..~~jazbaat e ishq~~..

by HumTum is back on January 16, 2006, 02:47:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1197 times)
HumTum is back
Guest
Adaab dostooN ..... jab ishq ki aag pure zorro par ho aur tab humdum chod ke khi duur claa jaye ... us dard ko kaun nhi janta ......  majboori ho ya beffwai ..... dil ka jo hal hota hai woh to bas whi janta hai jis ke sath bet-ti hai ........ bas ussi Ehsaas ko pesh karne ki khosish hai meri iss gazal mein!!

Mein us ke nigahoon mein chamak-ta hoon kis liye
mein us key gulistan mein mahak-ta hoon kis liye

jo meri rafaqat ko samjh-ta tha baar-e-ishq
ab us ki hawaon main sanak-ta hoon kis liye

tood deta tha mere tuhfay ki chooriyaan
ab us ke bazuon mein khanak-ta hoon kis liye

pukarte hai us ke baagh ki mujh ko kali kali
ab us ke baharoon mein damak-ta hoon kis liye

khud mujh se jo "HumTum" ulajh-ta tha baat baat
ab us ke ansuoon mein Tapak-ta hoon kis liye

ab mujh se bad-gumaan woh rehta nahin phir bhi
udasiyoon mein chaand ko tak-ta hoon kis liye !!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JAZBAAT by soni_nice1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAZBAAT by soni_nice1 in Shayri for Dard -e- Judai
MERE JAZBAAT by ANKIT RAO in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
~~~~~******JAZBAAT-E-LAFZ******~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAZBAAT -JAZBAAT .! by qalb in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: January 16, 2006, 03:07:38 PM »
HumTum bahut he khoobsoorat likha hai bro !

Keep going !
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: January 16, 2006, 03:32:21 PM »
Waaahhhhh....bohat khoob humtum.

"Qadra hai meri teri zindagi me ab itni kisliye,
      kashtiyan dubaate waqt to fikr na ki thhi,
      teri raaton me wo chamakta chand....,
      teri subahon me wo chamakta suraj....,
      anjaan raahon me wo sadak main thhi."
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: January 16, 2006, 03:35:59 PM »
Nidhi aap ne bhi bahut achcha likha hai !
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: January 16, 2006, 03:48:57 PM »
Thanx a lot Rajbir ji Usual Smile .
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #5 on: January 17, 2006, 10:57:05 AM »
Thanks very much Rajbir ji  :D

very very nice Nidhi  !!!

Tumhare zakhm se hum dil ki duniya shaad rakhte hain
Khazan mein bhi baharon ki tarah aabad rakhte hain
Kabhi lab pe dua dil mein kabhi faryad rakhte hain
Unhey maaloom kya hum unko kaise yaad rakhte hain !!  
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: January 17, 2006, 11:10:43 AM »
Bahut sahi kaha aapne HumTum

Very nice
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2006, 06:08:05 AM »
wah kaya baat hai Humtum ji bahot hi khoobsurat likh rahe hai app her jagah!!!

Jazbaat e ishaq kuch is kadar charra
duniya kaya, khud ka bhi hosh na raha
ajj uatra hai Nasha to yah samjh ayya
jazbaat e ishaq se barr kar koi aor Josh nahi!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #8 on: January 18, 2006, 10:31:15 AM »
Thanks Rajbir ji .. and Pooja ji ... nice one Pooja ji !!

Aisa nahin ke hum ko muhabbat nahin mili
jaisi chahtey they hum ko WohuUlfat nahin mili
milnay ko zindagi main kai humsafar mile
per un ki tabiyat se tabiyat nahin mili !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: January 18, 2006, 06:06:46 PM »
bohot ache humtum ji...nidhi and pooja sis...great as well!

jane kyu woh ek shaks mere dil ko bha gaya,
judai ke kaanton ko haaton me tama gaya,
woh to chala gaya apne rah apni manzil par
na kabhi bharne wala zakhm humare dil ko laga gaya!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: March 10, 2006, 08:01:57 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Thanks Rajbir ji .. and Pooja ji ... nice one Pooja ji !!

Aisa nahin ke hum ko muhabbat nahin mili
jaisi chahtey they hum ko WohuUlfat nahin mili
milnay ko zindagi main kai humsafar mile
per un ki tabiyat se tabiyat nahin mili !!


i like that..!!

dil diya tha junoon-e-mohabbat main
aaj bhi wo rishta jiye ja rahe hai
ki dil se dil milane ka faisla liya tha
aaj aapne waado ke wajood pe jiye jaa rahe hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: March 10, 2006, 08:08:21 PM »
bahut khoob everyone...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:20:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer