kaash kabhi aisa hota

by aaina on May 26, 2009, 04:12:18 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3596 times)
aaina
Guest
«Reply #15 on: June 02, 2009, 07:38:27 AM »
Bahut bahut Khoob Aslam Bhai...Har Ek Sher,Har Ek Lafz Dil Ko Chuta Hai..
Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bhut bhut shukriya khwaish bhai.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaash agar aisa hota by Rajesh Harish in Shayri-E-Dard
**~**~** Kaash Aisa Hota **~**~** by _Vicky_ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 21 22 »
Kaash Mera Chaand Aisa Hota - Nature Poem by songwriter_123 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash kabhi aisa hota... by asif faiz in Shayri for Dard -e- Judai
Kaash kabhi aisa hota..(2) by asif faiz in Shairi - E - Zindagi
aaina
Guest
«Reply #16 on: June 02, 2009, 07:45:14 AM »
bahot khoob likha hai aapne Aslam ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

behad behad ache ashaar likhe hain aapne

thxxxxx so much kaash
Logged
aaina
Guest
«Reply #17 on: June 02, 2009, 07:48:28 AM »
Wah wah Aaina Ji
very good
SARVESH RASTOGI

bhut bhut shukriya servesh sahb
Logged
aaina
Guest
«Reply #18 on: June 02, 2009, 07:54:46 AM »
Aslam Ji,

Aisa bohot kam hota hai ki kisi ki ghazal ya nazm padhne ke baad main shayari main uska jawab doon...kaafi kam...par aapki ye poem padh ke kuch likhne ki koshish ki hai....aap jaisa to kabhi nahin likh sakte, bas ek koshish....ummeed hai bura nahin lagega !


Kisi Ko Itna Na Chaho, Wabaal-e-Jaan Ho Jaaye,
Chaahat Se Tumhari Rooh Lahuluhaan Ho Jaaye

Kisi Ki Yaad Sahraaon Main Na Bhatka De Tumko,
Hayaat Ka Haseen Gulshan Hi Veeraan Ho Jaaye

Tanhaaiyon Main Khud Ko Itna Na Kho Dena,
Zindagi Ki Rahguzar Ye Sunsaan Ho Jaaye

Bewafa Mohabbat Main Dil Ko Na Tadpaao,
Ki Jeena Ho Jaaye Mushkil, Marna Aasaan Ho Jaaye

Kehte Hain Lafz Hote Hain Dil Ka Aaeena,
Shayari Aisi Likho, Diiwaan Ho Jaaye


aisi baat nhi hai celmira ji aap bhut acha likhti hain mashallah, mere liyn isse badi aur khushi ki baat kya ho skti hai ki aap meri post par shayri ka jawaab shayri mai de rhi hain isme bura maanne wali to koi baat nhi.......mein to chaunga ki aisa har baar ho........bhut hi acha likha hai aapne bhut hi khoob......Allah paak aapko is fun mai aur maharat ata farmaye aameen
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #19 on: June 21, 2009, 05:07:57 PM »
Kaash kabhi aisa hota wo mera hota
Uski khamosh jheel aankho mai
Mere jeene ka silsila hota
Kaash kabhi aisa hota wo mera hota

Uski zulfo.n se khailta mein
Uske aariz ko chedata mein
Usko baho.n ke daayere mai
Halke halke samaita mein
Kaash kabi aisa hota, wo mera hota

Wo jo kuch sochta mai kar jata
Banke muskaan chehre pe bikhr jata
Wo agr kehta doobne ke liyn
Mein chdte dariya mai utar jaata
Kaash kabhi aisa hota…………..

Chandni si raatian hoti.n
Kuch aankahi si batai.n hoti.n
Makhmali si uski baho.n mai
Garam meri saasai.n hoti.n
Kaash kabhi aisa hota, wo mera hota

Usko apni aankh.n mai basa kar
Har gham ko uske gale laga kar
Apna har sukh mein usko de daita
Kaash kabhi aisa hota wo mera hota

Bahut Khoob Aslam Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: June 21, 2009, 05:13:24 PM »
aisi baat nhi hai celmira ji aap bhut acha likhti hain mashallah, mere liyn isse badi aur khushi ki baat kya ho skti hai ki aap meri post par shayri ka jawaab shayri mai de rhi hain isme bura maanne wali to koi baat nhi.......mein to chaunga ki aisa har baar ho........bhut hi acha likha hai aapne bhut hi khoob......Allah paak aapko is fun mai aur maharat ata farmaye aameen

Bohot shukriya Aslam Ji......You are very humble....!! Thanks so much.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #21 on: February 12, 2010, 05:59:19 AM »
Waah Waah Waah Waah Kya Baat hai Bahoot Bahoot Khoob Aslam ji.. Bahoot Hi Umda Likha hai

Aur Talat Di aapne Bhi Bahoot Bahoot Lajawaab Jawaab Diya hai .. Bahoot Khoob!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:42:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer