Jee karta hai ki Ro de hum in alfaazon mein

by Sahiba Zehra on August 23, 2009, 08:08:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 884 times)
Sahiba Zehra
Guest
Muddaton baad kaaghaz uthaya,
Aur humne kalam ko haath lagaya..

Kuch kehte usse pehle hee..
Khambakht dil ne ek saaz bajaya..

Usne fir se harr wo kissa dohraya..
Ki bechara dill khudh hi bharr aaya..

Jee karne laga ki ro de inn alfaazon main
per kaise..hume kuch naa samajh aaya..

Fir ek Jumla jo humne kahi suna tha..
woh zehen main aaya..

"Ke tere dard zamana hassega !!"

OR

"I am too big to cry"
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2009, 09:59:19 PM »
bahut khoob

yeh kaisa , kisi ne  hai saleeqa banaya
Keh abhi tak duniyan mein jeena na aaya



javed
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2009, 10:13:00 PM »
Shukriya Javedji
lekin agar aapko isme kuch bhi atpata lage, yane ki shayari ke andaas mainyaa koi suggestion ho toh please bataein.

Mujhe khud iska aakhir kuch ajab laga...per yahi mera poora khayal tha iss nazm k peeche.
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2009, 10:40:38 PM »
SAhiba ji adaab


main nahinnsamajh sakta is nazm mein koi aap ko mashware ki zaroorat hai . jaise ke aap ne khud hi likha hai ke kuch samajh mein nahin aaya jab likhne wala hi majboor ho to doosra kia kah sakta hai


javed
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #4 on: August 24, 2009, 06:57:48 AM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Jhuki Palkein
Guest
«Reply #5 on: August 24, 2009, 07:04:15 AM »
Bohat Khoob Likha Hay Aapnay Zehra Jee  Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: August 26, 2009, 11:41:28 AM »
very nice sahiba ji bhut acha likha hai aapne umeed hai ki aage bhi aapko padne ka moqa milega, keep writing
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: August 26, 2009, 11:46:25 AM »
Waah waah Sahiba ji bahoot bahoot Khoob !
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #8 on: July 24, 2012, 05:40:31 PM »
SAhiba ji adaab
SAhiba ji adaab


main nahinnsamajh sakta is nazm mein koi aap ko mashware ki zaroorat hai . jaise ke aap ne khud hi likha hai ke kuch samajh mein nahin aaya jab likhne wala hi majboor ho to doosra kia kah sakta hai


javed

main nahinnsamajh sakta is nazm mein koi aap ko mashware ki zaroorat hai . jaise ke aap ne khud hi likha hai ke kuch samajh mein nahin aaya jab likhne wala hi majboor ho to doosra kia kah sakta hai


javed

Javed saheb,
Shukriya Jo aapne waqt nikala aur jawab diya,Jo akhri line hai, ussi naZr rakh ye ouri nazm kalam-band ki Thi,acha laga ki sabhi ko achi lagi. Shukriya Jhuki plken , aaina, nisha and injured worrior hi.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:58:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer