jindagi ke safar mein "HumTum"......

by HumTum on January 31, 2005, 09:35:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1021 times)
HumTum
Guest
DostoN,

 aaj phir se ek bar aap sabka  isteqbaal karta hun... janta huN ki do din ki deri se aapke roobroo aa paya .. par is saptahik mehfil ko sajane maiN abhi jyada der nahi hui... khair dostoN aaj ka jo kalam maiN aapke nazar kar raha huN kuch special sa hai ... kyuNki kuch alfaz jo mere jigar se nikle ... unko aage badaya hai maiNe ... pyar ki kashish ... uska rutba.. uski gehrayi.. ko sametne ki koshish ki hai maine apne is kalaam pe ... umeed hai aap phir se apne anmol alfazoN se iska mol lagayeNge ... pesh hai khidmat hai ye nacheez nazraana ... SHABBAKHAIR...


Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye

dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye

meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye

sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye

aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "HumTum"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye

HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
"USKI KISI DUA MEIN MERA ZIKAR HUA HI NAHI" by k.shael in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
"barson ye jindagi" by bekarar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ek Aurat Ka Safar "Khwaish" by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3 4 »
myheart_ursonly
Guest
«Reply #1 on: January 31, 2005, 09:39:47 AM »
nice work HT
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #2 on: January 31, 2005, 09:44:16 AM »
really nice.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: January 31, 2005, 09:46:42 AM »
Thanks "myheart-ursonly" n TDTS... dil se shukriya kabul kijeye...
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2005, 09:50:34 AM »
kabul kiya mere dost humtum.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 15, 2010, 09:55:13 AM »
DostoN,

 aaj phir se ek bar aap sabka  isteqbaal karta hun... janta huN ki do din ki deri se aapke roobroo aa paya .. par is saptahik mehfil ko sajane maiN abhi jyada der nahi hui... khair dostoN aaj ka jo kalam maiN aapke nazar kar raha huN kuch special sa hai ... kyuNki kuch alfaz jo mere jigar se nikle ... unko aage badaya hai maiNe ... pyar ki kashish ... uska rutba.. uski gehrayi.. ko sametne ki koshish ki hai maine apne is kalaam pe ... umeed hai aap phir se apne anmol alfazoN se iska mol lagayeNge ... pesh hai khidmat hai ye nacheez nazraana ... SHABBAKHAIR...


Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye

dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye

meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye

sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye

aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "HumTum"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye

HumTum

Bahut Bahut Khoob HumTum ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yaar Kahan Kho gaye Aap!!! Missing Your Work In Yoindia.. icon_salut
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2011, 03:58:15 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Bahut Bahut khoob Dil se Daad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2011, 04:51:11 AM »
ye poetry sach me sundar h※
haqikat h bhai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:34:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer