Jazbaat Kabhi Marte Nahi "Khwaish"

by khwaish on March 22, 2010, 04:08:13 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 12298 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Ek Nazm Pesh Kar Raha Hoon,Iss Nazm mein Ek Aisi Soch hai ke Insaan Kayi Baar Aise Halaat Ka shikaar Ho Jaata Hai Ke Naa Chaah Kar Bhi Uski Zindagi mein Bahut Si Tabdeeliyan Aa Jaati Hai Par uski Soch,Uske Jazbaat Kabhi Nahi Badal Paate....Umeed karta Hoon,Ke Aap Sab Iss Nazm Ko zaroor Padhenge..

Do log Milke Bichadte Bhi hai
Apne-Apne Raaste Phir Chalte Bhi Hai
Majbooriyaon se Badi Koi Saza Nahi..
Par Insaan Waha Kuch kar Nahi Pata Jahan Khuda Ki Raza Nahi

Apne Hi Kismat se Hum Kabhi Ladte Nahi..
Par yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Aansu Bankar Yaadein Aankhon se Beh Jaate Hai
Kabhi Dil Ki Tanhai Bankar Yeh Dil mein Hi Reh Jaate Hai
Kabhi Kuch Na Kehkar Hum sab Kuch keh Jaate Hai
kabhi Veeraniyon mein Khud Se Hi Baatein Karte Reh Jaate hai..

Toote Hue Sapne Kabhi Sawarte Nahi
Par Yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Ghazal Bankar To kabhi Nazm Bankar yeh Dil se Kalam Par Utar Jaati hai
Kabhi Bhari Mehfil Mein Bhi yeh Tanha Kar Jaati hai..
Yeh Baat Aur hai ke Ab Hum Tanhaiyon Se Bhi Darte Nahi..
Par Tujhe Yaad Karne Ke siva Aur Kuch hum Karte nahi...

Shukar Hai Ke Hum Sheeshe Ki tarah Toot Kar Bikharte Nahi
Par yeh Baat Sach hai ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi...."

Agar Insaan Waqt Ke saath-Saath Na Chale To Woh Insaan Nahi,
Aisa Kaunsa DIL Hai Jisme Mein Koi Armaan Nahi,
Zakhm To Bahut Hote Hai,Par kahi Koi Nishaan Nahi..
Duniya Mein Aisa Koi Shaks Nahi Jo Dard sehkar bhi jiske Chehra Par Koi Muskaan Nahi

Jis Raah ke Pathar se chot Khaayi Ho, Phir uss Raah se Guzarte Nahi
Par yeh Baat Sach hai Ke "jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Aaj Ek sawaal Har Uss Shaks Ko puchta Hoon,
Jo Iss Nazm Ko padh rahe Hai!!!!!
yeh Zindagi hai Aur Har Insaan yahan Chal rahe Hai..
Kya Kabhi Yaadein Dafan Ho Jaate Hai??
Kya Waqt Aur halaat ke Mutaabik jazbaat mar Jaate hai???

"Khwaish" Beeti Baatein,Beeti Yaadein kabhi Dil se Nikalte Nahi..
Yeh Baat Sach hai Aur Sirf Sach!!! ke JAZBAAT KABHI MARTE NAHI...

                     ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: March 22, 2010, 04:31:23 PM »
WAH KHWAISHJI WAH! BAHUUUUUT KHOOB,BAHUT ACHHA LIKHA HAI.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley AAPKE SAWAAL KE JAWAAB MEIN MUJHE SIRF YE KEHNA HAI KI.

YAADEN KABHI MARTI NAHIN HAIN NA DAFAN HOTI HAI
JAB JAB HALAAT USS GALI SE GUJARTE HAIN .
TAB TAB MAUKA PAAKAR JEE UUTHATI HAIN.

JAZBAAT KABHI MARTE NAHIN HAIN KISI KE.
BUS AABO HAWA BEEJ KE MUTAABIK HO NAI PAUDH UUGATI HAI.
 
Ek Nazm Pesh Kar Raha Hoon,Iss Nazm mein Ek Aisi Soch hai ke Insaan Kayi Baar Aise Halaat Ka shikaar Ho Jaata Hai Ke Naa Chaah Kar Bhi Uski Zindagi mein Bahut Si Tabdeeliyan Aa Jaati Hai Par uski Soch,Uske Jazbaat Kabhi Nahi Badal Paate....Umeed karta Hoon,Ke Aap Sab Iss Nazm Ko zaroor Padhenge..

Do log Milke Bichadte Bhi hai
Apne-Apne Raaste Phir Chalte Bhi Hai
Majbooriyaon se Badi Koi Saza Nahi..
Par Insaan Waha Kuch kar nahi Pata Jahan Khuda Ki Raza Nahi

Apne Hi Kismat se Hum Kabhi Ladte Nahi..
Par yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Aansu Bankar Yaadein Aankhon se Beh Jaate Hai
Kabhi Dil Ki Tanhai Bankar Yeh Dil mein Hi Reh Jaate Hai
Kabhi Kuch Na Kehkar Hum sab Kuch keh Jaate Hai
kabhi Veeraniyon mein Khud Se Hi Baatein Karte Reh Jaate hai..

Toote Hue Sapne Kabhi Sawarte Nahi
Par Yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Ghazal Bankar To kabhi Nazm Bankar yeh Dil se Kalam Par Utar Jaati hai
Kabhi Bhari Mehfil Mein Bhi yeh Tanha Kar Jaati hai..
Yeh Baat Aur hai ke Ab Hum Tanhaiyon Se Bhi Darte Nahi..
Par Tujhe Yaad Karne Ke siva Aur Kuch hum Karte nahi...

Shukar Hai Ke Hum Sheeshe Ki tarah Toot Kar Bikharte Nahi
Par yeh Baat Sach hai ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi...."

Agar Insaan Waqt Ke saath-Saath Na Chale To Woh Insaan Nahi,
Aisa Kaunsa DIL Hai Jisme Mein Koi Armaan Nahi,
Zakhm To Bahut Hote Hai,Par kahi Koi Nishaan Nahi..
Duniya Mein Aisa Koi Shaks Nahi Jo Dard sehkar bhi jiske Chehra Par Koi Muskaan Nahi

Jis Raah ke Pathar se chot Khaayi Ho, Phir uss Raah se Guzarte Nahi
Par yeh Baat Sach hai Ke "jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Aaj Ek sawaal Har Uss Shaks Ko puchta Hoon,
Jo Iss Nazm Ko padh rahe Hai!!!!!
yeh Zindagi hai Aur Har Insaan yahan Chal rahe Hai..
Kya Kabhi Yaadein Dafan Ho Jaate Hai??
Kya Waqt Aur halaat ke Mutaabik jazbaat mar Jaate hai???

"Khwaish" Beeti Baaton,Beeti Yaadein kabhi Dil se Nikalte Nahi..
Yeh Baat Sach hai Aur Sirf Sach!!! ke JAZBAAT KABHI MARTE NAHI...

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 23, 2010, 06:10:38 AM »
WAH KHWAISHJI WAH! BAHUUUUUT KHOOB,BAHUT ACHHA LIKHA HAI.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley AAPKE SAWAAL KE JAWAAB MEIN MUJHE SIRF YE KEHNA HAI KI.

YAADEN KABHI MARTI NAHIN HAIN NA DAFAN HOTI HAI
JAB JAB HALAAT USS GALI SE GUJARTE HAIN .
TAB TAB MAUKA PAAKAR JEE UUTHATI HAIN.

JAZBAAT KABHI MARTE NAHIN HAIN KISI KE.
BUS AABO HAWA BEEJ KE MUTAABIK HO NAI PAUDH UUGATI HAI.
 


Bahut Bahut Shukriya Sureshji..Aapka Teh dil se Shukriya

Mujhe Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui hai Ke Aapko Yeh Nazm pasand Aayi... Usual Smile

Aur Aapne Bhi Bahut Khoob Likha Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 23, 2010, 10:56:23 AM »
Khwaish Bhai Aapka Kalaam Humesha Kisi
Khas Topic Par Hi Hota Hai......
Aur Mein Shuru Se Dekhta Aa Raha Hun
Ki Aap Badi Se Badi Baat Aasani Se Likh Dete Hain
Ab Is Namz Ko Hi Le Lijiye....Kis Qadar
Khoobsurti Aur Sagdi Se Aapne Shabdon Men
Zindagi Ki Sachchai Ko Piroya Hai....
Ab Aur Kya Tareef Karun.Lafz Hi Nahi Mere Pass
Bahut Hi Pyaari Nazm Hai Bhai... Applause Applause Applause


Khush Rahiye....


~Shihab~



Majid Bhai..Aapka Teh Dil se shukriya Jo Aapne Yeh Nazm Ko Padha Aur Iss Nazm Ko Itna Saraha..Aur Majid Bhai Iss Nazm Ki Khoobsurti Tab Hi hai Jab Aap Jaise Guuni Log isse Padhe..

Bahut Bahut Shukriya Aapka.. icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2010, 12:30:36 PM »
Khwaish Dost,

I am speechless......kitni sach hai baat hai ki "Jazbaat Kabhi Marte Nahin" !!

Bohot bohot khoob Dost..Aapne bohot khoobsurat nazm likhi hai, humesha ki tarah kuch nayi soch ke saath  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 23, 2010, 01:50:40 PM »
Khwaish Dost,

I am speechless......kitni sach hai baat hai ki "Jazbaat Kabhi Marte Nahin" !!

Bohot bohot khoob Dost..Aapne bohot khoobsurat nazm likhi hai, humesha ki tarah kuch nayi soch ke saath  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Thankyou Sooooooooooooooooooooo Much Talat Dost!!!

Aapne Yeh nazm Padhi,Aur Phir Aapne Dil se Saraha,Teh Dil se Shukriya Aapka.. icon_flower
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: March 23, 2010, 02:49:27 PM »


Khwaish Bhai.. Such Kahun to Mere Paas Aapki Is Poem Ki Taareef ke Liye Lafz Nahi Hain.. Jitni Taareef Karunga Shayad Wo Bhi Kam Padh Jayegi...!! icon_thumleft


Zindgi Ki Succhai Ko Kaagaz Par Behad Hi Khubsoorti Se Utaara hai aapne.. aur Aapke Is Qalaam Ne Jo Sawal Mere Zahan Me Chode Hain... Unke Jawab Shayad Mere Paas Nahi.. Kyunki Zindgi Waqai ek Aboojh Paheli Hai..  notworthy




**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 23, 2010, 03:34:16 PM »


Khwaish Bhai.. Such Kahun to Mere Paas Aapki Is Poem Ki Taareef ke Liye Lafz Nahi Hain.. Jitni Taareef Karunga Shayad Wo Bhi Kam Padh Jayegi...!! icon_thumleft


Zindgi Ki Succhai Ko Kaagaz Par Behad Hi Khubsoorti Se Utaara hai aapne.. aur Aapke Is Qalaam Ne Jo Sawal Mere Zahan Me Chode Hain... Unke Jawab Shayad Mere Paas Nahi.. Kyunki Zindgi Waqai ek Aboojh Paheli Hai..  notworthy




**~** Mann **~**

Sach Kaha Mann Ji Aapne,Zindagi Vaakai Ek Adboodh Paheli hi hai..

Aur Aapka Bahut bahut Shukriya Mannji Jo Aapne Iss Nazm Ko Padha Aur Aur itna Saraha..Thankyou Sooooooooooooooooooooooooooooo Much!!! icon_flower
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: March 23, 2010, 04:25:10 PM »
Khwaish ji bahut sunder poem likhi hai aapne. Padhkar mazaa aa gaya. Bahut achhe topic par aapne apne jazbaat ko numaya kiya hai.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: March 23, 2010, 06:29:32 PM »
Khwaish bhai bahut sunder kalaam pesh kiya hai aapne. Wah!! Wah!! mazaa aa gaya janab. Bahut achhe subject par aapne apne jazbaat ko ubhara hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 24, 2010, 09:06:30 AM »
Khwaish ji bahut sunder poem likhi hai aapne. Padhkar mazaa aa gaya. Bahut achhe topic par aapne apne jazbaat ko numaya kiya hai.

Bahut bahut Shukriya Riyaz Ji Jo Apane Iss Nazm Ko Apna Waqt Diya.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 25, 2010, 06:40:17 AM »
Khwaish bhai bahut sunder kalaam pesh kiya hai aapne. Wah!! Wah!! mazaa aa gaya janab. Bahut achhe subject par aapne apne jazbaat ko ubhara hai....

Bahut Bahut Shukriya Drpandeyji.. Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: March 25, 2010, 04:36:09 PM »
Bahut achcha likha hai aapne Khwaish ji... Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: March 26, 2010, 11:50:58 AM »
SHUKRIYA KAASHJI.
Khwaish ji behatreen likha hai aapne,bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Suresh ji aapki lines bhi achi lagin,nice one  Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: March 26, 2010, 03:58:27 PM »
bahut bahut bahut hi khoobsurat khwaish ji........bahut behtarin........
sach kha khuda ki raza jha na ho wha insaan khuch nahi kar sakta.....
bahut hi khoob khwaish ji...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:40:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer