalai hai
bhujne se pehle vo aaj hi jaye ye jaruri tuh nahi

suna hai ki log marke aksar yaad aate hai
par hum unhe mar ke bhi yaad aaye jaruri tuh nahi
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 08, 2005, 06:10:53 AM »
pehli baat to meri rachna ko pasand karne ke liye bahut bahut dhanyawad sandhya ji.aur itna ahcha reply dene ke liye humari daa kabool kijiye.bas aise hi padhte rahiye aur hum likhte rahenge.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:19:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer