Kaanton Se Aarthi ko Sajwa Do Koi!

by Meena on May 20, 2005, 01:53:01 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3997 times)
sandhaya
Guest
«Reply #15 on: May 21, 2005, 08:41:12 AM »
good...meena ji
jana hai par mann nahi kar raha

jo mere saath tha uski kabhi kadar hi na ki maine
main tuh begano ke piche hi bagta raha sada
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hum kaanton ko ankhon se laga lete hain by yammy in Shayri-E-Dard
Kaanton Ka Ghar Banaa Liya.,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
* Kaanton Kii Chubhan* by honeyrose in Shayri-E-Dard
Kaanton ki chaahat hai hamaari by thegrimreaper in Miscellaneous Shayri
Kaanton Se Milaa Karta,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #16 on: May 21, 2005, 08:48:53 AM »
Quote from: "Meena"
well, dosto ne kaha ke kafi dino se kuch likha nahin...so aaj phir se hazir hoon ek nayi poem ke saath!!  :D


Chup chup kar tanhai me ek shaks ko yaad karte hai,
Aa jaye woh wapis, Khuda se yeh fariyaad karte hai,
Shayad hawa me koi tinka tha jo chala gaya meri ankhon me,
Behe raha hai ashkon ka samundar, isse rukwa do koi!!!

Dam tood raha hai dekho pyar ka arman humara,
Jism jaise hogaya yuh bejaan sa humara,
Bewafai ke kanjar se bach na sakhti wafa ki rooh,
Aab to is rishte ko dafna do koi!!!

Kaanton ki sej par so rahe te sapne humare,
Daga har maud par de raha hai apne humare,
Ek ek kar ke toot gaye vishwas ke daage yaha,
Aab to zindagi se humara damna chudwa do koi!!!

Odh liya hai kafan aur ban gayi mai dulhan maut ki,
Aab na asar hoga koi, kisi bhi di hui chot ki,
Baharon ki wafa ras na ayi, kuch aise zakhm mile hai,
Aab phoolon se nahin par kaanton se meri aarthi sajwa do koi!!!


wah meena,bohat dard hai har ek lafz mein,waise to har poem aapki dil ko chooti hai,par iski baat hi alag hai....lol...har nayi poem aapki alag hi hoti hai.Very nice...keep going. Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #17 on: May 21, 2005, 10:07:33 AM »
hmm thank u nidhi!!!!!! :D

dard se guzre hai, dard ko aab apanaya hai,
dard me dubo kar, har nazm ko banaya hai!!!!

 :D
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #18 on: May 21, 2005, 10:32:25 AM »
Meena ji....

nazm ke roop mein dekha jaaye to bahut aachi hai....lekin kutch maaYoindia Shayariadabi hui ki aap zindagi choodne ki baat kar rahi hain.....

dua yahi hai ki khuda aapko khsuhiyaan de.....

aapka dost.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #19 on: May 21, 2005, 10:36:05 AM »
Quote from: "Aman_rahi"
Meena ji....

nazm ke roop mein dekha jaaye to bahut aachi hai....lekin kutch maaYoindia Shayariadabi hui ki aap zindagi choodne ki baat kar rahi hain.....

dua yahi hai ki khuda aapko khsuhiyaan de.....

aapka dost.....


shukriya aman ji,

zindagi me chahana alag hai aur pana alag hai, zaroori nahin agar hum maut ki tamana rakhte ha ito woh hume mile bhi...so donr worry abt me  janab  :D  and thanx for ur reply and duayen!!! :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: May 21, 2005, 01:36:00 PM »
wah wah Meena & Sandhaya....Bohat khoob!
Logged
Meena
Guest
«Reply #21 on: May 21, 2005, 04:28:58 PM »
Quote from: "Aryaan"
wah wah Meena & Sandhaya....Bohat khoob!


shukriya aryaan!!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #22 on: May 22, 2005, 01:31:29 PM »
Quote from: "Meena"
well, dosto ne kaha ke kafi dino se kuch likha nahin...so aaj phir se hazir hoon ek nayi poem ke saath!!  :D


Chup chup kar tanhai me ek shaks ko yaad karte hai,
Aa jaye woh wapis, Khuda se yeh fariyaad karte hai,
Shayad hawa me koi tinka tha jo chala gaya meri ankhon me,
Behe raha hai ashkon ka samundar, isse rukwa do koi!!!

Dam tood raha hai dekho pyar ka arman humara,
Jism jaise hogaya yuh bejaan sa humara,
Bewafai ke kanjar se bach na sakhti wafa ki rooh,
Aab to is rishte ko dafna do koi!!!

Kaanton ki sej par so rahe te sapne humare,
Daga har maud par de raha hai apne humare,
Ek ek kar ke toot gaye vishwas ke daage yaha,
Aab to zindagi se humara damna chudwa do koi!!!

Odh liya hai kafan aur ban gayi mai dulhan maut ki,
Aab na asar hoga koi, kisi bhi di hui chot ki,
Baharon ki wafa ras na ayi, kuch aise zakhm mile hai,
Aab phoolon se nahin par kaanton se meri aarthi sajwa do koi!!!



bahot hi khoob likha hai aap ney mohtrma ... kha baith ke likhti hai aap woh jagah humey bhi bta do .... hum bhi kuch asisa likha krengey !! khair ... chend alfaaz pesh-e-kidmat hai !!

thori si maut thori si hasrat bachi rahi
har baar mit k siney mein sansey bachi rahi

is dil ko dhadakney mein nahi thi koi khushi
kya karta apney tukro ki hasrat bachi rahi

har lafj ney ruswa kiya aur khush nahi janab
deney ko aur thori si jillatt bachi rahi

magrur hai wo itna k sadio sey hai thama
ata kabhi milney yahi hasrat bachi rahi

karta hai jab gunah to deta hai saja mujhko
kehta hai abhi thori si chahat bachi rahi

HumTum

Logged
Meena
Guest
«Reply #23 on: May 22, 2005, 02:11:25 PM »
shukriya hum tum ji, likhti to hoon kabhi tram me kabhi raste me kabhi ghar me, tusi bhi try karo lo  :D


samajh na sakha shayad tu hi uski chahat,
tujhe kone ki hogi uske dil me koi gabrahat,
pyar ki rahon me khayi pattar bhi ate hai,
banti nahin muskurahat humesha chehere ki sajawat!!!


:D
Logged
dolly
Guest
«Reply #24 on: May 22, 2005, 02:28:04 PM »
wow wow meena sis.....well said............................... Usual Smile

nazar pherlena wafa ka naam nahi.....
mohabbat ko samajhna aasan nahi......
teri yaad mein naaho beeti aisi koi shaam nahi....
tere naam ka naa piya ho ais koi jaam nahi.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #25 on: May 22, 2005, 02:34:59 PM »
shukriya dolly sis.....where  r u aaj kal waise  sad5
tumen bhi bohot bohot acha likha!!! clap clap!!!

 :D
Logged
dolly
Guest
«Reply #26 on: May 22, 2005, 02:39:02 PM »
thanx meena sis....claps ki awaaz aa gayeeeeeee....

main yahan hoon yahan hoon..yahan hoon yahan.....lolzzz........
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: May 22, 2005, 02:41:47 PM »
Quote from: "Meena"
well, dosto ne kaha ke kafi dino se kuch likha nahin...so aaj phir se hazir hoon ek nayi poem ke saath!!  :D


Chup chup kar tanhai me ek shaks ko yaad karte hai,
Aa jaye woh wapis, Khuda se yeh fariyaad karte hai,
Shayad hawa me koi tinka tha jo chala gaya meri ankhon me,
Behe raha hai ashkon ka samundar, isse rukwa do koi!!!

Dam tood raha hai dekho pyar ka arman humara,
Jism jaise hogaya yuh bejaan sa humara,
Bewafai ke kanjar se bach na sakhti wafa ki rooh,
Aab to is rishte ko dafna do koi!!!

Kaanton ki sej par so rahe te sapne humare,
Daga har maud par de raha hai apne humare,
Ek ek kar ke toot gaye vishwas ke daage yaha,
Aab to zindagi se humara damna chudwa do koi!!!

Odh liya hai kafan aur ban gayi mai dulhan maut ki,
Aab na asar hoga koi, kisi bhi di hui chot ki,
Baharon ki wafa ras na ayi, kuch aise zakhm mile hai,
Aab phoolon se nahin par kaanton se meri aarthi sajwa do koi!!!


WoWoWoW Its a beauty !!! Meena happy9

Aur sab logon ne bhi bohot achcha likha hai !! happy9
Logged
Meena
Guest
«Reply #28 on: May 22, 2005, 02:42:41 PM »
thanxxxxxxxxxxx talatttttttt!!!!!!!!!

lol dolly, itna chilla chilla kar bol rahi ho to yakeen ho hi gaya ke tum yaha ho!  :lol:  :lol:  :lol:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #29 on: May 22, 2005, 03:43:26 PM »
Quote from: "Meena"
shukriya hum tum ji, likhti to hoon kabhi tram me kabhi raste me kabhi ghar me, tusi bhi try karo lo  :D


samajh na sakha shayad tu hi uski chahat,
tujhe kone ki hogi uske dil me koi gabrahat,
pyar ki rahon me khayi pattar bhi ate hai,
banti nahin muskurahat humesha chehere ki sajawat!!!


:D


mohtrma hamari try aapki try ke agey bilkul fry hai !! khair .... khosish jari rehgi hamari bhi ...jawab kuch yoon hai..

kya lena hai aise shehar se
jis shehar ke log begane hain

jahan khushiyan thi sab auron ki
gham bhi na mujhe pahchane hai

kis tarha se jiye hain hijr-e-judai main
iss baat se sab anjaane hain

kahne ko to hum zinda the magar
zindagi kya hai abb ham janne hain


kahyiye janab !!!

HumTum

Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:19:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer