Jazbaat Kabhi Marte Nahi "Khwaish"

by khwaish on March 22, 2010, 04:08:13 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 12371 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #15 on: March 27, 2010, 10:24:10 PM »
Ek Nazm Pesh Kar Raha Hoon,Iss Nazm mein Ek Aisi Soch hai ke Insaan Kayi Baar Aise Halaat Ka shikaar Ho Jaata Hai Ke Naa Chaah Kar Bhi Uski Zindagi mein Bahut Si Tabdeeliyan Aa Jaati Hai Par uski Soch,Uske Jazbaat Kabhi Nahi Badal Paate....Umeed karta Hoon,Ke Aap Sab Iss Nazm Ko zaroor Padhenge..

Do log Milke Bichadte Bhi hai
Apne-Apne Raaste Phir Chalte Bhi Hai
Majbooriyaon se Badi Koi Saza Nahi..
Par Insaan Waha Kuch kar Nahi Pata Jahan Khuda Ki Raza Nahi

Apne Hi Kismat se Hum Kabhi Ladte Nahi..
Par yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Aansu Bankar Yaadein Aankhon se Beh Jaate Hai
Kabhi Dil Ki Tanhai Bankar Yeh Dil mein Hi Reh Jaate Hai
Kabhi Kuch Na Kehkar Hum sab Kuch keh Jaate Hai
kabhi Veeraniyon mein Khud Se Hi Baatein Karte Reh Jaate hai..

Toote Hue Sapne Kabhi Sawarte Nahi
Par Yeh Baat Sach hai Ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Kabhi Ghazal Bankar To kabhi Nazm Bankar yeh Dil se Kalam Par Utar Jaati hai
Kabhi Bhari Mehfil Mein Bhi yeh Tanha Kar Jaati hai..
Yeh Baat Aur hai ke Ab Hum Tanhaiyon Se Bhi Darte Nahi..
Par Tujhe Yaad Karne Ke siva Aur Kuch hum Karte nahi...

Shukar Hai Ke Hum Sheeshe Ki tarah Toot Kar Bikharte Nahi
Par yeh Baat Sach hai ke "Jazbaat Kabhi Marte Nahi...."

Agar Insaan Waqt Ke saath-Saath Na Chale To Woh Insaan Nahi,
Aisa Kaunsa DIL Hai Jisme Mein Koi Armaan Nahi,
Zakhm To Bahut Hote Hai,Par kahi Koi Nishaan Nahi..
Duniya Mein Aisa Koi Shaks Nahi Jo Dard sehkar bhi jiske Chehra Par Koi Muskaan Nahi

Jis Raah ke Pathar se chot Khaayi Ho, Phir uss Raah se Guzarte Nahi
Par yeh Baat Sach hai Ke "jazbaat Kabhi Marte Nahi..."

Aaj Ek sawaal Har Uss Shaks Ko puchta Hoon,
Jo Iss Nazm Ko padh rahe Hai!!!!!
yeh Zindagi hai Aur Har Insaan yahan Chal rahe Hai..
Kya Kabhi Yaadein Dafan Ho Jaate Hai??
Kya Waqt Aur halaat ke Mutaabik jazbaat mar Jaate hai???

"Khwaish" Beeti Baatein,Beeti Yaadein kabhi Dil se Nikalte Nahi..
Yeh Baat Sach hai Aur Sirf Sach!!! ke JAZBAAT KABHI MARTE NAHI...

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Khwaish ji bahut hi umda likha hai..apke dil ki iss gehri soch ko main sir jhuka k salaam karti hu...bahut hi badhiya likha hai..apke alfazo k aage merra har alfaz beimana hai..sach mein ek umda shayar ki misaal hai aap...Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #16 on: March 28, 2010, 01:33:41 PM »
Bahut achcha likha hai aapne Khwaish ji... Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Klaskarji Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #17 on: March 30, 2010, 06:12:47 AM »
Khwaish ji behatreen likha hai aapne,bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Suresh ji aapki lines bhi achi lagin,nice one  Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..

Aapne apna waqt diya.teh dil se shukriya aapka.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #18 on: April 06, 2010, 04:24:53 PM »
bahut bahut bahut hi khoobsurat khwaish ji........bahut behtarin........
sach kha khuda ki raza jha na ho wha insaan khuch nahi kar sakta.....
bahut hi khoob khwaish ji...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Applause Applause Applause Applause

Thankyou Sooooooooooooo Much Pooja..Aapne Padha Iss Ehsaas Ko Samjha,Aapka Teh Dil Se Shukriya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #19 on: April 08, 2010, 12:37:30 PM »
Khwaish ji bahut hi umda likha hai..apke dil ki iss gehri soch ko main sir jhuka k salaam karti hu...bahut hi badhiya likha hai..apke alfazo k aage merra har alfaz beimana hai..sach mein ek umda shayar ki misaal hai aap...Applause Applause

                        Thankyou !

Thankyou Soooooooooooooooooooooooo Much Geetji..Aapne Apna Waqt Diya,Inn Ehsaaso Ko,Inn Jazbaaton ko Samjha..Aap Ka Teh Dil Se Shukriya icon_flower

Thankyou Sooooooooooooo Much For Those Sweet Words.. notworthy notworthy
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #20 on: April 08, 2010, 09:15:30 PM »
ur most welcome khwaish ji...i said wat u deserved...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #21 on: April 14, 2010, 03:17:04 PM »
ur most welcome khwaish ji...i said wat u deserved...

Thakyou Soooooooooo Much Once Again Geetji.. icon_flower
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #22 on: April 14, 2010, 03:29:23 PM »
khawish sahab is taherir ki tareef me bus itna kahe sakta hon ki ..zindabad .. zindabaad ..

aur apko to pata hi hai mai sidhe bol deta hon issi ke rahete kai baar dil azari bhi ho chuki hai ..

mai ye kahonga ke jo geet saheba ne kaha hai wo baath sach hai .. you desreved that words .. ap me wo salahiyaten maujood hain aur ap unka baaqubi istemaal bhi kar lete hain .. yunhi kahete rahiyega badi se badi sachai kahe dete ho app..ye eak hunar hai jo allah subko nahi deta ..

khadim

qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #23 on: April 14, 2010, 03:40:20 PM »

Qadeer Bhai, Aapne Itna Kuch keh Diya,Jiske main Bilkul bhi Laayak Nahi..Yakeen Maniye, Aap Jaise Kayi Shayaro Ki Shayariyan Padhkar Hi Kuch Likhne Ka Hausla Milta Hai..Naa Hi maine Kabhi kisi Se Koi Taalim Li,Bas Dil ki Baaton ko Lafzon Mein Utaarta Reh Jaata Hoon..

Aapki Duayen Aur Pyaar saath raha To humesha Likhte Rehne ki koshish Karta Rahunga..

Teh Dil Se Aapka Shukriya notworthy notworthy notworthy
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #24 on: April 14, 2010, 04:03:32 PM »
..Naa Hi maine Kabhi kisi Se Koi Taalim Li,Bas Dil ki Baaton ko Lafzon Mein Utaarta Reh Jaata Hoon..

issi ko kahete hain khuda dad salahiyat ..jo ke bahoth hi kamm logon me payi jaati hai .. rahi baath duwaun ki to aise kahe kar app mujhe sharminda kar rahe hain .. meri duwaen hamesha apke saath hain .. allah apko taraqi de khawish sahab .. khush rahe hamesha ..

duwa go

qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #25 on: May 12, 2010, 06:47:31 AM »

issi ko kahete hain khuda dad salahiyat ..jo ke bahoth hi kamm logon me payi jaati hai .. rahi baath duwaun ki to aise kahe kar app mujhe sharminda kar rahe hain .. meri duwaen hamesha apke saath hain .. allah apko taraqi de khawish sahab .. khush rahe hamesha ..

duwa go

qadeertoopchi

Qadeer bhai, Aapka Dil-o-jaan se Shukarguzaar Hoon..

bas Yuhi Saath Dete Rahiyega..Teh Dil Se Shukriya icon_flower
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #26 on: August 05, 2010, 05:43:42 PM »
iss thread me sabne itna sara keh diya k mera kuch bhi kehna jaruri nahin lagta...itni khubsurat gazal...dil ki har ek baat kehti hui...jazbaaton se labrezz....har ek lafz apne aap me kuch keh raha hai....har ek stanza puri gazal ka dard samaye hai....
itne kaabil logon ne yahan aapko daad di hai aur itni tareef ki hai..k main padh padh k hi aatm vibhor ho gai....

waakai me khwaish ji aapki lekhni me jo kashish hai wo bht kum logon ki likhawat me milti hai.... har gazal aapki ek nai disha dikhati hai..ek nai soch jagati hai...sidhe saadhe dhang se aap itni badi baat keh jate hain jo sidhe dil o dimag me utar jati hai....

sach me itna achcha kaise likh lete ho aap re..?
kuch tips dijiye na k main bhi aoisa likh sakun...
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #27 on: March 22, 2011, 08:10:28 AM »
aapne ekdum sahi kaha khwaish ji

jazbaat kabhi marte nahi

jindgi chalti rehti hai apne hi andaj me
lekin marne walo ke pichhe hum marte nahi
rote hai bilakhte hai hum kisi ke jane par
kyonki jazbaat hai jo kabhi marte nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #28 on: March 23, 2011, 12:56:33 PM »

issi ko kahete hain khuda dad salahiyat ..jo ke bahoth hi kamm logon me payi jaati hai .. rahi baath duwaun ki to aise kahe kar app mujhe sharminda kar rahe hain .. meri duwaen hamesha apke saath hain .. allah apko taraqi de khawish sahab .. khush rahe hamesha ..

duwa go

qadeertoopchi

Aapki Duayon Ke liye tehhhhhhhhhh dilllllll se shukriya Qadeer bhai icon_flower

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #29 on: April 27, 2011, 12:14:58 PM »
iss thread me sabne itna sara keh diya k mera kuch bhi kehna jaruri nahin lagta...itni khubsurat gazal...dil ki har ek baat kehti hui...jazbaaton se labrezz....har ek lafz apne aap me kuch keh raha hai....har ek stanza puri gazal ka dard samaye hai....
itne kaabil logon ne yahan aapko daad di hai aur itni tareef ki hai..k main padh padh k hi aatm vibhor ho gai....

waakai me khwaish ji aapki lekhni me jo kashish hai wo bht kum logon ki likhawat me milti hai.... har gazal aapki ek nai disha dikhati hai..ek nai soch jagati hai...sidhe saadhe dhang se aap itni badi baat keh jate hain jo sidhe dil o dimag me utar jati hai....

sach me itna achcha kaise likh lete ho aap re..?
kuch tips dijiye na k main bhi aoisa likh sakun...

Anuji, Aapne Itna Kuch Keh Diya Ke Main Ab Kya Kahoon!!!!

Anuji, Jo Likhta Hoon Bas Dil Ka kaha Likhta Hoon Jis Din Dil Ki Baaton Ko Lafz Milna Band Ho jaaye uss Din Yeh Shayar Ki Shyari Bhi Khatam Ho Jaaye..

Aapne Itna Saraaha Ke Kya Kahoon!!!!!

Apaka Tahe Dillllllllllllllllllllllllllll Se Shukriya Anu..

Yuhi Humesha Saath Rehna icon_flower icon_flower icon_flower

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:12:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer