Kaanton Ka Ghar Banaa Liya.,..

by Jaanasheen on October 31, 2006, 02:29:03 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1746 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Phoolon Ko Jab Murjhaate Dekha,..
Humne Kaanton Ka Ghar Banaa Liya,..

Zakham Jab Phoolon Ne Diye, Hume,..
Humne Kaanto Ka Bistaar Banaa Liya,..

Phoolon Ka Aitbaar Hume Ab Naa Raha "Jaanasheen",..
Is Liye Kaanton Ko Apne Daman Mein Sajaa Liya,..

_________________-Azeem-_______________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: October 31, 2006, 02:33:26 PM »
Hum To Barbaad Hue Phoolon Ki Chahat Se,..
Kaash Ke Kabhi Hum Kaanton Ki Bhi Hasrat Karte,..

Phoolon SE Humne Kuch Naa Paaya, Kaanton KO Thukraaya Humne..
Kaash Ke "Jaanasheen" Kabhi Hum Phoolon Se Nafrat Karte,..,

________________________-Azeem-_______________________
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2006, 05:30:16 PM »
Good ones azeem...


Toota Jo Aake Lab Pe, Tera NaaM Hi To Hai,
Dil Mein Bas Ek Khwahish-E-NakaaM Hi To Hai,

Pehla QadaM Hi Aakhri Hai, Uth Sake Agar,
Manzil Yaqeen-E-Ishq Ki Ek GaaM Hi To Hia,

Rehne Do Wapsi Ke Liye Raasta Khula,
Wo Bad Nahi Hia Ek Zara BadnaaM Hi To Hia,

Sabit Karega Kya Kio HuM Par Jafa Ka JurM,
Ek Roz Dhul Hi Jayega IlzaaM Hi To Hia...
* * * * *
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: November 01, 2006, 07:12:26 AM »
very nice JS and nice one Angle......

Naa karte payar to gum se kaise judte
Naa hoti ek haseen mulakat ke aansuo se kaise milte
Naa karta koi jo hume ek pal ko bhi yaad
to hum usee har pal kaine yaad karte......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2006, 04:05:47 PM »
nice jaanasheen

tujh se mil ker bhi bas juda hein hum
apni taqdeer se khafa hein hum

hum ghum-e zeest sahe baithen hain
laug sumjhe ke gul fishan hain ham

is turhan se humein rafeeq milay
jaise unke bade raqeeb hein hum

raakh hein hum agar yeh aag bujhi
ik vaham leke ji gae hain hum

khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
dil frosh koi tarana hain hum

kyon taqdeer ko ilzaam hi den
jabaki taqdeer se lade hain hum
     
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2006, 04:52:59 PM »
Bohat khoob Azeem, Angel, Vikas & Tabassum...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: November 02, 2006, 05:52:19 AM »
thanx aryaan..........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 04, 2006, 01:04:16 PM »
Shukriya Husena Ji Vikaas Bhai , Tabbassum Didi And Aryaan Bhai,..

Bahoot Khoob Likha Hai Aap Sab Ne,..

Aryaan Bhai Apne Kuch Likha Nahi,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: November 04, 2006, 01:05:29 PM »
Phool To Jhard Jaayeinge Mausam Ke Bahaane,..
Koi Kaanton Se Seekhe Rishte Nibhaane,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 04, 2006, 01:07:40 PM »
kaanton Se Dhoka Sab Khaate Dekha Hai Humne,..
Phoolon Par Jo Yakheen Kiya, Wo Bhi Zakham De Gaye,..

______________________________________-jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2006, 05:24:55 PM »
Thanks vikas aryaan azeem..
nice one AZEEM...

Bheegi Hui Aankhon Ka Ye Manzar Na Milega,
Ghar Chod Ke Mat Jao Kahin Ghar Na Milega,

Phir Yaad Bahut Aayegi Zulfon Ki Ghani ShaaM,
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Par Na Milega,

Aansu Ko Kabhi Os Ka Qatra Na SaMajhna,
Aisa TuMhe Chahat Ka SaMundar Na Milega,

Is Khwab Ke Mahol Mein Be-Khwab Hai Aankhein,
Jab Neend Bahut Aayegi To Bistar Na Milega,

Ye Soch Lo Ab Aakhri Saya Hai Mohabbat,
Is Dar Se Uthoge To Koi Dar Na Milega...
* * * * *
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: November 06, 2006, 01:11:57 PM »
Bahoot Khoob Husena Didi.,
 Bahoot Khoob Likha Hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: November 06, 2006, 01:14:07 PM »
Kaanton Ko Seene Se Lagaa Kar,..
Phoolon Ko Unke Hawaale Kiya Maine,..
Iska Andaaza Na Tha Mujhe,
Ke Zakham Dene ke Liye Wo Phool Chunege,..

___________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: November 06, 2006, 06:06:23 PM »

Mere Saath TuM Bhi Dua Karo Yun Kisike Haq Mein Bura Na Ho,
Kahin Aur Ho Na Ye Haadsa Koi Raaste Mein Juda Na Ho,

Mere Ghar Se Raat Ki Sej Tak Wo Ek Aansu Ki Lakeer Thi,
Zara Badh Ke Chand Se Puchhna Wo Isi Taraf Se Gaya Na Ho,

Sar-E-ShaaM Thehri Hui ZaMeen, AasMan Hai Jhuka Hua,
Isi Mod Par Mere Waaste Wo Charaag Le Kar Khada Na Ho,

Wo Farishte Aap Hi Dhundiye Kahaniyon Ki Kitaab Mein,
Jo Bura Kahein Na Bura Sune Koi Shakhs Unse Khafa Na Ho,

Wo Visaal Ho Ke Firaaq Ho Teri Aag Mehkegi Ek Din,
Wo Gulaab Ban Ke Khilega Kya Jo Charaag Banke Jala Na Ho,

Mujhe Yun Laga Ke KhaMosh Khushbu Ke Honth Titli Ne Chhu Liye,
Inhi Zard Patton Ki Ot Mein Koi Phool Soya Hua Na Ho,

Isi Ehtiyaat Mein Main Raha, Isi Ehtiyaat Mein Wo Raha,
Wo Kahan Kahan Mere Sath Hai Kisi Aur Ko Ye Pata Na Ho...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: November 07, 2006, 07:50:46 AM »
bahut khoob  azeem bhai ...nice sharing  angle... Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:15:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer