ranjana
Guest
|
jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi
gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Pankhuri2
Guest
|
|
«Reply #1 on: May 21, 2006, 05:03:57 AM » |
|
Good one Ranju!!
Zindagi ne chalty jaana hai badlta kab yah zamana hai kabhi hans kar kabhi ro kar khud ko bahlaaty jaana hai Zindagi ne chalty jaana hai....
her mod per duniya sikhayegi her ek roop mai ajmayegi kabhi farz to kabhi dil ke hatho lootaty jaana hai Zindagi ne chalty jaana hai....
toot kar bikharty rahna hai her haal se jujhaty rahna hai ek din in saanso ne aise hi ruk jaana hai zindagi ne chalty jaana hai.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: May 21, 2006, 11:38:46 AM » |
|
Good one Ranju!!
Zindagi ne chalty jaana hai badlta kab yah zamana hai kabhi hans kar kabhi ro kar khud ko bahlaaty jaana hai Zindagi ne chalty jaana hai....
her mod per duniya sikhayegi her ek roop mai ajmayegi kabhi farz to kabhi dil ke hatho lootaty jaana hai Zindagi ne chalty jaana hai....
toot kar bikharty rahna hai her haal se jujhaty rahna hai ek din in saanso ne aise hi ruk jaana hai zindagi ne chalty jaana hai..... wow nice...........bahut sundar..........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pankhuri2
Guest
|
|
«Reply #3 on: May 22, 2006, 05:13:13 AM » |
|
thanks Ranju!!!
Zindagi roj naye rang dikhati hai ek baar hansa kar kai baar rulati hai apno ke hatho hi dhoka khana hai zindagi ne bas unhi chalty jaana hai......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nidhi_yadein
Umda Shayar
Rau: 2
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~
Posts: 5725 Member Since: Nov 2004
|
|
«Reply #4 on: May 22, 2006, 06:47:26 AM » |
|
Wahhh ranjana n pankhuri,very nice written.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #5 on: May 23, 2006, 02:21:44 AM » |
|
shukriya Nidhi.............nice Pankhuri.............
ghav, abhaav ,sab sach nahi hote rup, bhaav,geet sada mann nahi bheegote insaan ki ichcha ke pankh nahi hote hote jo pankh toh aakash baahon mein simat jata dharti ki payas se kitna hai atut naata........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
manu1979
Guest
|
|
«Reply #6 on: May 23, 2006, 07:18:18 AM » |
|
good job all of u, keep it continue ranju u r always good regards take care manu
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #7 on: May 24, 2006, 08:28:41 AM » |
|
shukriya Manu............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #8 on: May 24, 2006, 04:02:39 PM » |
|
Nice All !!
Zindgi bas yunhi Chalti rhi anderoon mein Tum se bichad ke jana kya judai hoti hai Har lamha tere deed ko mangi hai duyein Hum se puchiye kya dard-o-ronaiii hoti hai!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #9 on: May 24, 2006, 07:30:54 PM » |
|
hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi
pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi
raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi
yaadon k saaye mein zinda hun abhi lagta hai tham sa gay hun mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #10 on: May 25, 2006, 04:10:58 AM » |
|
very nice Hum tum ji and Nitieh......................bahut khub likha aap dono ne............
ham jindagi ko asi bhi nibha lete hain har dard ko apne seene mein chhipaa lete hain isko jeene ka fun seekh liya hai hamne apni muskarhat mein har gum ko chheepa lete hain dekha hai kuch logo ko apne se naraz kyuki hum chiraago ko hawa mein jala lete hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #11 on: May 25, 2006, 07:14:41 AM » |
|
waah waah !!
Har shaks mujh se khaffa khaffa sa lagta hai Na-ummedi ka badhta hua silsila lagta hai Seh gaye jiske ghum bhi hum khushi ki trah Jab milta hai woh shaks to juda juda sa lagta hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #12 on: May 25, 2006, 07:50:53 AM » |
|
bahut khub Hum tum ji.............
kis kis ko hamse jahan mein bhulaya na gaya ek ghaav thaa jo mar ke bhi mitayaa na gaya jab tan mein aag lagi toh bujha di barsaat ne......... yeh dil ka shoala kisi se bujhaya na gaya.n/m
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #13 on: May 25, 2006, 08:13:01 AM » |
|
Nice one !!
Ik pyaas si ban ke reh gayii hai ab zindgii Na bujh payii hai dil mein lagi ab tashnagii Hone ko to sab kucch hai paas mere lekin Har lamha khalti hai dil mein ab teri kamii !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #14 on: May 25, 2006, 08:29:26 AM » |
|
nice.............
ashak aankho mein aur honth hamne siyee is tarah tere bager hum toh jeeye tutata raha hai dil mera aksar fir bhi jeete hain tuhse milne ko aas liye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|