-JawaN Marte hai-

by HumTum is back on November 24, 2006, 01:17:57 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1438 times)
HumTum is back
Guest
Ek Zamane ke baad ..... aayi phir honthon pe yeh baat!!


Saaf zahir hai nigahoN se ki hum marte hain
Munh se kehte huye ye baat magar darte hain

Ek tasvir-e-muhobat hai yeh jawani goya
Jis mein rango ki jagah Khon-e-jigar bhrate hain

Kal ki hansi ne ja kar na kiya yaad hamey
Kal ki hansi ko hum yaad kiya karte hain

Asmaan se kabhi dekhi na gyi apni Khushi
Ab yeh halat hain ki hum haste hue darte hain

Khona to jassey naseeb hi ban gya hai apna
Ab to koi bhi shai ko hum pane se darte hai

Sher kehte ho bahut khoob tum "HumTum" lekin
achche shayar yeh suna hai ki jawaN marte hain!!  


[/color]
HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AABHI TU MEIN JAWAN HOON......... by fakharenaveed in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3 4 »
Khuwab Jawan They by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
bhul jawan... by brokenbyluv in Share Video
jawan(CSET) by MANOJ6568 in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Dil Jawan by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Meena is back
Guest
«Reply #1 on: November 29, 2006, 05:56:53 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Ek Zamane ke baad ..... aayi phir honthon pe yeh baat!!


Khona to jassey naseeb hi ban gya hai apna
Ab to koi bhi shai ko hum pane se darte hai
[/color]
HumTum


wah wah bohot khoob humtum ji...apki yeh do lines jo quote ki hai mujhe bohot achi lagi...

zindagi ki raha phool aur kanton ki sej hai,
chube gar kanta to phir bhi chalna na chodna,
haunsla rakh "HumTum" us Khuda pe tum,
fariyad karne ka silsila tum mat rokhna!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #2 on: November 30, 2006, 01:35:54 PM »
Shukriya Majid Ji !!!

Meena -JI ... Humne kab kha ke humne Fariyaad karna chod diya ... ureka ... yeh to woh silsila hai jo kabhi toot-ta hi nhi !!


Dafatan jab kissi ne apna hath aage bdaya
Pyaar mein khaya hua dhoka yaad aaya
Suna tha ke waqt har zakhm bhar jata hai
Humne to jab bhi paya har zakhm hra paya !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: November 30, 2006, 01:41:25 PM »
Humtum and Meena....bohot khoob !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #4 on: November 30, 2006, 01:43:59 PM »
Shukriya Doctor Sahiba !!

Raah bhi jab bhi mil jata hai raahguzar koi
Rukh jata hoon usko alvida kehne le liye !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: November 30, 2006, 01:54:16 PM »
Hume zindagi ne yoon rakha hai zinda
Maut intezar main aur zindagi chorhti nahin !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #6 on: November 30, 2006, 01:56:58 PM »
Teri halaat ko sun ke hume yaad aaya hai kuch
Hum bhi zinda hai zra unko bta de jakar koi !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: November 30, 2006, 01:58:47 PM »
Zinda hain ki bas yeh  saansaain ruki ruki si hain,
Unke aane ki aas main palken thami thami si hain
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #8 on: November 30, 2006, 02:00:59 PM »
Koi aas ab na koi umeed hai baaqi
La pila ab bas pila Saaqi !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: November 30, 2006, 02:02:54 PM »
Aas ka diya jalta hai magar phir roshni kam hoti gayi
Jaise rafta rafta mere seene main saansen kho gayin
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 30, 2006, 03:18:41 PM »
bahoot khoob HumTum, Meena and Talat

waqat ayya wo ki, magar waqat nikal gaya
hath ayya nahi kuch, dil jakhamo se bhar gaya
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: November 30, 2006, 05:42:18 PM »
Thanks Pooja...and nice one from you....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:12:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer