Jooni ek almaari......( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on May 08, 2012, 05:28:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 879 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Jooni ek almaari..
---------------------

Kuch yaadeiN bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari mein

Chend khilaune mitti ke
Fata purana ek basta bhi
Bandh bachpan is almari me
Hai rota bhi hai hasta bhi
Mera aaj bhi bachpan jeeta hai
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Woh khushbu wala maa ka aachal
Mujhe aaj bhi thapki deta hai
Ek tasweer purani abba ki
Ek khauf hifazat karta hai
Woh rishta ab tak kayem hai
Koi aaj bhi beta kehta hai
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Woh joda tumhara shadi ka
Sindoor ki woh choti dibiya
Woh shaant padey chudi kangan
Woh Tumhe tarasti ek bindiyaa
Tum aaj bhi mar ke zinda ho
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Koi fark nahi hum dono me
Mai bilkool jooni almaari sa
Woh ghar me padi bhangaar lage
Main ghar me pada bekaar sa
Yeh duniya hamein bhula chuki
Ab khatm hamara kaam hua
Lo dafn hua Ghayel yaaro
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: May 08, 2012, 06:08:38 PM »
Beautiful, sajid saheb.
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #2 on: May 08, 2012, 07:11:27 PM »
bahut achhe sajid ji,
Logged
sarfira
Guest
«Reply #3 on: May 09, 2012, 03:38:03 AM »
Ghayal sir--
kaafi dino baad aapki koi post aai.
na jane kis duniya me le jaate h aapke kalaamo ke ehsaas aur alfaaz.

daad nhi mai to sirf sukriya kahunga iss nazm ke lie.
thanq so much sirji.

khus rahie
muskurate rahie
aate rahie
Usual Smile
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: May 09, 2012, 03:42:39 AM »
bahut sunder sazid saheb mubarak ho
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: May 09, 2012, 04:26:22 PM »
waaah sajid ji...bahut khoob

ApplauseApplauseApplause:clap:clap:
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 10, 2012, 08:33:17 AM »
Jooni ek almaari..
---------------------

Kuch yaadeiN bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari mein

Chend khilaune mitti ke
Fata purana ek basta bhi
Bandh bachpan is almari me
Hai rota bhi hai hasta bhi
Mera aaj bhi bachpan jeeta hai
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Woh khushbu wala maa ka aachal
Mujhe aaj bhi thapki deta hai
Ek tasweer purani abba ki
Ek khauf hifazat karta hai
Woh rishta ab tak kayem hai
Koi aaj bhi beta kehta hai
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Woh joda tumhara shadi ka
Sindoor ki woh choti dibiya
Woh shaant padey chudi kangan
Woh Tumhe tarasti ek bindiyaa
Tum aaj bhi mar ke zinda ho
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Koi fark nahi hum dono me
Mai bilkool jooni almaari sa
Woh ghar me padi bhangaar lage
Main ghar me pada bekaar sa
Yeh duniya hamein bhula chuki
Ab khatm hamara kaam hua
Lo dafn hua Ghayel yaaro
Jooni ek almaari me

Kuch yaadein bandh kar rakhkhi hai
Jooni ek almaari me

Sajid Ghayel




Tareef ke Liye Mere paas lafz Nahe Sajid Bhai..

Bahut Hi gehri Aur Zindagi ke Kareeb Se Guzarti hui Nazm..

Bahut Bahut Khooob!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #7 on: June 24, 2012, 12:41:44 PM »
Congratulations ,

This work has been featured in Yoindia Shayariadab June 2012 newsletter. You can read more about it here .
Feedback : June 2012 Newsletter

We hope you will continue sharing such impressive work with Yoindia Shayariadab community.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #8 on: June 27, 2012, 05:33:34 PM »
Thank U friends for appreciating my work..........and also thank U Admin Saheb for honoring my work.
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #9 on: June 28, 2012, 03:59:42 AM »

kuch kalaam kalam se nahi ehssaso se likhe jaatey hain, thank you iss khoobsurat ehsaas ke peshkash ke liyeh
Logged
poonam singh
Guest
«Reply #10 on: October 11, 2012, 03:49:13 PM »
aapke alfaaz dil tak jate hai.aapko padh kar lagta hai ki sachee shayari kise kehte hai.itni imaandari har ke bus ki baat nahi hai.warna yoindia par kuch logo ne poetry ko majak bna diya hai.
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #11 on: October 12, 2012, 02:04:02 AM »
Nice post.Mubarik
Sheel didi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:10:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer