jis makaa.n ke saamne guzra wahaa.n zakhmi hua

by zarra on November 06, 2010, 01:55:07 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1959 times)
zarra
Guest
kucchh doston ka feedback that ki chand alfaaz ya metaphors samajhne mein mushkil si ho rahee thi. feedback ko sar aankh pe rakhte hue, is ghazal mein kucchh alfaaz ka angrezi tarjumaan karne ki koshish ki hai. koshish isliye kehta hun kyunki urdu, aur khaas taur se jab uska istemaal shayari mein hota hai, apne aap mein incomparable hai aur kisi aur zabaan mein iska approximation hi ho sakta hai, translation nahin.


jis makaa.n ke saamne guzra wahaa.n zakhmi hua
maallumaat-e-zindagi ke waaste ye bhi hua

(maallumaat-e-zindagi = to get to know about life)


pairahan ko taar kar haasil na kucchh ilmi hua
sirf tanhai mili bas faaydaa ye hi hua

(pairahan = clothes, taar = tear away, ilmi = pertaining to knowledge, tanhai = solitude)


dil ke tukade is tarah se kooche kooche par gire
dhoondhane ka dard honaa chaak pe bhaari hua

(koocha = street / way, honaa chaak = being cut into pieces, bhaari hua = here it means “was more than”)


Jashn ne ghera hua hai kya gham-e-dil ka karoon
dekh ye kambakht khushiyaan aur bhi baaghi hua

(gham-e-dil = sorrow of heart, baaghi = rebel)


dar rahe the raaz-e-giriya khul na jaaye khalq pe
raaz dil mein hi rahaa charchaa magar fir bhi hua

(raaz-e-giriya = secret of crying, khalq = world)


bekhayaali mei.n na jaane ek pal kya keh diya
log kehte hai.n ki wo insaan tha vahshi hua

(bekhayaali = unguarded moment, vahshi = wild / animal like)

Logged
zarra
Guest
«Reply #1 on: November 07, 2010, 01:00:48 PM »
ek taaza sher kaha hai isee ghazal mein ...

shauq-e-hasti hai bachaa thoda bahaut par kya karein
daar ne jab jab pukaaraa aadatan raazi hua

(shauq-e-hasti = love of existence, daar = gallows, aadatan = out of habit)
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: November 07, 2010, 02:33:47 PM »
waahhhhhhhhh zarra ji kya khubbb kaha hai aapne...bht hi khub surat likha hai....har ek sher apne aap me kabile tareef hai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: November 07, 2010, 03:17:29 PM »
nice he ji....... Applause Applause Applause


Naa gujarna makaa.n kya mere mohlle ke saamne se tum
Bada pehalwaan hai bhaai mera ye shaayad nahi jaante ho tum
Logged
zarra
Guest
«Reply #4 on: November 07, 2010, 04:34:40 PM »
shukriya kasak ji aur koyal ji aapkee taareef ka.

koyal ji, aapke sher ne guftaar mein acchhaa ghumaav diya hai

ek taazaa sher keh raha hoon isee ghazal mein ...

sang dil jiske makaa.n mei.n ho muhaafiz sang dast
kisliye hairaa.n ho gar jism-o-jigar zakhmi hua

(sang dil = stone hearted, muhafiz =  preserver / protector, sang dast = stone fisted, jism-o-jigar = body and heart)
Logged
haan
Guest
«Reply #5 on: November 07, 2010, 04:55:25 PM »
kabhi tu ne suna aisa kahin hua !
choom liya jisko mahejabeen hua !!
jo khafa raha shaam tak mujhse !
hui subah to wo dil nasheen hua !!
REHAN MUBARAK "TANHAA"
BAHUT KHOOB ZARRA JI ..KAYA BAAT HAI .MAINE KUCH TUK BANDI KI HAI SHAYAD PASAND AAYE. AAP KA REHAN MUBARAK "TANHAA"
Logged
haan
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2010, 04:57:54 PM »
kabhi tu ne suna aisa kahin hua !
choom liya jisko mahejabeen hua !!
jo khafa raha shaam tak mujhse !
hui subah to wo dil nasheen hua !!
REHAN MUBARAK "TANHAA"
BAHUT KHOOB ZARRA JI ..KAYA BAAT HAI .MAINE KUCH TUK BANDI KI HAI SHAYAD PASAND AAYE. AAP KA REHAN MUBARAK "TANHAA"
Logged
zarra
Guest
«Reply #7 on: November 07, 2010, 05:20:14 PM »
haan ji .. taareef ka shukriya aur aapke aashaar ke liye bhi shukriya. in par maulana hasrat mohani ka sher yaad aata hai ....

hairat guroor-e-husn se shokhi se iztaraab (being agitated or perturbed)
dil ne bhi tere seekh liye hai.n chalan tamaam
Logged
haan
Guest
«Reply #8 on: November 07, 2010, 06:09:49 PM »
ZARRA SAHAB AAPKA UMDA KALAAM PADH KAR ..MAINE TO BAS YUN HI TUK BANDI KAR DI ...GUSTAKHI MAAF KAREN ...AAP KE KHOOB SURAT AUR NAZUK KALAAM KE LIYE DIL SE DAAD......AAPKA  APNA REHAN MUBARAK "TANHAA
Logged
haan
Guest
«Reply #9 on: November 07, 2010, 06:24:11 PM »
ALLAMA IQBAAL SAHAB KA EK KALAAM YAAD AAYA HAI...ARZ HAI
TERE ISHQ KI INTEHA CHAHTA HOON !
MERI SAADGI DEKH KAYA CHAHTA HOON !!
SITAM HO KI HO WAADA E BEHIJAABI !
KOI BAAT SABR AAZMA CHAHTA HOON !!
BHRI BAZM ME RAAZ KI BAAT KAH DI !
BADA BE ADAB HOON SAZA CHAHTA HOON !!
ALLAMA IQBAAL
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: November 08, 2010, 06:43:04 AM »
Kyu apni haddiyon ka murrabba banwaana chahte ho
Raaste aur bhi hain zarra,patlee gali se nikal lo

shukriya kasak ji aur koyal ji aapkee taareef ka.

koyal ji, aapke sher ne guftaar mein acchhaa ghumaav diya hai

ek taazaa sher keh raha hoon isee ghazal mein ...

sang dil jiske makaa.n mei.n ho muhaafiz sang dast
kisliye hairaa.n ho gar jism-o-jigar zakhmi hua

(sang dil = stone hearted, muhafiz =  preserver / protector, sang dast = stone fisted, jism-o-jigar = body and heart)
Logged
zarra
Guest
«Reply #11 on: November 08, 2010, 08:37:50 AM »
ghalib ke chand aashaar hain ....


apni gali mein mujhko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyun tera ghar mile
- ghalib

nazar lage na kahin unke dast-o-baazoo ko
ye log kyun mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
- ghalib
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 05:29:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer