Jazba-e Dil

by Naziya Tahera on January 08, 2009, 08:12:05 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1425 times)
Naziya Tahera
Guest
Ham sare bazm ye jo parda hata dete hain
Log hamko badi sangeen saza dete hain

Zindagi Dard hai, Diqqat hai, Dagha hai phir kyun
Log mujhko bahut jeene ki Dua dete hain

Eik Aurat hain tu Maa.n bhi hain Bahan bhi hain teri
Log phir kyoon hame.n galiyon me.n sada dete hain

Hai zamane ka chalan, ladki ko dena ha jahez
Rasm behuda hai, Ye rasm uthha dete hain

Hazaar taane diye jate hain kuchh laayi nahin
Aur Doolhan ko hi phir aag laga dete hain

Dosti , Pyaar, Mohabbat na tejarat samjho
Gar ho sachii tu yaqeenan ye maza dete hain

Naziya saaz-e mohabbat na abhi chhed ki ye
Jab ho khamosh fiza tab hi maza dete hain

by me
Naziya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh wo jazba... by honeyrose in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
JAZBA-E-ISHQ by kashif_khan in Shayri for Khumar -e- Ishq
KHAMOSH JAZBA...(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
JAZBA,ky by kameeney in Miscellaneous Shayri
jeene ka jazba humko bhi sikha saqi by ripan dev in Miscellaneous Shayri
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2009, 08:13:57 PM »
...again a good one Naziya...keep it up...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 08:16:19 PM »
wah naziya, bahut hi khoobsurati sey aap ney kaha hai. Kuch jarur kehna chahata hu iss par lekin iss waqt mere paas kuch shabd nahi hai ....


Jasbir Singh
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 08:23:15 PM »
...ishq ek aag ka dariya hai aisa hame log kehte hai,
par mohabbat mein log ek phoonk se aag bujha dete hai,
pehle to bade shauk se mehfil mein hame bula lete hai,
aur phir sabke saamne hame woh do baatein suna dete hai,
woh logo ko har baar ro ke logo ko mana lete hai,
hum muskurakar har baar saboot apni wafa ka dete hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 08, 2009, 09:00:24 PM »
Bohat Achche Naziya JI,.
And Nice One Zain Bhai,.

Yunhi Likhte Rahiye,.

Aur Welcome To Yoindia Naziya Ji,.
May Allah Bless Us All,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 08, 2009, 09:05:20 PM »
Ham sare bazm ye jo parda hata dete hain
Log hamko badi sangeen saza dete hain

Zindagi Dard hai, Diqqat hai, Dagha hai phir kyun
Log mujhko bahut jeene ki Dua dete hain

Eik Aurat hain tu Maa.n bhi hain Bahan bhi hain teri
Log phir kyoon hame.n galiyon me.n sada dete hain

Hai zamane ka chalan, ladki ko dena ha jahez
Rasm behuda hai, Ye rasm uthha dete hain

Hazaar taane diye jate hain kuchh laayi nahin
Aur Doolhan ko hi phir aag laga dete hain

Dosti , Pyaar, Mohabbat na tejarat samjho
Gar ho sachii tu yaqeenan ye maza dete hain

Naziya saaz-e mohabbat na abhi chhed ki ye
Jab ho khamosh fiza tab hi maza dete hain

by me
Naziya

Subhan Allah,.
Is Nazm Mein, Naziya Ji, Aapne To Saari Haqeeqat Bayaan Kardi,.

Jawaab Dene Ki Koshish To Ki Maine Magar Koshish Na Kaam Rahi,.

Bas Main Yahaan,.
Daag Dehalvi Ji,. Ki Do Lines Share Karna Chahoonga,.

Aurat,.

Iske Jaisi, Neak Aur Koi Badd Nahi,.
Iski Mohabbat, Aur Nafrat Ki Koi Hadd Nahi,.

_________________-Daag Dehalvi-
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2009, 09:21:58 PM »
...thanks a lot Azeem and nice lines too...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2009, 11:32:12 PM »
Another good presentation Naziya Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 09, 2009, 12:05:10 AM »
...thanks a lot Azeem and nice lines too...

U Are Welcome Bhai.,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 09, 2009, 09:15:47 PM »
good one Naziya and good sharing Lil bro
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:38:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer